Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

    Assalamo allaikum

    Maan!!! Aik aisa khoobsurat lafz hai jisko suntey hi amman, sakoon, chahat, khidmat aur qurbani ka tassawwur pedah ho jata hai. Aksar oqaat aisa hota hai keh ham apni walidah ki khidmat aur uski pesh kardah khamosh qurbaniyon ko - as granted - letey hain aur kabhi uska sila nahin diya. Yeh sach hai keh maan ki khidmat ka sila nahin diya jaa sakta magar ham ney kabhi shukraney key do lafz bhi nahin boley - balkeh we never say anything in return. Yeh samajhtey hain keh "aisa hi hota hai"... to main ney socha keh ham apney is thread mein maan ko aik bilkul alag zaviyey sey dekhtey hain. Karna yeh hai keh aap ney 25 sentences likhni hain jis mein maan sey muhabbat ka izhar karna hai, isi liye keh maan ney hamarey liye jo kuchh kiya hai, jo jo qurbaniya di hain, kaisey raton ko jaag ker hamein neend di hai...

    Har sentence aisey shuru honi chahiye:

    Mujhey apni maan sey muhabbat hai kyun keh..................................

    (aik misaal:
    Mujhey apni maan sey muhabbat hai kyun keh unhon ney meri sakht beemari mein raton ko jaag ker meri hifazat ki)

    To phir shuru ho jaiyey - mujhey yaqin hain keh yeh 25 sentences likhney key baad aap ko apni maan bilkul munfarid andaz mein nazar aaein gi - soch kar likhiye....
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

    bhai maa say muhabbat har kisi ko hoti hain.yah rishta hi aisa hain...
    main simple hi kahonga..
    kay janay aziz pyaari pyaari ammi jaan app ho to dunya ki bharay hain...

    Bhai APp sab say request hain. kay mairui Ammi ki ajkal health thek nahi hain..unka bloodpresure bohat high rehnay laga hain...pls apni duaoon main unko bhi yaad karli jay ga...
    wersalam app sab ka dost
    khan
    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

    Comment


    • #3
      Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke us ne mujhey Peda kya :rose
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke jis tarah unhoN ne parvarish ki shayd hi kisi maN ne aisa kya ho :dua :rose
      Mujhey Apni Man se Muhabbat hay keunke wo mujhey namaz parhne ke lye kehti haiN :rose
      Mujhey Meri MaaN se Muhabbat hay keunke wo mujh se bohat pyar kartiN haiN :)
      Mujhey Meri Man se Muhabbat hay keunke wo laatadad baar meri wajah se Bohat pareshan hoe haiN lekan phir bhi unhoN ne mujhey hosla dya :rose
      Mujhey meri maN se Muhabbat hay keunke wo mujhey apni god main litati haiN :rose
      Mujhey meri maN se MUhabbat hay Keunke wo Mujhey Pyar se "Mera Sohna" Kehti haiN :rose
      Mujhey apni Maan se Muhabbat hay keunke un ki badolat hi humara angan aabad hay :)
      Mujhey apni maN se Muhabbat hay keunke wo unhoN ne meri parvarish ki :)
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke unhon ne humari itni achi taleem dilwayi :)
      MUjhey Apni MaN se muhabbat hay keunke unhoN ne humare waste bari pareshanyaN uthayiN :)
      MUjhey Apni Man se Muhabbat hay keunke unhoN ne humain aik adad computer le ke dya hay :)
      Mujhey apni MaN se Muhabbat hay keunke wo Mujhey Bohat pyar se dekhti haiN
      Mujhey apni maN se Muhabbat hay keunke wo Bohat achi haiN
      MUjhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke wo baqi maoN jesi nahiN
      Mujhey Apni Man Se Muhabbat hay keunke wo bari be chaini se mera intezar karti haiN
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke wo Gher main islamic mahol qaem rakhti haiN
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke Mujhey dunya-o-Akhrat main kamyab hona hay :)
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke wo mujhey apni AnkhoN se pare nahi karna chahtiN
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke wo mujhey bohat aachi achi bateiN batati haiN :)
      Mujhey Apni maN se Bohat Muhabbat hay keunke wo meri MaN haiN ......MAN Lafz main hi bohat kashish hay aur aik gehrayi hay......
      Mujhey Apni MaN se bohat Muhabbat hay keunke wo hamesha mujhey pyar se samjhati haiN
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke wo mujhey bardasht karti haiN
      MUjhey Apni maN se Muhabbat hay keunke wo Allah tala se mere lye kamyabi-o-kamrani ki dua mangti haiN :)
      Mujhey Apni MaN se Muhabbat hay Keunke wo mere kharche bardasht karti haiN
      MUjhey Apni maN se Muhabbat hay keunke main Jannat ka talabgar hoN
      MaN bohat azeem lafz hay masood bhai .......aur aisi hi kashish aur muhabbat is rishte main hay ......Man ko bayaN karne ke lye alfaz nahi milte .........Man aik aisi hasti hay ......ke aap un ko dukh bhi dein to phir bhi aap ke lye dua karti haiN .......MaN ko bayan karne ke lye points ki zaroorat nai......aur main ne point gine bhi nahi ........:lpop:
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

