Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    ub keh ke to dekho, phir dekho mein kia kerta
    akher namoona kehne se kia fark parta he:embarasse

    Comment


    • Re: 'Express yourself'

      Originally posted by senorita View Post
      akher namoona kehne se kia fark parta he:embarasse
      chalo aik baar aur namoona keh ker is ke aser ko neutralize kero
      :thmbup:

      Comment


      • Re: 'Express yourself'

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        chalo aik baar aur namoona keh ker is ke aser ko neutralize kero
        akher aap namoona kehne se itna chirte kion hen?:mm:koi nafseyati masla??:khi:

        Comment


        • Re: 'Express yourself'

          Originally posted by senorita View Post
          akher aap namoona kehne se itna chirte kion hen?:mm:koi nafseyati masla??:khi:
          theek he ub neutralize ho gaya, ub phir mut kehna, warna mujay weham ho jaye ga :kr:
          :thmbup:

          Comment


          • Re: 'Express yourself'

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            theek he ub neutralize ho gaya, ub phir mut kehna, warna mujay weham ho jaye ga :kr:
            namoona keh dene se aap wehmi bhi ho sakte hen??mujhe andaza nahi tha:khi:

            Comment


            • Re: 'Express yourself'

              Originally posted by senorita View Post
              namoona keh dene se aap wehmi bhi ho sakte hen??mujhe andaza nahi tha:khi:
              phir keh dia tum ne :na:

              theek hua he tumharay saath jo tumharay musheer merdon wala home gym le aaye :kr:
              :thmbup:

              Comment


              • Re: 'Express yourself'

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                phir keh dia tum ne :na:

                theek hua he tumharay saath jo tumharay musheer merdon wala home gym le aaye :kr:
                namoona kehne par aap mujhe yun gym ke tane maren geme esa soch bhi nahi sakti thime ainda aap ko kabhi kabhi namoona keh lia karun gi:khi:

                Comment


                • Re: 'Express yourself'

                  Originally posted by senorita View Post
                  namoona kehne par aap mujhe yun gym ke tane maren geme esa soch bhi nahi sakti thime ainda aap ko kabhi kabhi namoona keh lia karun gi:khi:
                  Theek he phir mein bhi aap ko merdana home gym ke taana maarna nahi bhoolon ga :kr:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • Re: 'Express yourself'

                    kuch puraani yaadien kuchh beetay lamhay kuchh pyaaray mann mohnnay loog aur mera pyaar ....yehi hy zindagi ka haasil.
                    koi hay jissay sooch k hoont muskuraatay hien shagoofay chatakty hien aur phool chaaroon aur bikhar jaatay hien.tab zindagi boht haseen lagti hay.

                    Comment


                    • Re: 'Express yourself'

                      khushi mien nami kiun hooti hay.....nami ka hum say ajab rishta hay ..hamayshaa saath saath rehti hay...khushi ho ya gum.
                      shehnaiyaan bajien ya maatam ho ...yeh har jagah mojood.
                      par dukh mien aankhoon ki nami dil halka karti hay aur khushi mien aankhoon ki nami aksar hamien kai weham aur soochoon mien daboo dayti hay.....kahin yeh khushi waqti na ho..kahin kisi ki nazar nah lag jaay....aur najaanay kya kya.
                      aysi soochoon say banda apni khushi ka gala apnay hee hathoon say daba dayta hay.
                      khushi ka jitna wqt hay woh utni dayr hee hamaaray sang rahay gi to kiun na woh pal poori tarhaa say enjoy kar liay jaien.

                      Comment


                      • Re: 'Express yourself'

                        insaan aur khawahishaat ka aapis mien choli daaman ka saath hay.khawahishaaat hien k shaytaan ki aant ki tarha lambi hein(go k mien nay shaytaan ki aant daykhi nhi par khawahishaat ko daykh kar uski aant ki lambaai ka andaaza bakhoobi lagaya jja sakta hay.)well
                        to mien baat kar rahi thi khahishoon ki.khahish koi boht ajeeb anookhi shay nhi hay.hum sab hee is say waqif hien balkay bakhoobi waqif hien .yeh khahish hee to hay jo sakoon say insaan ko jeenay nhi dayti.aur insaan bhi to ajab hay.ik khahish poori hoti hay to us say bari khahish payda ho jaati hay.lagta hay k agar yeh cheez mil gai to phir sab kuchh mil gya.zindagi ka hasil hay yeh.aur us khahish k poora honay par nai khahish...aur phir aik k baad aik ...aur yeh ik na khatam honay waala silsila hay.
                        aur agar ik khahish poori na ho to lagta hay jaysay zindagi mien kuchh raha hee nhi.jaysay zindagi mien sunsaani hee sunsaani hay.
                        ajab hien hum ajab hay hamari mantaq.
                        jo shay mil gai uski koi qadar nhi.balkay anmool shay bhi agar mil jaay to woh baymol ho jaati hay aur ik bay maani si shay agar na mil paay to wohi anmool ho jaati hay.insaan usaay paanay k liay sab kuchh luta dayta hay aur hasil k baad khabar hoti hay k yeh bhi bay mol hay.

                        Comment


                        • Re: 'Express yourself'

                          na roo saktey hain
                          na faryad kar saktey hain
                          dil manneny ko tayyar nahi
                          na haqeeqat se inkar kar saktey hian

                          Dua ke lein haath buland hain
                          magar mangon bhi tu kia mangon
                          sabar tu aatey aatey aata hai
                          zakham tu waqt hi bharta hai

                          akhir koi kiun chor kar chala jata hai
                          iss dunya se dar-e-fani
                          aur hamein yaadon ke dheer de jata hai

                          Comment


                          • Re: 'Express yourself'

                            Waqt k saath saath tabdeliyan atee rehtee hain , lekin Yaadon k kuch jugnoo aissay hotay hain , jo khuli hatheliyon se bhi nahin urtay, kuch titliyon k rang ungliyon k baar baar jhtaknay se bhi nhin chho'tay , yadoon k ye jugnoo her lamha her pal ko roshan kiey rakhtay hain
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: 'Express yourself'

                              yaadon ke in rangoon main dukh ki barsaath zada hai
                              jab jab yaadon ki titliyan jagti hian...ankhin sawan geet sunati hian
                              pal pal ki roshanyaadin bas aik zara sa tabassum bakhrti hian
                              aur an ki an main inka nishan bhi baqi nahi rehta
                              sab ankhon ke sawan main behjata hai

                              Comment


                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                                Waqt k saath saath tabdeliyan atee rehtee hain , lekin Yaadon k kuch jugnoo aissay hotay hain , jo MOTI HATHNIYON se bhi nahin bhooltey,
                                :kr::kr::kr::kr::kr::kr::kr::kr::kr::kr:

                                sach kaha jabhi aap nahin bhooltin :kr:
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X