Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    lamha lamha me sab se door hoti ja rahi hon kion k na sab ki baten mujhe samjh ati hen na sab ki mantak:donno:kese pata chale ke ghalat kon he me ya sab logakher zindagi seedhi seedhi si kion nahi guzari ja sakti is me jalebi jese bal kion hen dher sare,is ko itna uljha kion dia jata he:pagal:

    Comment


    • Re: 'Express yourself'

      uff ...yeh itna serious topis he??????

      sahi batae....


      mein to is lie chup raha k yeh masti wala topic he......

      Comment


      • Re: 'Express yourself'

        Originally posted by MSA View Post
        uff ...yeh itna serious topis he??????

        sahi batae....


        mein to is lie chup raha k yeh masti wala topic he......
        nahi ye itna serious topic nahi he aap yahan sanjeeda or gher sanjida har tarah se baat kar sakte hen

        Comment


        • Re: 'Express yourself'

          phir yeh uper kia tha.....
          is mein to gaer sanjida to kuch nahi tha...

          Comment


          • Re: 'Express yourself'

            Originally posted by MSA View Post
            phir yeh uper kia tha.....
            is mein to gaer sanjida to kuch nahi tha...
            to me ne sanjida baat ki ap ko gher sanjida baat karni he to aap karen koi pabandi to nahi he na:mm:

            Comment


            • Re: 'Express yourself'

              in my opinion ....

              mein ne thori si xindagi me yeh baat note ki hae k agur app dosro ki mushkilein asaan kurein gein to app ki mushkil Allah tallah ksi na kisi k zarie asaan kur hi de ga.....bus intezar aur saber ki zarurt he....

              hamare is dunya mein anae ka muksud jahan Allah k batae huwae akhkamat pe amul kurna he....waha aik bara muqsud khulk e khuda ki assania dour kurna he....bechuk asania dour kurna ALlah k hath me he...lekin hum wasila banaya gaya he....

              agur hamre aamal dekhein jay to hum me se koi bhi jannat ka huq dar nahi...to kyun na koi aisa kam kur dia jay ya kisi ko hasa dia jay ya kisi ki mushkil hal kur di jay jis se us ki pareshani dour ho jay...aur us k dil se sachi dua nikal...jay aur hamara kaam asaan ho jay...


              sanjida batein phir kabhi kuro ga:khi::khi:

              Comment


              • Re: 'Express yourself'

                jab mene tujhe pehli baar dekha tha khud ko tumhare hussan k samandar mein doobte mehsoos kar raha tha khud ko........mene aankhen band kin aur wapis janay ki koshish karta raha, tumhare hussan se moon moornay ki koshish karta raha....lekin tumhare zulf zanjeer ban gaye tumhari aankhen ne mujhe majboor kiya tumhari adaain mujhe bulati rahen.....mein na chahtay huay bhi tumhari taraf khincha chala aaya......lekin tumhara dil mera na hua..............tum mere liye ek khawab ban gayen........
                sigpic

                Comment


                • Re: 'Express yourself'

                  kabhi kabhi zindagi ese lagti he jese train me safar karte hen har cheez bhagti hui,bas guzar rahi he log,manaazer,har cheez bas guzarti ja rahi he or ham heran se ho kar dam sadhe ye sab kuch dekh rahe hen:mm:

                  Comment


                  • Re: 'Express yourself'

                    kion hua aisa mere saath mene kabhi aisa nahi socha tha ..................................
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: 'Express yourself'

                      hamare sath akser esa hi hota he jesa ham ne socha nahi hota or wesa aksar nahi hota jo ham ne socha hota he or yehi zindagi he

                      Comment


                      • Re: 'Express yourself'

                        aj to puri dunya ki esi ki tesi karne ko dil chah raha tha

                        Comment


                        • Re: 'Express yourself'

                          na jaanay kya hay k dil mien ajab si khamooshi chaai hay kabhi ghabraahat hoti hay to kabhi dar sa mehsoos hota hay k aakhir maajra kya hay.
                          saara din ajab raha aankhien nam aur dil sunsaan.na jaanay kya hay k dil har cheez say uchaat ho gya hay.har shay apni manawiyat zaayal karti jaa rahi hay.
                          meray charoon oor sab kuchh theek hay par mien theek nhi hoon.kharaabi kya hay yeh bhii pata nhi.

                          Comment


                          • Re: 'Express yourself'

                            na koi geet likh pa raha hoon na gazal.....lagta hai zehan mein bhi khizan ka mousam aa gaya hai soch k sisilay ruk se gaye hain......tum bin kuch bhi to nahi kiya jata hai mujh se.........kuch bhi nahi likha jata hai mujh se...
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: 'Express yourself'

                              kabhi na khoofzada honay waali Duaa najaanay khoofzada kiun hay.
                              apnoo say doori kya itni takleefdah hoti hay k dil dharakna bhool jaay.yun mehsoos hota hay jaysay yeh pal hay magar agla pal pata nahi kahin rah mien hee nah reh jaay.
                              kal bhai say bhi daant pari k aysi kohji shakal bana k mat baythoo meray saaray kaam bigar rahay hien.....unki baat par to hamien hansi aai magar aankhien to unki bhi nam thien........pata nahi yeh judaai kiun aati hay aur juda hona itna mushkil kiun hota hay......:(

                              Comment


                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by *Duaa* View Post
                                kabhi na khoofzada honay waali Duaa najaanay khoofzada kiun hay.
                                apnoo say doori kya itni takleefdah hoti hay k dil dharakna bhool jaay.yun mehsoos hota hay jaysay yeh pal hay magar agla pal pata nahi kahin rah mien hee nah reh jaay.
                                kal bhai say bhi daant pari k aysi kohji shakal bana k mat baythoo meray saaray kaam bigar rahay hien.....unki baat par to hamien hansi aai magar aankhien to unki bhi nam thien........pata nahi yeh judaai kiun aati hay aur juda hona itna mushkil kiun hota hay......:(
                                Judai ek dard hai....judai ek aziyet hai......bas isay wahi mehsoos kar sakta hai jis ne ye dard saha hoga.......koi aur is dard ko mehsoos nahi kar sakta...
                                qismat mein agar judai ho to hum laakh chahyen magar kuch nahi ho sakta bass Dua he kar sakte hain..........apnoo se doori ka dard bara takleef da hota hai
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X