Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Longest Journey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Longest Journey

    Assalamo allaikum

    Ham sab ney safar kiya hai, by car, by bus, by train waghera...

    Yeh btaein keh aap ney lamba sey lamba safar kab aur kitney ghanton ka kiya hai? Is mein delation waghera sab kuchh mila ker - totaly jitney ghantey aap safar mein rahey hon....

    Mera last trip to pakistan was the longest journey. Meri flight thi yahan sey shaam key 7 baj ker kuchh minuts ki. Main ghar sey koi 4 bajey nikla, checkin honey key baad patah chala keh PIA delay hai, pehley 2 ghantey aur phir 2 ghantey mazeed aur phir aik ghanta mazeed. To is tarha Copenhagen sey departure koi raat 1 key qareeb huwa. Lahore pohanchey to subah key koi 8 baj rahey they. Lahore Airport per bohat delation hui. Wahan sey main ney Rawalpindi jana tha aur woh bhi by car... koi 11 bajey key qareeb Lahore sey by road Rawalpindi geya aur ghar pohancha koi shaam key 5 bajey key qareeb ... to is tarha mera ziyada sey ziyada safar 24-hours ka hai...

    Aap ka kitna hai?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Longest Journey

    hmmm...longest journey to kabi bhoolay ga nahi...koi 3 saal pehlay mein apne cousin ke saath Hyderabad gaya, wahan per NFRO jana tha, kuch zameenon ka masla tha, aik hufta hyderabad rehnay ke baad hamein General Headquarter (GHP) aur phir Navel Headquarter jana tha, decide yeh hua ke by train jaein ge Hyderabad se Rawalpindi...yeh safar lag bag 32 hrs. ka tha...is dooran mein ne aur mere cousin ne, jo mera best friend tha, hum ne khoob hallagulla kia rastay mein...lekin us safar se wapsi ke aik huftay ke baad mere us cousin ka murder ho gaya
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Longest Journey

      teen saal pehle jab me dubai se saudi arabia gae the, haj ke lea :) ...wo mere longest journey thee.....around 2 and half days lage the waha pohoncne ke lea by road ....car me safar kar kar ke thak gae the.... lekin wapas aane me 1 and half days lage the ........ye hai mere longest journey.....:lpop:
      Last edited by Wafa; 29 November 2006, 11:05.
      sigpic


      Comment


      • #4
        Re: Longest Journey

        mera sab say lamba safar last year makkah aur maddinah ka tha waisay bhi yahan say pahlay ham makkah jatay hain tu 13 Hrs ka hota hai by bus aur phie next day umrah kernay k baad routine main raat ko makkah say nikaltay hain tu subha madina aur phir 3rd day ko wapsi...aur 4rth day apnay maqam per laikin last year rastay main hamari bus khrab ho gaee aur saari raat ham ko wahan road per guzarni peri aur phir agli subha doosri bas aaiey tu ham agay chalay is tarha yeh safar 5 days ka ho gya
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Longest Journey

          pakistan sa makboza kashmir more then 18 hours
          geet ka husan ho tum ho janay gahzal
          shairoon ki haseen shairee tum say hai
          maira gham aur mairee har khushi tum say hai
          janay maan ya mairee zindagi tum say hai

          Comment


          • #6
            Re: Longest Journey

            subah uth ker chatt per jata hun aur 10 mint k baad wapis ajata hun.....
            bara lamba safer hay..

            Comment


            • #7
              Re: Longest Journey

              Originally posted by Khalil View Post
              subah uth ker chatt per jata hun aur 10 mint k baad wapis ajata hun.....
              bara lamba safer hay..
              hmm chhat per Din mein ......:mm: Paros ka chaand din mein dekhnay to nhin jaatay kaheen :D :D
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Longest Journey

                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                hmm chhat per Din mein ......:mm: Paros ka chaand din mein dekhnay to nhin jaatay kaheen :D :D
                hamary paroos main sab hee Chuadry khawateen o hazrat hain..........
                aur On k chandoon sy ALLAH bachayee:tauba :kr:

                Comment


                • #9
                  Re: Longest Journey

                  Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                  hmm chhat per Din mein ......:mm: Paros ka chaand din mein dekhnay to nhin jaatay kaheen :D :D
                  woh apney asal chand chhupaa letey hain aur ganjey saron wala chand samney kar detey hain :kr: :kr: :kr:
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Longest Journey

                    Originally posted by Khalil View Post
                    hamary paroos main sab hee Chuadry khawateen o hazrat hain..........
                    aur On k chandoon sy ALLAH bachayee:tauba :kr:
                    q unko kya masla hay :D
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Longest Journey

                      Originally posted by Masood View Post
                      woh apney asal chand chhupaa letey hain aur ganjey saron wala chand samney kar detey hain :kr: :kr: :kr:
                      jessay k aapka sir :kr: :kr: :kr: :kr: :kr:
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Longest Journey

                        Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                        jessay k aapka sir :kr: :kr: :kr: :kr: :kr:
                        tum ney mera sar kahan sey dekh liya :hhh:
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Longest Journey

                          Originally posted by Masood View Post
                          tum ney mera sar kahan sey dekh liya :hhh:
                          bahadur shah zaffar k zamanay ki pedawaar hain aap:zuban: , to yaqeenan ab to sir per jhaar jhankaar bhi na bacha hoga :kr: :kr: :kr: :kr:
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Longest Journey

                            Originally posted by Masood View Post
                            woh apney asal chand chhupaa letey hain aur ganjey saron wala chand samney kar detey hain :kr: :kr: :kr:
                            :kr::kr::kr::kr::kr::kr::kr::kr:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Longest Journey

                              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                              bahadur shah zaffar k zamanay ki pedawaar hain aap:zuban: , to yaqeenan ab to sir per jhaar jhankaar bhi na bacha hoga :kr: :kr: :kr: :kr:
                              Lagta hai keh main ney tumharey hi hathon mein aankh kholi thi :kr:
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X