Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aazadi ka Pegham

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aazadi ka Pegham

    :rose :rose :rose
    Ham Pegham per apney tumaam ahl-e-watan ko dilil mubarak baad pesh kartey hain...

    Mujhey samajh nahin aa rahi keh ham apney bachon ko kis naey mustaqbil ki umeed dilaein? Woh mustaqbil jo girvi rakha huwa hai? Un chand hazar sarmayadaro key hathon jinhon ney hamarey aisi mulk ko jo jannat ki misaal hai, ussey tabahi key dhaaney per laa kharra kiya hai.... yeh mulk woh mulk hai jissey Islam key naam per hasil kiya geya aur issey Islam key nama per badnaam kiya jaa raha hai.

    Aey watan ham tumhein celebrate karein ya tumharey lootney waley ki bad'bakhtgiyon per matam karein??? Aey watan ham tumharey naam per qurbaan ho jaein ya tumharey ander mojood na'sooron ko tujh per qurbaan kar dein?? Ham apni akhuwat per fakhar karein ya tujhey torrney walon per matam karein?? Aey watan ham terey kitney badey mujrim hain, kis tarha dheetai sey jhoot boltey hain keh ham zindah qom hain.....

    Aey watan ham ney tujh sey insaaf nahin kiya, ham ney tumhari woh tazleel ki hai keh hamein apney siyaah kirdaron ki bad'boo bhi nahin aati aur phir bhi ham fakhar sey teri dharti per seena taan ker chaltey hain - aey watan ham terey betey kehlwaney key qabil nahin, ham bhi terey luterey mein hain - hamein moaf kar dena....

    Aazadi Mubarak...
    :rose :rose :rose
    Last edited by Masood; 13 August 2006, 23:22.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Aazadi ka Pegham

    buht achaa pehgam hai Masood ji ..
    azadi mubarak hoooo app sab kooo :rose
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: Aazadi ka Pegham

      Boht ache batyn likhe hyn Masood bhai.. ay Piyary Pakistan hamyn Muaaf kar denaa.......................
      Life is more strict than a teacher
      A teacher teaches a lesson
      and takes an exam.
      But life takes an exam
      and then teaches a lesson

      Comment


      • #4
        Re: Aazadi ka Pegham

        haan jee bohat mubarak ho ye "AZAADI"

        Comment


        • #5
          Re: Aazadi ka Pegham

          Khauda Kary K Mery Watan Main Utray Wo Fasly Gul K Jis Ko Andeesha E Zawal Na Ho.....
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • #6
            Re: Aazadi ka Pegham

            Originally posted by shy View Post
            haan jee bohat mubarak ho ye "AZAADI"
            cheer up shy :rose




            mey Faiz Ahmed Faiz ki nazm perh rahi thi ...mey ney socha aap sab key sath bhi share ki jaye

            here it goes

            Aayein hath uthayein hum bhi
            hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin
            hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
            koi buth, koi khuda yaad nahin

            Aayein urz guzarein keh nigar-e hustee
            zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
            wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
            un ki pulkoon peh shab-e roz ko hulka ker de

            jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
            un ki raatoon mein koi shama munawar ker de
            jin ke kadmon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
            un nazroon peh koi raah ujagar ker de

            jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko
            himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
            jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
            dust-e qatil ko jhatak deenay ki taufiq mile

            ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se
            aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e
            hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN
            aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e




            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Aazadi ka Pegham

              bohut hi acha Pegham dia hai apne khush rahen
              Azadi mubarak :salam:

              Comment


              • #8
                Re: Aazadi ka Pegham

                hmmmmmmmmm
                :thmbup:

                Comment

                Working...
                X