Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
'Express yourself'
Collapse
X
-
Re: 'Express yourself'
us ka mukh ik jot hai, ghoonghat hai sansaar
ghoonghat mein woh chhup geya mukh per aanchal daar
zahid ney mera haasil-e-eemaan nahin dekha
rukh per teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
main ney kabhi ru-e-shab hijraan nahin dekha
rukh per teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
aaey they sabhi tarha key jalwey merey aagey
main ney magar aey deedah-e-hairaan nahin dekha
rukh per teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
kya kya huwa hangama-e-junoon yeh nahin maloom
kuchh hosh jo aaya to gareebaan nahin dekha
rukh per teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
zahid ney mera haasil-e-eemaan nahin dekha
مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں
Comment
Comment