Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    Originally posted by ummid View Post
    ahan... welcome back shy jaani...:phool:
    http://www.pegham.com/showthread.php...470#post448470 :rose
    thanx 4 ur welcome dear ummid:phool:

    Comment

    • Re: 'Express yourself'

      Aur Yahan aaj Temp 52C hai
      sigpic

      Comment

      • Re: 'Express yourself'

        :36_1_58[1]: :36_3_16[1]: :36_3_15[1]: :36_1_34[1]: :36_3_12[1]: :36_1_70[1]: :36_3_9[1]: :36_3_6[1]: :36_3_1[1]: :v:...aur be bataooo
        Last edited by BUS U HE; 10 June 2007, 15:09.

        Comment

        • Re: 'Express yourself'

          Duniya ko hamaysha apni nazar say daykha....har chehra khoobsoorat tha...acha aur har dil saaf aur khoobsoorat
          magar aaj duniya ko duniya ki nazar say daykha..........ahh:ahhh: .....aur dil dehl gya..
          chehray rooshan aur khoobsoorat hien magar dil.......

          aankhien dil ka aaina hoti hien aur aankhoon mien jo nazar aaya woh takleef dah tha...

          pata nhi loog aysay kiun hoty hien....... itnay sayah dil.

          ik sahab apni cute si bachhi aur wife k saath khaana khaanay restuarent aay huay thay magar majaal hay jo unki nazar ik jagah par tik rahi hoo...saray restuarant mien ghoom rahi thi..... aur agar road par aa jaoo to jitnay bhi loog hien... aysa mehsoos hota hay k naqaab oorhay huay hien achhai ka......
          aur kuchh loogoon ko to naqaab ki bhi zaroorat mehsoos nhi hoti....
          Allah jaanay loog aysay kiun hien.....har insaan ko bas ik hee life milti hay.....aur har shakhs ka amal is duniya par asar andaaz hota hay ..... magar loog jaanay kiun nhi samajhty..........
          Allah sabko buray loogoon aur unki buraai say bachaay..... :dua

          Comment

          • Re: 'Express yourself'

            Yeh dil bhi ajeeb cheez he...ager sambhal jaye to bari se bari museebat ko aasani se jhail jata he...aur ager yeh be-kaabu ho jaye aur preshaan kerne lagay to yeh khud he sub se bari museebat ban jata he. abi sambhalnay ki puri kooshish ker raha hoon, lekin pata nahi doosray he lamhay yeh bekaabu kyon ho jata he. Laakh samjata hon isay ke jub tak zinda hoon tub tak to skoon se jeenay de, lekin yeh kaabu mein he nahi aata
            :thmbup:

            Comment

            • Re: 'Express yourself'

              Originally posted by *Duaa* View Post

              aameen:dua
              :thmbup:

              Comment

              • Re: 'Express yourself'

                Originally posted by Shaheeen View Post
                kash yahan b gharmi hoti
                Lahore aa ja, sare kash khatam ho jain ge

                Comment

                • Re: 'Express yourself'

                  Originally posted by musaddaq View Post

                  :khi:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • Re: 'Express yourself'

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Yeh dil bhi ajeeb cheez he...ager sambhal jaye to bari se bari museebat ko aasani se jhail jata he...aur ager yeh be-kaabu ho jaye aur preshaan kerne lagay to yeh khud he sub se bari museebat ban jata he. abi sambhalnay ki puri kooshish ker raha hoon, lekin pata nahi doosray he lamhay yeh bekaabu kyon ho jata he. Laakh samjata hon isay ke jub tak zinda hoon tub tak to skoon se jeenay de, lekin yeh kaabu mein he nahi aata

                    jabhi tu loog kehtey hain k 4din ki zindagi haii hans khel kr guzar loo ..pr haqeeqat sey ankhain band kr lena bhi tu aql mandi nahi ....face tu krna hai pr ager dil pr qaboo hoo tu haqeeqat ka samna krna asan hojata hai..shayed aaj kal hr shaks isi qism k halat ka shikar haii pr farq yehi hai k humain apni nazar sey apna aapp zayda takleef main nazar ata hai ....
                    jub Dil pr qaboo na rahey tu ussey yeh samjhaa doo k aaj mushkil hia tu kal acha waqt bhi hogaa...bus ummid ka diya roshan raheyy baqii jo Malik ki marzii

                    Comment

                    • Re: 'Express yourself'

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      Lahore aa ja, sare kash khatam ho jain ge

                      :kr: loog barey nashukrey hotey haii naa :khi:

                      Comment

                      • Re: 'Express yourself'

