Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

zima daar kon???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • zima daar kon???

    is tarah ki soorat haal shaed aap me se bhi kisi ko pesh aei ho is me mujhe nahi samjh aei ke is me kasoor kis ka tha ya zimadara kon he?:pagal: me ne bank se pese nikalwaey or next day me jab shoping ke baad bill dia to shop wale ne wo thousand ka note lene se inkar kar dia kiun ke us par kuch likha hua tha us ne mujhe kaha k ye koi nahi le ga or bank wale bhi nahi lein ge:blush: me ne kaha k me ne ghar par nahi chapa ye kal bank walon se hi le kar aei hun or is tarah to kafi sare notes par likha hua he to kia ab wo sab bekaar gaey?or mere pas itna faltoo ka time nahi ke me again is barish me bank jaun n wapas karun:pagal: fer khoob bak bak hui:pagal: then i called him shut up:lpop: or fer shaam me ja kar me ne wohi note petrol dalwa kar chala lia:wk light na hone or rush ki waja se wo chal gya.
    ab sawal ye peda hota he k ager ese rupees jab chalte nahi to fer awam ko isuue hi kiun karte hen bank wale?or log kiun likhte hen notes par?akher is ka zimadar kon he?

  • #2
    Re: zima daar kon???

    Bank waly....................aap ny jaldi kaam kia.......................yeh un ka faraz hay k wo note lain ..Pakisatan kee gandi gov ny yeh order kia hay werna os bank ka laincens khatam hu jata hay...

    aap os sy ager likhwa laiti k tum ny yeh note nahi laina...pher dekhti wo kia kehta...........
    aap aisa karian k aik aur note lain aur os per khooob likhain
    balky yeh likh dain Pegham for urdu lover...
    agre na lia to os ke khair nai:)

    Comment


    • #3
      Re: zima daar kon???

      Originally posted by Khalil View Post
      Bank waly....................aap ny jaldi kaam kia.......................yeh un ka faraz hay k wo note lain ..
      aisay note day kay woh loog saaf mukaar jatay hain kay yeh note ham say lia gia hai ....woh kehtay hain yeh kisi or say lia hoo ga or wapas humaye karnay aye hain :lpop:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: zima daar kon???

        Originally posted by Khalil View Post
        Bank waly....................aap ny jaldi kaam kia.......................yeh un ka faraz hay k wo note lain ..Pakisatan kee gandi gov ny yeh order kia hay werna os bank ka laincens khatam hu jata hay...

        aap os sy ager likhwa laiti k tum ny yeh note nahi laina...pher dekhti wo kia kehta...........
        aap aisa karian k aik aur note lain aur os per khooob likhain
        balky yeh likh dain Pegham for urdu lover...
        agre na lia to os ke khair nai:)
        to fer kia ho ga?2 times us ne esa kia k pese wapas kar deay n both notes bank se isi halat me aey the.next time kia bank walon ka sir tora jaey jab wo ese notes issue karen??

        Comment


        • #5
          Re: zima daar kon???

          Originally posted by shy View Post
          is tarah ki soorat haal shaed aap me se bhi kisi ko pesh ab sawal ye peda hota he k ager ese rupees jab chalte nahi to fer awam ko isuue hi kiun karte hen bank wale?or log kiun likhte hen notes par?akher is ka zimadar kon he?

          aik banday nay koi cheez khareedi us kay paas bhi aisa note a gia ...ghar a kay deekha nakli tha ...woh pher dokandaar kay paas gia kay yeh nakli note hai or woh saaf mukkar gia kay yeh main nay nahi dia or woh note change nahi karwaya ...woh 500 ka note tha ..........us banday nay yeh kia woh 500 ka note 300 main kisi ko beach dia ......or kush hoo gia atleast kuch to mila mujhay :tasali:
          ab jin ko beacha woh loog expert hotay hain aisay notes chalanay mai ..ghoom pher kay yeh note pher vohi a jaye ga or pher yehi circle chalta rehaye ga :lol

          jahan tak bank ki baat hai unhay aisa to nahi karna chaye ...in ko pakrwanay key leye kia karna chaye ?:mm:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: zima daar kon???

            Originally posted by shy View Post
            kia bank walon ka sir tora jaey jab wo ese notes issue karen??

            bank walaye bhi koon sa apnay pallay say pesay issue kartay hain :lol
            woh bhi to kahi say atay hain na ....
            ab yeh to govt ki zimmadari hai kay woh is silsilay main koi thoos qadam uthaye ...or logoo ko madad say bhi aisay logoo ko pakra ja sakta hai ...
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: zima daar kon???

              yeh hum pakistanee hee aashik loog hain .....note per likh daity hain
              sab kuch shair b jazbat bee...
              aur K.S A.R T.u.....
              apni apny friends ka name....................
              sab sy pehly humain note theek rakhny hungy baad main bank kee bari aati hain...

              Comment


              • #8
                Re: zima daar kon???

                Originally posted by Khalil View Post
                yeh hum pakistanee hee aashik loog hain .....note per likh daity hain
                sab kuch shair b jazbat bee...
                aur K.S A.R T.u.....
                apni apny friends ka name....................
                sab sy pehly humain note theek rakhny hungy baad main bank kee bari aati hain...
                main nay to aaj tak kisi note pay nuch nahi likha , mujhay zabani yaad hoo jati hain cheezian :khi:

                or nakli notes kay baray main kia khayal hai?
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: zima daar kon???

                  or is tarah kitna waqt zaya hota he mood alag kharab hota he:pagal: ,wese me ne bhi kabhi notes par nahi likha
                  lekin afsos ki bata ye he k bank wale hi ye note logon ko de dete hen,ab kia aik aik note ko check kia jaey wahan khare ho kar?

