Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

    mujhe aik baat maloom karni he plzzzzzzz koi bata de k ager ham safar me hon ya kisi esi jagah jaen jahan hamen maloom na ho ke namaz parhne ke leay sahi simat kese maloom karen to kia tareeka ho ga??jese sooraj nikal raha ho to ham ko maloom ke mashriq wali simat he ab mashriq se kis taraf qibla ho ga??plzz its v urgent koi bata de!!!

  • #2
    Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

    Originally posted by shy View Post

    Shy suraj to mashriq hi sey taloo hota hai magar ham yahan denmark mein phir almost junoob-mashriqi simat ki taraf munh kar key namaaz parhtey hain, jo keh pakistan sey ulta hai - Pakistan mein maghrib ki janib munh kartey hain. Yeh is per depend karta hai keh aap duniya key kis mulk mein mojood hain ya kis city mein hain. Jaggah ka bataey bghair kuchh nahin kaha jaa sakta.... suraj ka utar charhao is mein koi maaney nahin rakta - jaggah ka btaein kahan?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

      Originally posted by Masood View Post

      jese karachi se ham travel karen or badeen hyd ya sukhar ki taraf jaen to kis taraf rukh ho ga?

      Comment

      • #4
        Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

        Originally posted by shy View Post
        jese karachi se ham travel karen or badeen hyd ya sukhar ki taraf jaen to kis taraf rukh ho ga?
        to bhi usi taraf ho ga jis taraf aam masajid mein hota hai koi tabdeeli nahin ho gi.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

          Originally posted by Masood View Post
          to bhi usi taraf ho ga jis taraf aam masajid mein hota hai koi tabdeeli nahin ho gi.
          uuufff uncle aap bhi na:pagal: me ne kaha k jab hamen maloom hi na ho wahan masjid bhi na ho kahin kareeb or koi batane wala bhi na ho tab??koi tareeka to ho ga na k pata chal sake?or ye bhi baten k ager is tarah koi ghalti se ghalat simat namaz parhe to kia ho ga?:blush:

          Comment

          • #6
            Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

            Originally posted by shy View Post
            uuufff uncle aap bhi na:pagal: me ne kaha k jab hamen maloom hi na ho wahan masjid bhi na ho kahin kareeb or koi batane wala bhi na ho tab??koi tareeka to ho ga na k pata chal sake?or ye bhi baten k ager is tarah koi ghalti se ghalat simat namaz parhe to kia ho ga?:blush:
            Khala aap bhi budhoon hain - phir suraj miyaan kis kaam aaein gey? unhein dekho keh kis simat sey hai - suraj aap key peechey hai to aap ka munh maghrib ki janib hai... phir usi simat namaz parh lein...
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

              Originally posted by Masood View Post
              Khala aap bhi budhoon hain - phir suraj miyaan kis kaam aaein gey? unhein dekho keh kis simat sey hai - suraj aap key peechey hai to aap ka munh maghrib ki janib hai... phir usi simat namaz parh lein...
              achaa me budhoo hoon to aap bhi koi aqalmand nahi hen uncle abhi kuch der pehle to keh rahe the k sooraj se pata nahi chalta or ab:a stick: wese abhi ye sooraj wala tareeka to mujeh pata chal gya lekin ager namazen ghalat simat parhi hon to us ka kia ho ga? :donno:

              Comment

              • #8
                Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                Namaz padhney ke liye zaroori hai ke Qibla (Khana Ka'aba) ke taraf rukh hona chahiyie.

