Re: 'Express yourself'
Assalaam-O-alaikum
Aaj bohat say countries main Roza hay aur INSHALLAH Pakistan main aaj raat TARAWEEH ka ahitmaam hoga, bohat khushi hoti hay jab bhi Ramadan ka ba-barkat mahina shuroo hota hay, Masajid pur-rounaq hojaati hain, markets main aur logon main aik ajab sii khushi ki lehar douRnay lagtii hay, sab log Ramadan main EID ki bhi tayyariyan karnay lagtay hain, shopping, waghaira bhaR jaati hay..
Iss kay liye nayay nayay Pakwaan, iftaar aur sahoor ka bandoobast, pakooray, samoosay, jelly, custard, tarah tarah kay fruits yeh sab RAMADAN ki barkat hay, kay ALLAH SWT sab ko toufeeq daiata hay kay woh inn sab ka ehtimaam karain!!
MAGAR
Rozay ka asal maqsad 'apni rooh ki pakeezgi' hay, yehi mouqa hay kay hum apni rooh ko tar-o-taaza aur PAK karain aur rozay main unn logon ka 'ehsaas' bhi zaroor karain jihain 3 waqt ki roti bhi naseeb bhi nahin hoti... ALLAH SWT humain apnay imaan ko mazboot karnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN SUM AMEEN

Comment