                  Comment


                  • #10
                    Re: zima daar kon???

                    Originally posted by shy View Post
                    is tarah ki soorat haal shaed aap me se bhi kisi ko pesh aei ho is me mujhe nahi samjh aei ke is me kasoor kis ka tha ya zimadara kon he?:pagal: me ne bank se pese nikalwaey or next day me jab shoping ke baad bill dia to shop wale ne wo thousand ka note lene se inkar kar dia kiun ke us par kuch likha hua tha us ne mujhe kaha k ye koi nahi le ga or bank wale bhi nahi lein ge:blush: me ne kaha k me ne ghar par nahi chapa ye kal bank walon se hi le kar aei hun or is tarah to kafi sare notes par likha hua he to kia ab wo sab bekaar gaey?or mere pas itna faltoo ka time nahi ke me again is barish me bank jaun n wapas karun:pagal: fer khoob bak bak hui:pagal: then i called him shut up:lpop: or fer shaam me ja kar me ne wohi note petrol dalwa kar chala lia:wk light na hone or rush ki waja se wo chal gya.
                    ab sawal ye peda hota he k ager ese rupees jab chalte nahi to fer awam ko isuue hi kiun karte hen bank wale?or log kiun likhte hen notes par?akher is ka zimadar kon he?

                    :tasali: aksar emergency mein paper wagairah nahi milta tu log note per hi likh dete hain....humare yahan aisa koi problem nahi Allhamdullilah.....:)

                    Comment


                    • #11
                      Re: zima daar kon???

                      Originally posted by ummid View Post
                      :tasali: aksar emergency mein paper wagairah nahi milta tu log note per hi likh dete hain....humare yahan aisa koi problem nahi Allhamdullilah.....:)
                      hoo sakta hai aisa hoo or tum nay note na kia hoo ?:mm:
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #12
                        Re: zima daar kon???

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        hoo sakta hai aisa hoo or tum nay note na kia hoo ?:mm:
                        well... humare yahan waqai aisa nahi hota...:)

                        Comment


                        • #13
                          Re: zima daar kon???

                          pakistan ki is waqt currency ke jo note nikle haiN :lol wo bilkul naqli lagte haiN :lol
                          Allah

                          Comment


                          • #14
                            Re: zima daar kon???

                            Originally posted by shy View Post
                            is tarah ki soorat haal shaed aap me se bhi kisi ko pesh aei ho is me mujhe nahi samjh aei ke is me kasoor kis ka tha ya zimadara kon he?:pagal: me ne bank se pese nikalwaey or next day me jab shoping ke baad bill dia to shop wale ne wo thousand ka note lene se inkar kar dia kiun ke us par kuch likha hua tha us ne mujhe kaha k ye koi nahi le ga or bank wale bhi nahi lein ge:blush: me ne kaha k me ne ghar par nahi chapa ye kal bank walon se hi le kar aei hun or is tarah to kafi sare notes par likha hua he to kia ab wo sab bekaar gaey?or mere pas itna faltoo ka time nahi ke me again is barish me bank jaun n wapas karun:pagal: fer khoob bak bak hui:pagal: then i called him shut up:lpop: or fer shaam me ja kar me ne wohi note petrol dalwa kar chala lia:wk light na hone or rush ki waja se wo chal gya.
                            ab sawal ye peda hota he k ager ese rupees jab chalte nahi to fer awam ko isuue hi kiun karte hen bank wale?or log kiun likhte hen notes par?akher is ka zimadar kon he?
                            Aap ki baat se aik chutkula yaad aaya, aap nahi bhi chahtein phir bhi sunaye deta hoon :khi:

                            Aik Khacha Khuch bhari bus mein aik aadmi paan moun ke ander dabaye wait ker raha tha ke kub buss rukay aur wo paan ki peek bahir phainkay...bus thi ke chalay ja rahi thi ruknay ka naam nahi le rahi thi, aakhir kaar us musafir ke sabr ka peemana labraiz ho raha tha us ne saath walay bhai sahib se poocha, ke bhai sahib mein paan ki peak kahan phainkoon. Wo bhai sahib goya huay, aap kisi ke coat ki jaib mein peek phaik dijiye. Lekin wo admi bola, ke ager kisi ki coat ki jaib mein peak phainkon ga to usay pata chal jaye ga...doosra musafir kehnay laga mein ne aap ki coat mein peek phainki aap ko pata chala :khi:


                            Yahan pakistan mein isi tarah ke system chalay aa rahay hein, aap ne sahi kia ke petrol pump mein chala diya, waise sub se ziada jaali aur thukay huay note petrol pump pe he chaltay hein ... mein bhi aisa he kerta hoon :khi: aakhir mein wo notes ghar mein thoori banata hoon :lpop:
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #15
                              Re: zima daar kon???

                              Originally posted by Khalil View Post
                              Bank waly....................aap ny jaldi kaam kia.......................yeh un ka faraz hay k wo note lain ..Pakisatan kee gandi gov ny yeh order kia hay werna os bank ka laincens khatam hu jata hay...
                              Khalil bhi buchon jesi baatein kerta he, shareer kahin ka :khi:
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X