                Market mein Haram direction ki ek magnetic watch milti hai jo bahut sasta,isse kharid ke ghar mein rakhen.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                  namaz ki sharaiet main se aik shart qibla ki taraf rukh hona bhi hy.
                  aur shart ka matlab hi ye hota hy k agar wo na pai jay to jis cheez kiliye wo shart hoti hy wo bhi naheen hosakti..
                  yani namaz k liye agar wazu sharat hy to bagair wazu namaz naheen hosakti...\
                  ab rahi baat k agar aap safar main ho to namaz kis taraf monh kar k parheen gy to is main bhi do halteen hain aik to ye k chalti gari ya train main namz kis taraf monh kar k parhi jay aur dosry hon to aap safar main hi laikin ksi jaga utar kar namaz par rahy hon ..
                  pehli sorat main to fuqha ye likhty hain ziyada behtar yehi hy k namaz sawarise utar kar parhi jai laikin gara namaz k waqat k nikal jany ka dar ho to sawari main jis taraf ziyada gumaan ho yani dil motmaen ho k qibla us taraf hoga ussi taraf monh kar k namz par li jay to hojay gi..
                  rahi baa sawari se uatar kar dorany safar namaz parhny ki halat to ALHAMDULILLAH jaga jaga jaga masajid ban gaien hain jo k musafroon kiliye namaz aur qibla dono ko motaen karti hain ..
                  laikin phir bhi gaar aap jangal biyaban main hon to wahan par bhi pehly wali tareeqy se yani ya to kisi se maloom kak ua phir dil ki gawahi se jo ziyada mazboot maloom ho us taaf monh kar k namaz par lain ho jay gi...
                  baqi WALLHA O ALAM
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                    spy009 n aabi2cool aap ke jawab ka bohat bohat shurkia:)

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                      mera khiyal hay pehly nazam qaim kerni chayee.....
                      Ulma kee tarah jawabat baad main diye jain
                      kiun AABI bhai

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                        Originally posted by shy View Post
                        spy009 n aabi2cool aap ke jawab ka bohat bohat shurkia:)
                        baat samjh main bhi aai ya naheen k in page par likh don aap kiliye?
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          baat samjh main bhi aai ya naheen k in page par likh don aap kiliye?
                          likh dain to aur logon ka bee bhala huga.....aur sath main yeh bee likhna k es k liy aik aur sharat hay k NAMAZ bee pari jay:shh:

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            baat samjh main bhi aai ya naheen k in page par likh don aap kiliye?
                            baat samjh to aa gai he:) serf ye bata den k ager is tarah ghalti se ghalat simat namazen parh li hon to kia karna chaey?Allah se toba to zaher he must lekin kia namazen again parhni hon gi?:blush:

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~NamaZ Ka Rukh???~*~

                              Originally posted by shy View Post
                              baat samjh to aa gai he:) serf ye bata den k ager is tarah ghalti se ghalat simat namazen parh li hon to kia karna chaey?Allah se toba to zaher he must lekin kia namazen again parhni hon gi?:blush:
                              اسلام علیکم شے بہن ۔آپ کے سوال کا مختسر جواب یہ ہے کہ ایسی حالت میں پڑھی گئی آپ کی تما م نمازیں صحیح ہیں اور انکا لوٹانا جائز نہیں ۔۔کیونکہ میں پہلے بھی لکھ چکا ہوں کہ اگر آپ ایسی جگہ ہیں جہاں پر قبلہ کا تعین نہیں ہوسکتا اور کوئی نشانی بھی موجود نہیں ہے تو پھر آپ اپنے غالب گمان سے کسی ایک طرف منہ کرکے کہ جس پر آپ کا دل مضبوطی سے جم جاے کہ ادھر ہی قبلہ ہے آپ ادھر منہ کرکے نماز پڑھ سکتے ہو ۔ اب جب آپ نے اس طرف منہ کرکے نماز پڑھ لی کہ جس طرف آپ کے دل نے گواہی دی تھی تو یہ آپکا اجتہادی معاملہ تھا اور اجتہادی معاملے میں اگر غلطی بھی ہوجاے تو شریعت کی رو سے معاف ہے ۔۔لہذا آپ کی ایسی تمام نمازیں درست ہیں ۔۔۔۔
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X