Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    Dekhtey hi dekhtey duniya kitni badal gaii :) Aik pal mein nazr-e-iltifaat badal gaii, aik pal mein woh khushboo urr gaii jiskey dam sey kisi ki sansein mehakti hain - kitni ajeeb hai na yeh sari hasti - aik khawab, rangeen khawab - jis mein bohat jhilmil hai, bohat roshniyaan hain, bohat rangarang jhameley hain - magar phir bhi ham akeley hain :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • Re: 'Express yourself'

      Originally posted by Masood View Post

      :donno:

      Comment

      • Re: 'Express yourself'

        kuch samjh nahin a rahi ha kiya karon

        Comment

        • Re: 'Express yourself'

          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          soch raha hon bohat thakawat ho rahi ha mujhe.
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          nahin kuch raaton se soya nahin hon na is liye thora samjh gaye na

          kher

          :eye:
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          uff bus abhi mein tu office se nikalnay wala hon
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          is time dil chah raha ha ka so jawon aur bus
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          Thak gaya hon
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          bore ho raha hon
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          bus office se nikalnay ki tiyari kar raha hon
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          mein tu ab office mein bhi a gaya...
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          hum bhi ha na
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          aaj tabiyat bohat kharab ho rahiha pata nahin q
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          maloom nahin kuch samjh nahin a rahi ha
          sara jissam dard kar raha ha
          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          kuch samjh nahin a rahi ha kiya karon
          Mohtram BAQARKASHMIRI sahib - aap ki yeh chand posts dekh ker main soch raha hoon keh aap ko aik elag sey thread bnaa don "Baqar ki batein" aap aisi batein udher hi share karein to kitna achha lagey? :tauba
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • Re: 'Express yourself'

            @ topic...

            raste kyun taweel hai itne...
            zindagi mukhtaser mili hai hume...

            Comment

            • Re: 'Express yourself'

              ummmmm sumtimes life changes laati hai........jo buhat khoobsoorat hooty hain.........kuch ehsaas,kuch rishty,kuch baatin......jese khushion ki mala se bani hooti hai.......:)

              Comment

              • Re: 'Express yourself'

                feeling pain in neck

                Comment

                • Re: 'Express yourself'

                  pata nahi kahan ja kar rukna he or rukna bhi ya yun hi sab kuch hota chala jaey ga ya to pehle sab aik khwab tha ya ab ye sab aik khwab he.

                  Comment

                  • Re: 'Express yourself'

                    Originally posted by hamzad View Post
                    pata nahi kahan ja kar rukna he or rukna bhi ya yun hi sab kuch hota chala jaey ga ya to pehle sab aik khwab tha ya ab ye sab aik khwab he.
                    Kahan jata hai keh marney key baad jagaya jaey ga - yani hamein hamarey khawabon sey bedar kiya jaey ga - to kya yeh zindagi aik khawab hai? Aik lamba khawab? Aik talakh haqeeqat per mabni khawab?
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • Re: 'Express yourself'

                      Originally posted by Masood View Post
                      Kahan jata hai keh marney key baad jagaya jaey ga - yani hamein hamarey khawabon sey bedar kiya jaey ga - to kya yeh zindagi aik khawab hai? Aik lamba khawab? Aik talakh haqeeqat per mabni khawab?
                      han ye aik na samjh ane wali kefeyat he or aj kal pata nahi kion me esa hi kuch sochti rehti hon kabhi kabhi to lagta he me shaed normal hi nahi hon

                      Comment

                      • Re: 'Express yourself'

                        Originally posted by hamzad View Post
                        han ye aik na samjh ane wali kefeyat he or aj kal pata nahi kion me esa hi kuch sochti rehti hon kabhi kabhi to lagta he me shaed normal hi nahi hon
                        aksar oqat har zi'aql khud ko abnormal samajhta hai, ya phir log ussey samajhna shuru kar detey hain... samajh bhi aik ajeeb shay hai, jab aati hai to badi bhiyanak soorat mein warna aati hi nahin...
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • Re: 'Express yourself'

                          Originally posted by Masood View Post
                          aksar oqat har zi'aql khud ko abnormal samajhta hai, ya phir log ussey samajhna shuru kar detey hain... samajh bhi aik ajeeb shay hai, jab aati hai to badi bhiyanak soorat mein warna aati hi nahin...
                          bohat sari baton ka idraak na hona or bohat sari cheezon se laa ilm rehna bhi shaed aik bari nemat he.jab ham insanon ka asal or cheezon ki asleyat samjhne lagte hen to ye baat khasi dukh dene wali sabit hoti he

                          Comment

                          • Re: 'Express yourself'

                            Originally posted by hamzad View Post
                            bohat sari baton ka idraak na hona or bohat sari cheezon se laa ilm rehna bhi shaed aik bari nemat he.jab ham insanon ka asal or cheezon ki asleyat samjhne lagte hen to ye baat khasi dukh dene wali sabit hoti he

                            Nuqsan'deh aagahi sey la'ilmi achhi hoti hai - aur jo ilm amal mein khalal daaley ussey mit jana chahiyey - afsos hamarey haan wohi ilm maqbool hota hai jo amal sey door karta hai :(
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • Re: 'Express yourself'

                              hi ma is forum per new hoon soch raha hoon kiya ap mujh se dosti karn ge
                              sigpic
                              Dill Nasheen ho
                              ...
                              Dill kasheen ho ...

                              Comment

                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by Rameez View Post
                                hi ma is forum per new hoon soch raha hoon kiya ap mujh se dosti karn ge
                                Pegham is a family forum - yahan per ham sab aik family ki tarha sey hain, aur har koi har aik ka dost hai - jab tak koi dosti ka haq ada karta rahey :) - Yahan per aik moto hai: izzat karo aur izzat karwao.
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X