Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tan

    assalam alaikum



    tamam membran se aik savaal hai.



    duniya me jitnay bhi muslim mumalik hain jinkay naam TAN par khatam hotay hain woh sabhi ghareeb kyun hain.

    maslan:
    PakisTAN

    UzbekisTAN

    KazakhsTAN

    KyrgyzsTAN

    TurkmenisTAN

    TurkisTAN (mojooda Turkey)



    taalib e dua

    jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
    yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati


  • #2
    Re: Tan

    Originally posted by zahid
    assalam alaikum



    tamam membran se aik savaal hai.



    duniya me jitnay bhi muslim mumalik hain jinkay naam TAN par khatam hotay hain woh sabhi ghareeb kyun hain.

    maslan:
    PakisTAN

    UzbekisTAN

    KazakhsTAN

    KyrgyzsTAN

    TurkmenisTAN

    TurkisTAN (mojooda Turkey)



    taalib e dua

    to un kay naam badal kay unhaye ammer bana daytay hain :wink
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Tan

      Mmm

      :cc:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Tan

        Originally posted by Aanchal
        to un kay naam badal kay unhaye ammer bana daytay hain :wink
        leykin kya naam badalney sey wo ameer ho jayein gey
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Tan

          Zahid yeh to aik itfaqi mushahidah hai aur koi jhoot nahin keh bohat sey muslim mumalik ghareeb hai jinkey naam tan peh khatam nahin bhi hotey. Islami mumalik mein aik bhi mulk aisa nahin jissey ghareeb kaha jaa sakta hai, masla siraf yeh hai keh islami mumalik ko ghareeb bnaa diya geya hai. Ab aap misaal lijiye siraf apney Pakistan ki. Yeh mulk tareekh-e-insaaniyat ka wahid mulk hai jissey mazhab key naam peh hasil kiya geya hai na keh kisi political reason ki wajjah sey. Pakistan mein qudrati wasaeel ka aik waseeh zakheera mojood hai, jissey istimaal mein NAHIN laya jata. Balochistan mein tail ka aik bohat bada zakheera mojood hai, magar chunkeh woh sara tail Iran sey ho kar Pakistan aata hai aur agar Pak woh tail nikaley to Iran ko nuqsaan hota hai, lehaza 1973 mein aik muhaeedey key tehat Pakistan ney tail na nikalney peh dastkhat kar diye.

          Hamarey leaderon ney jitna paisa Swiss bankoon mein jama kiya hai, jitna paisa chori kiya hai, jitna zakheera kiya hai agar woh sab ka sab nikalwaya jaey to hamara mulk khud kafeel ho jaey. Magar YEH WATAN CHORON AUR LUTERON KEY LIYE BNAYA GEYA THA. Is mulk peh jis ka zor lagta hai woh apni apni satah peh isse loot'ta hai. Hamara tumhara, sab ka jab bhi dao lagta hai ham kuchh kami nahin kartey. Mujhey to hairat is baat peh hai keh 50 saal sey ooper ho chuka hai is mulk ko lut'tey - aaj tak iska khizana kam nahin huwa :shh:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: Tan

            Originally posted by barg.e.gul
            leykin kya naam badalney sey wo ameer ho jayein gey
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: Tan

              Asslam O Alaikum,

              Turkey is not a ghareeb country, Pakistan is not a ghareeb country, baqee jo hain ghareeb wo kyun hain main nahi janta i guess Masood nahi sahi bataya hai :) khush rahyeh
              Waslam

              Comment


              • #8
                Re: Tan

                I am not agreed aur kahan se yeh record mila ke wo mulk gharib hai jiska naam TAN per khatm hota ho...

                Gharibi mulk ke per capita income se lagaya jata hai

                yehan dekhen according to world bank record GNI per capita income

                Turkey- 2,790 dollar
                Kazakhstan - 1,780 dollar

                Pakistan, Turkistan gharib countries nahin hai, phir per capita se hi hum kisi ko poor analysis nahin kar sakte whan ke population ka bhi aham kirdar hota.


                Uzbekistan aur kazakstan bhi gharib nahin hai...


                Agar per capita income se dekhte hain to aur bhi muslim countries hain jo bahut gharib hai. Bangladesh ( 400 dollar) inss sab mulkon se zyadah gharib hai, Bangladesh se zyadah gharib Nigeria (390 dollar) uss se kam Somaliya (130 dollar).

                Tajikistan aur Kyrgyzstan (per capita 190, 330 dollar hai) but wahan population bhi dekhen kitna kam hai.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: Tan

                  w.salam!

                  ye ik ittifaq hai jise mehnat,honesty n hardworking n self devotion se badla bhi ja sakta hai
                  ager her citizen aisa ho jai n statemen bhi to aisa possible hai k yahi countries PROSPERITY ki misaal bhi ban jain:)

                  Comment


                  • #10
                    Re: Tan

                    Originally posted by Spy009
                    I am not agreed aur kahan se yeh record mila ke wo mulk gharib hai jiska naam TAN per khatm hota ho...

                    Gharibi mulk ke per capita income se lagaya jata hai

                    yehan dekhen according to world bank record GNI per capita income

                    Turkey- 2,790 dollar
                    Kazakhstan - 1,780 dollar

                    Pakistan, Turkistan gharib countries nahin hai, phir per capita se hi hum kisi ko poor analysis nahin kar sakte whan ke population ka bhi aham kirdar hota.


                    Uzbekistan aur kazakstan bhi gharib nahin hai...


                    Agar per capita income se dekhte hain to aur bhi muslim countries hain jo bahut gharib hai. Bangladesh ( 400 dollar) inss sab mulkon se zyadah gharib hai, Bangladesh se zyadah gharib Nigeria (390 dollar) uss se kam Somaliya (130 dollar).

                    Tajikistan aur Kyrgyzstan (per capita 190, 330 dollar hai) but wahan population bhi dekhen kitna kam hai.
                    points 2 b noted

                    Comment

                    Working...
                    X