Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    Kabhi suneney mein aaya tha keh insaan bohat sarey logon mein rah ker bhi tanha hota hai - iska ehsaas kya hota hai? Yeh in dino mehsoos ho raha hai jab ahsaas bhi apna nahin raha :) sabhi kuchh badla badla hai - sabhi kuchh praya praya hai - kabhi jinki khushboo bohat door sey aa jati thi woh aaj paas bhi hain magar ajnabi... beganey...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • Re: 'Express yourself'

      tanhai se zeada tar log ghabrate hen lekin is se pareshan nahi hona chaey kabhi kabhi wakai tanhai buri lagti he lekin is tanhai ko positive bna lena chaey.:)

      Comment

      • Re: 'Express yourself'

        Originally posted by hamzad View Post
        tanhai se zeada tar log ghabrate hen lekin is se pareshan nahi hona chaey kabhi kabhi wakai tanhai buri lagti he lekin is tanhai ko positive bna lena chaey.:)

        Bohat mushkil hai Hamzad bohat mushkil -belive me - tanhaii key pehley chand roz to achhey aur bhaley maloom hotey hain, magar jaisey jaisey yeh tanhaii zindagi ki chaki mein pisti hai to insaan pagal ho jata hai - yehi dil karta hai kahin bhag jaey.

        Qayyum Nazar ney kya khoob kaha tha:

        sanata jab tanhaii key zehar mein bujhta hai
        woh gharriyan kyunker kat'ti hain kaisey btaein tumhein
        Last edited by Masood; 28 November 2007, 13:33.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • Re: 'Express yourself'

          Originally posted by Masood View Post
          Bohat mushkil hai Hamzad bohat mushkil -belive me - tanhaii key pehley chand roz to achhey aur bhaley maloom hotey hain, magar jaisey jaisey yeh tanhaii zindagi ki chaki mein pisti hai to insaan pagal ho jata hai - yehi dil karta hai kahin bhag jaey.

          Qayyum Nazar ney kya khoob kaha tha:

          sanata jab tanhaii key zehar mein bujhta hai
          woh gharriyan kyunker kat'ti hain kaisey btaein tumhein
          janti hon:)lekin jab ye tanhai na chahte huey bhi sath binhane chali aey to kuch to karna parta he na?kia khud ko is ke rehem-o-karam par chor dia jaey?ye hamra jo bhi hasher karti phire?

          Comment

          • Re: 'Express yourself'

            Neend bhi kya cheez hay - Jab yeh insaan ke zehan ke pardo pe utarti hay to sab ko is ke aage bebus hona parta hay - kuch bhi yaad nahi rehta - bus dimagh so jata hay - AnkheiN bund - Aur aik khayal dunya main insaan puhanch jata hay - Neend poori ho to insaan bohat fresh fresh rehta hay - atkhelyaN karta hay - hansta muskurata hay - per jab insaan kisi wajah se so nahi pata to be sudh sa rehta hay - Apne andar ki dunya main gum. Madhoshi main guzarta hay us ka yeh waqt.
            Allah

            Comment

            • Re: 'Express yourself'

              Originally posted by hamzad View Post
              janti hon:)lekin jab ye tanhai na chahte huey bhi sath binhane chali aey to kuch to karna parta he na?kia khud ko is ke rehem-o-karam par chor dia jaey?ye hamra jo bhi hasher karti phire?
              Aap kar bhi kya sakti hain? jab tanhaii qaid jheelni hai to issey katna to hai. Apney aap ko is key reham-o-karam per chhorrein ya na chhorrein, jo qaid likhi gaii hai ussey katna hi hai. Jab is rihaii sey aazadi naseeb ho gi, aazad ho jaein gey.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • Re: 'Express yourself'

                Originally posted by aquari View Post
                Sooch ka kaghaz..ek dum kora hai..
                najaney aney waley din is pr kya kya likha jaye gaa
                :rose
                sigpic

                Comment

                • Re: 'Express yourself'

                  Kuchh yadein hain keh peechha nahin chhorrti, kuchh batein hain jo bhooli nahin jatin, kuchh amal hain jo pechhtawa ban jatey hain. Waqt kitni jaldi badal jata hai, magar halaat aksar wohi rehtey hain.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • Re: 'Express yourself'

                    @topic

                    aik bacha hota hai wo bol nahi sakta hai.....leykin uss ki saari medical reports theek hoti heiN...issi halat mey wo apni taleem mukammal kerta hai.....job bhi uss ko aeysi mil jati hai jiss mey bolney ki zaroorat nahi hoti hai...leykin aik din achanak jab uss key saamney coffee serve ki jati hai to wo keh deyta hai
                    "kya mujhey thori si shakkar miley gi"

                    wahan maujood sab log bohot heyraan hotey hein aur jab uss sey poocha jata hai key itney saaaaaaaaaaaaaaaaal tum kyun nahi boley to wo sirf ye kehta hai key

                    "kyun key ab tak sab theek chal raha tha".....

                    leykin iss dunya mey kuch aeysey log bhi hotey hein key kuch sahih na bhi chal raha ho to wo nahi boltey .....Reason??
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • Re: 'Express yourself'

                      Originally posted by Xenya View Post

                      Unhon ney parha nahin hota na isi liyey - parh likh letey to bolney key liyey sahih waqt ka tayyun to kartey na!
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • Re: 'Express yourself'

                        @ topic...

