Asslamo allaikum Mazloooooooooom makhlooq jissey mard hazraat kehtey hain :comfort:(auratein to yaqinan jal bhun gaii hon gi abhi tak :tasali: - jalney ki zaroorat nahin aap logon ki karamat ki wajjah sey ham mardon ko aeka karna hi parra hai) - bohat hi mazlooooooooom makhlooq hain ham log - is mein to ratti braber shak nahin - lekin sochanable baat to yeh hai keh yeh zaaaaaalim khawateen kab tak hamein hi zaalim samjhein gi? :tauba - ab dekhin bailan
parta hai to becharey mardon ko, charpaii neechey panah mangta hai to bechara mard, khamoshi sey har sitam bardasht karta hai to bechara mard
, nakhrey bardasht karta hai to bechara mard - kabhi in auraton key sar mein dard rehta hai, kabhi tabiyat theek nahin hoti kabhi yeh kabhi woh - yani nakhrey peh nakhra :khi: saber karna to koi mardon sey seekhey
- phir bhi yeh auratein hi khud ko mazloooooooooooom aur mardon ko zaaaaaalim kyun kehti hain????




Comment