Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

insani jan ki qeemat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: insani jan ki qeemat

    Originally posted by fari View Post
    Apnay iss almiya ko humaray sath share kiya iss kay liya shukriya...Muqadas jee
    Asay waqiyat ajj kal bohat amm hotay ja rahay hain .....Aur un per koi action bhi lata .........ALLAH hum sab ko apnay hifz-o-aman ma rakhien (Ameen):dua

    sumameen thanks 4 reply

    Comment

    • #17
      Re: insani jan ki qeemat

      Originally posted by <> View Post
      eshaa n man of letters

      bat chal nikli ab dekhain k kahan tak pohanchay

      lagay rahain :)
      dear humara bhi unhein kehnay ka yehee maksad tha k her post sirf nice keh denay k liey nahin hoti banday ko kuch opinion dena chahieey laazmi ......

      baqi hum kahan tak pohancha saktay hain baat ko.......siwaey afsos kernay k jessay k hum ooper reply bhi kiya ...k ye hamaray moashray ka almiya ban chuka hay k log apni lamhay bhar ki khushi aur taskeen k lieey kaeey logon ki zindagee mein umr bhar ka andhera bhar detay hain ......Allah aisay logon ko hidayat de ...:dua
      sigpic

      Comment

      • #18
        Re: insani jan ki qeemat

        Originally posted by Eshaa_wellwisher View Post

        bilkul durust farmaya appnay

        Comment

        • #19

          Aaameeeennnnnnnn....Sahee kahaa aaap nai, Kabhee kabhee aaap baray syaneeee batain kartee hain. khush raro Eshaaaa not welwisher.
          any way humay chahiay k aisee baaton ka khayal rakhain.

          Comment

          • #20
            Re: insani jan ki qeemat

            Originally posted by <> View Post
            main aksar sochte hon k kafe logon sya aik sawal pochon
            k kia aj k dor main yeh jo zindage ham jee rahay hain app log is say mutmaeen hain

            yeh dolat ki hawis yeh insano k ander ka hasad jalan kis taraf lay ja raha hai hamain
            abhi koi 3, 4 din pehlay ki bat hai hamaray mohalay main rat 12 bajay 2 khawateen tehal rahi thin aur mobile fone pay batain kar rahi thin k wahan 2 mobile cheenay walay aagay aur use lamhay hamaray mohalay main rehwalay aik 35 sala farhan bhai bahar aay (jo aksar logon k bohat say kam agay barh barh k kia kartay thay ) to jab mobile cheenay walon nay khawateen say cell phone manga to unhonay farhan bhai ko awaz de. Farhan bahi un khwaten ki madad ko gay aur jakay aik admi ko pakra to dosry nay unhay goli maar k hamesha ki neend sula dia

            farhan bhai ki nagahani mot pay aik kuhram mach gaya
            kia insani jan aik cell phone say bhi saste hai lamhay bhar main aik sal ka bacha yateem hoo gaya
            bohat dukh hua sun ke.. Allah Farhan bhaii ko Janat mein jagah ataa fermaaye .. aameen ..

            insan .. us hasti ka naam hai .. jisey dunya main aazmayesh ke liye bheja gia .. dimagh nawaza gia , soch o fikr ataa ki gayee , ye aazmayesh hai ke insan khud ke dil o dimagh body parts ko kis terah use kerta hai ..
            agar har insaan apney aap ka ehtesaab karey har raat soney se pehley .. koi cheating kerney se pehley koi ghalat kaam kerney se pehley .. to kia ye mumkin nazar nahen aa raha ?? ke gunnah kam ho jayen ge azaab kam ho jayen ge ?

            well ham jab tak apney honay ke maqsad ko nahen jantey bhataktey phirtey hain gunnahon ki daldal main gunnahon ki galyon main .. originally ham khud ko talash ker rahey hotey hein .. is baat ko jantey huye ke ham khud ko khudi bhooley bethey hein .. agar har insan ..as a muslim, christ,hindu,jew--apna ehtesaab karey apni Holly books ko follow karey .. to merey knowledge mein ye kahin nahen hai ke ke usey kisi doosrey ko tension deni chahye ..

            Nemaz ki pabandi insan ko na sirf Allah ke nazdeek kerti hai balkeh -- hamen sha'oor milta hai .. ham narm dil ho jatey hain ..
            in my experince-- bohat se log ird gird hain .. jinhen aap akser kehtey suntey ho ge .. ke Allah ne hamen diya kia hai .. kion nemaz parhen kion roza rakhen sab hamen tension detey hein to hamen bhi koi pabandi nahen .. Sincerely dunya in logon ki wajah se azaab main hai .. aiesey musalmanon ki waja se aaj har muslim azaab main hai .. takleef main hai .. Jo log deen ki baat main behason main lagey rehtey hein bina ilm ke .. wo originally shayateen ke per o kaar hain ..

            Allah hamen bacha ke rakhey har aafat preshani mayoosi se aameen .. hamen makhlooq ke huqooq samjhney Allah ke huqooq samajhney pe aur un pe Amal kerney ki taufeeq ataa fermaaye .. aameen

            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment

            Working...
            X