                        aaj humare pass xpress karne ko itna zyadah saara hai ke bus...... sumjh hi nahi aa raha ke kya kya kahein....... woh kya hai na aaj humare xam khatam hogaye hain....... aur na... itna zyadah saara sukoon mil raha hai aaj.... sara din awargardi ki sarkon per..... itne dinu baad...aik acche se resturant mein lunch kiya..... aur aik acchi movie daikhi woh bhi tine dinu baad....... aur phir se awagardi ki.... per ammi ka fone aa gaya.... beta... meri chanda aap ka aik gher bhi tu hota hai na...:blush:... so hum wapis aa gaye.....
                        Last edited by ummid; 29 November 2007, 16:10.

                        Comment

                        • Re: 'Express yourself'

                          zindagi ko fazool kehen to na shukrapan hota he lekin kabhi kabhi lagta he na k kesi zindagi ham jeete hen ya shaed jeete nahi guzarte hen,dusron ki khushiyan,dusron ke khwab,dusron ka khayal,ham khud kahan hote hen is sare chaker me?:donno:hamare khwab,hamari marzi?aik parinda shaed ham se zeada apni marzi ka malik he,kese asmaan ki bulandeyon tak chala jata he:mm:

                          Comment

                          • Re: 'Express yourself'

                            Originally posted by Masood View Post
                            Aap kar bhi kya sakti hain? jab tanhaii qaid jheelni hai to issey katna to hai. Apney aap ko is key reham-o-karam per chhorrein ya na chhorrein, jo qaid likhi gaii hai ussey katna hi hai. Jab is rihaii sey aazadi naseeb ho gi, aazad ho jaein gey.
                            ager zindagi ki qid ki bat kar rahe hen to yakinan tab har cheez se azadi mil jaey gi:Dlekin me ajkal is bat par bohat soch rahi hon k akher insan tanhai kion feel karta he?:mm:jo bhi kuch he sab feelings par depend karta he.ham kabhi bilkul akele ho kar bhi tanhai feel nahi karte or apne me magan khush rehte hen or kabhi dher logon me tanhai feel karne lagte hen.esa serf ham andruni tor par mehsoos karte hen.is ka matlab hamari zeada tar life serf mehsusaat par depend karti he:cc:ager esa he to kia mehsusat ko apni marzi ke tabey nahi kia ja sakta?:mm:ye bara zaruri sawal he is ka jawab mujhe zarur den mujhe kisi or ko bhi ye bawar karwana he k tanhai ko apne par hawi na kia jaey to masla nahi hota:blush:

                            Comment

                            • Re: 'Express yourself'

                              Originally posted by Masood View Post
                              Unhon ney parha nahin hota na isi liyey - parh likh letey to bolney key liyey sahih waqt ka tayyun to kartey na!
                              aap nahi samjhey bhai
                              Originally posted by ummid View Post
                              @ topic...

                              aaj humare pass xpress karne ko itna zyadah saara hai ke bus...... sumjh hi nahi aa raha ke kya kya kahein....... woh kya hai na aaj humare xam khatam hogaye hain....... aur na... itna zyadah saara sukoon mil raha hai aaj.... sara din awargardi ki sarkon per..... itne dinu baad...aik acche se resturant mein lunch kiya..... aur aik acchi movie daikhi woh bhi tine dinu baad....... aur phir se awagardi ki.... per ammi ka fone aa gaya.... beta... meri chanda aap ka aik gher bhi tu hota hai na...:blush:... so hum wapis aa gaye.....

                              Originally posted by hamzad View Post
                              zindagi ko fazool kehen to na shukrapan hota he lekin kabhi kabhi lagta he na k kesi zindagi ham jeete hen ya shaed jeete nahi guzarte hen,dusron ki khushiyan,dusron ke khwab,dusron ka khayal,ham khud kahan hote hen is sare chaker me?:donno:hamare khwab,hamari marzi?aik parinda shaed ham se zeada apni marzi ka malik he,kese asmaan ki bulandeyon tak chala jata he:mm:
                              yep ... apney liye zindgai jeena her aik ko nahi ata .... ye seekhna perhta hai
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              • Re: 'Express yourself'

                                hmm...

                                well aaj mera din tu bohut hi acha raha...
                                bcz aaj yahan mosam-e-serma ki pehli barish hui aur uss se mosam mai aik khush guwar si tabdeeeli aa gai hai...
                                lekin iss se serdi bhi berh gai hai...
                                over all aaj ka din iss barish k naam tha aur kafi acha guzera... :)

                                Free call from net to fone.
                                To 181 countries.
                                100 % working and tested.

                                Comment

                                Working...