                        Originally posted by aquari View Post
                        jabhi tu loog kehtey hain k 4din ki zindagi haii hans khel kr guzar loo ..pr haqeeqat sey ankhain band kr lena bhi tu aql mandi nahi ....face tu krna hai pr ager dil pr qaboo hoo tu haqeeqat ka samna krna asan hojata hai..shayed aaj kal hr shaks isi qism k halat ka shikar haii pr farq yehi hai k humain apni nazar sey apna aapp zayda takleef main nazar ata hai ....
                        jub Dil pr qaboo na rahey tu ussey yeh samjhaa doo k aaj mushkil hia tu kal acha waqt bhi hogaa...bus ummid ka diya roshan raheyy baqii jo Malik ki marzii
                        Baaz aukaat insaan saari hakeekaton ko jaan ke bhi nahi jaan paata...kabi kabi insaan aik aisi situation mein phuns jata he ke na to wo us se bahir nikal pata he aur na he us ke ander reh ke us ka survival hota he. Aisay lamhaat insaan ki zindagi mein bohat kum aatay hein, lekin jub aatay hein to apnay saath udaasi, fiker, depression ka samaan saath laatay hein. Insaan kuch baaton ko zehan se jhataknay ke baad bhi nahi jhatak paata...aisay mein insaan ko apni hakeekat aur be-bassi ka bakhoobi andaza ho jata he
                        :thmbup:

                        Comment

                        • Re: 'Express yourself'

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Baaz aukaat insaan saari hakeekaton ko jaan ke bhi nahi jaan paata...kabi kabi insaan aik aisi situation mein phuns jata he ke na to wo us se bahir nikal pata he aur na he us ke ander reh ke us ka survival hota he. Aisay lamhaat insaan ki zindagi mein bohat kum aatay hein, lekin jub aatay hein to apnay saath udaasi, fiker, depression ka samaan saath laatay hein. Insaan kuch baaton ko zehan se jhataknay ke baad bhi nahi jhatak paata...aisay mein insaan ko apni hakeekat aur be-bassi ka bakhoobi andaza ho jata he

                          insan hai hi bebas phir bhi woh baaz nahi ata,hr bar umiid laga leta haii ,khuwab dekhta haii .....ha aisi sitituation bauht jaan leva hoti hia k na tu app k pass koi hal hota hia na lay'amal k jis pr chal kr kuch behtri ki taraf jaya jasakey sub kuch jantey howey bhi anjan hona prta hia or anjan hotey howey bhi sub maloom hota hai...kuch haqeeqatain nazar arahi hoti hai phr bhi hum un sey ankh milatey howey ghabratey hain kunk un main woh shamil nahi hota jis k hum arzoo kr raheyhotey hainn ..zen jub tak masroof rahey gaa kuch pal k lya sukoon hogaa pr kuch haqeeqatain humarey under hi majoud rehti hain

                          Comment

                          • Re: 'Express yourself'

                            Originally posted by aquari View Post
                            insan hai hi bebas phir bhi woh baaz nahi ata,hr bar umiid laga leta haii ,khuwab dekhta haii .....ha aisi sitituation bauht jaan leva hoti hia k na tu app k pass koi hal hota hia na lay'amal k jis pr chal kr kuch behtri ki taraf jaya jasakey sub kuch jantey howey bhi anjan hona prta hia or anjan hotey howey bhi sub maloom hota hai...kuch haqeeqatain nazar arahi hoti hai phr bhi hum un sey ankh milatey howey ghabratey hain kunk un main woh shamil nahi hota jis k hum arzoo kr raheyhotey hainn ..zen jub tak masroof rahey gaa kuch pal k lya sukoon hogaa pr kuch haqeeqatain humarey under hi majoud rehti hain
                            well said :clap:

                            Yeh hakeekatein ya aisi soorat-e-haal aik parasite ki tarah hoti he, jo bazahir aap se chimtay rehti hein aur ziada nuksaan de nazar nahi aatein, lekin saath mein aap ka khoon bhi choos rahi hoti hein :)
                            :thmbup:

                            Comment

                            • Re: 'Express yourself'

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              well said :clap:

                              Yeh hakeekatein ya aisi soorat-e-haal aik parasite ki tarah hoti he, jo bazahir aap se chimtay rehti hein aur ziada nuksaan de nazar nahi aatein, lekin saath mein aap ka khoon bhi choos rahi hoti hein :)

                              ha ek trha sey kuch talkhiya slow poisning ki trha hoti hai hum face tu krrahey hotey hai ,mager kitna bhi optimistic hojaayin nateeja sey khud agah hotey hainn..phir bhi ummid kr hi letey hain kunk is k siwa chara bhi koi nahi or waqt pr choor kr agey barh tu jatey hian pr apneyunder kuch ruk jata haii

                              Comment

                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                :khi:
                                haan na, batain suno zara

                                Comment

                                Working...
                                X