Bikhhre baal, Behki chaal, Ultti dhaal, Gham say Behaal ,jaise ho kisi ka Intakaal, K2 cigrate ka Beja Istamaal jee haan yeh hai aik Ashiq-e-Na'Murad ka haal. (Waise ager aap pehchan sakain tu Ahaam ...) Dostoo yeh Ishq hai hi aisi cheez yeh BadBukhhat(No Offense) achay bhalay insaan ko pehlay "Emotional" karta hai\par pher "Sentimental" karta hai aur Bil'Akhir "Mental" hi kar deta hai.Ager koye Student(Larka/Larki) Ishq kay Marz main mubtala ho jaye tu wo Parhayii(Studies) main hero say zero ho jata hai kyoon k wo jis Karmoon wali/Walay say dil laga laita hai uski yaad main Hama'Waqt magen rehta hai aur Gham-o-Alam ki muuh bolti tasveer ban jata hai. Ghazeb yeh kay pher wo apni ghalti bhi nahi manta aur khud ko ishq kay Alla -o-Arffa mansub par Fayez samajta hai.. (Yani k bewakoofi ki intaha tu dekhiye). Student hai lekin uske room say har waqt munni begham, Pankhuch Udaas aur Jagjeet ki ghazaloun ki awaz aye gi. (Akhir ko Aashiq jo tehray musoof/musoofa) Pehlay zamane ki tarha aaj kal bhi Ishq ki kaye misalain mileen gi (Naam laina main zaroori nahi samajta warna mar pitne ka dar hai) Heer Ranjha, Sassi Punno, Mirza Sahibaan ka dour tu guzer chuka ab tu fast food ka zamana hai loog apne Ma'shooq is tarha badalte hain jaise MIRC par Nick badal rahay hote hain... Jab "Farhad" kay baap ka raaj tha tu uska jahaan jee chahta tha doodh ki nehar khoodh laita tha aaj ager aisi harket kare tu Munciple Kamitee walay itne Chittar(Jotay) laga'ain gay kay Oulad bhi ganji paida hogi Ah0o0 (Waise tu aaj kay dour ka Aashiq khud bhi ganja hi hota hai) Punno ki bhi kia khooB baat thi Dhooti pehan kar Bansoori bajata tha aaj kal aisa kare tu gali kay saray kutt(Dogs)e uske gird jama ho kar uske FUN ki daad daine par majboor ho jayeen gay (Waise aaj kal bansoori ka zamana raha bhi kahaan... haan albata car main "Base Tube" rukh lain tu koye Muzaye'qa nahi) haan albata larkiyaan ab bhi Heer ki tarha hi hain "KALI" KALI...(Sach karva hota hai yaad rahay) Yeh hai jee Ishq ki Karistaniyaan balke HasherSamaniyan jo achay bhalay "Musalman Bukhari" ko "Pareshaan Bukhari" main badal deti hain... lekin aaj bhi 'Ali Rafique' jaise chand loog "Janay kyoon loog pyaar karte hain" aur "Oye nimo! pyaar na kariyo" jaise naghme likh kar Aalam-e-jihad(Aaj kal isse bhi jihad hi samja ja raha hai) buland kiye hoye hain. Aap ne wo tu suna ho ga na: "Ishq Nachaye Gali Gali" "Aashiq ka Muuh Kala" Waqhera Waghera
Note: Aashiq Khwateen-o-Hazraat Ghussa na kijiye ga kyoon kay yeh mehaz MAZAHIYA tehreer hai... warna Khud muj say barra Aashiq tu is saddi main paida na hoga.. "Aur ager pher bhi Ghussa a jaye tu main kia karun ....... karo ghussa HUH !!!! ;)"
Note: Aashiq Khwateen-o-Hazraat Ghussa na kijiye ga kyoon kay yeh mehaz MAZAHIYA tehreer hai... warna Khud muj say barra Aashiq tu is saddi main paida na hoga.. "Aur ager pher bhi Ghussa a jaye tu main kia karun ....... karo ghussa HUH !!!! ;)"
Comment