        Originally posted by D@y W@lk3r
        kay mairui Ammi ki ajkal health thek nahi hain..unka bloodpresure bohat high rehnay laga hain...pls apni duaoon main unko bhi yaad karli jay ga...
        Allah Tala ap ki walidah ko sehat ata farmaein - ameen
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

          Originally posted by Yaaram
          Mujhey apni maN se Muhabbat hay keunke wo unhoN ne meri parvarish ki
          Yeh jumla 2 baar likha hai :p kya 2 bar parwarish ki hai :p

          Originally posted by Yaaram
          MUjhey Apni MaN se Muhabbat hay keunke wo baqi maoN jesi nahiN
          baqi maoun jaisi nahin .... hmmmm maan to maan hoti hai, sab ki maan doosri maoun jaisi nahin hoti keh hoti hai???? :cc:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

            Okay here are my 25 sentences:

            1) Mujhey apni maan sey muhabbat hai kyun keh unhon ney apni zindagi ka behtareen hissah hamari parvirash, tarbiyat aur nigehdaasht mein guzara

            2) Mujhey apni maan sey muhabbat hai kyun keh unhon ney meri sakht tareen beemari mein hamesha Allah sey behtaree ki umeed rakhi...

            3) Mujhey apni maan sey muhabbat hai kyun keh unhon ney talakh tareen halaat mein rah ker bhi, aur meri sakht tareen beemari mein beshak merey marney ki dua ki magar woh dua dil sey nahin ki thi, kyun keh agar dil sey hoti to main zindah na hota - maan kabhi apni aulad ki burai key liye dil sey dua nahin karti

            4) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney apney saas susar ki aisey khidmat ki jaisey sagi betiyaan hoti hain

            5) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney apni khud'dari ko kabhi nahin nahin chhorra - beshak woh an'parh thin.

            6) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney hamesha bohat suljhey huwey tareeqey sey ghar ko chalaya

            7) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh khana bohat hi aala meyaar ka bnaati hain - yamyam

            8) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney an'parh honey key bawajood danish jaisi mushkil aur OUTREE zuban seekhney ki koshish ki aur kuch kuch bol bhi li

            9) Mujhey apni maan sey muhabbat hai kyun keh doosrey log (muhalley key) un sey mashwra karney aatey aur woh hamesha har kisi ko achhey mashwrey detin

            10) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh ARABIC filmein dekh ker kahani samajh jati hain, aur phir biyaan karti hain keh is kahani mein ab yeh huwa - aur afreen un per bilkul kahani mein wohi kuchh hota hai :lol

            11) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhein almost har drama ki kahani yaad rehti hai :lol

            12) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney apni zindagi mein bohat dukh uthaey magar kabhi hamein uski hawa na lagney di

            13) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh sama'at kam honey ki wajah sey woh baat nahin sun saktin, magar jab koi apney matlab ki baat ho to fori sun leti hain aur phir kehti hain: "ley main koi dori aan" :lol :lol :lol

            14) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney bohat safar kiya hai aur aaj bhi koi 60 key qareeb honey key bawajood chalna 1. priority samajhti hain...

            15) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney kabhi hamein school sey late nahin honey diya tha

            16) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney hamarey liye bohat sari qurbaniyaan din

            17) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh har mozu-e-hayaat per baat kar sakti hain yahan tak musharraf per bhi tanqeed kar sakti hain :lol

            18) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh aik gaoun mein pedah huin, Kharian mein unki shadi hui aur copenhagen mein umer guzri magar itna safar karney key bawajood unkey waqaar mein kami nahin aai :)

            19) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhon ney hamein pareshan dekh ker hosla afzai ki, hamein paoun per kharra kiya aur kaha jaa beta ab teri zindagi hai...

            20) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh unhein hamari fiker rahi

            21) Mujhey apni maan sye muhabbat hai keh aaj bhi school jati hain :p

            22) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh jab merey saath gadi mein bethi hon to mujhey btati hain keh gadi ab kaisey chalaoun kissey overtake karoon - she is amazing :)

            23) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh namaz roza ki bohat paband hain

            24) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh bohat tahamul mizaaj hain

            25) Mujhey apni maan sey muhabbat hai keh woh MAAN HAIN :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

              Originally posted by D@y W@lk3r
              bhai maa say muhabbat har kisi ko hoti hain.yah rishta hi aisa hain...
              main simple hi kahonga..
              kay janay aziz pyaari pyaari ammi jaan app ho to dunya ki bharay hain...

              Bhai APp sab say request hain. kay mairui Ammi ki ajkal health thek nahi hain..unka bloodpresure bohat high rehnay laga hain...pls apni duaoon main unko bhi yaad karli jay ga...
              wersalam app sab ka dost
              khan
              Allah aap ki mama ko aafiyat ke saath saihat aur shifa de (aamee):dua ......
              aap bhi unhein zyadah tang na kiya kijye ..take great great great care of your mom's health:) ........
              khush rahiye.:rose

              Comment


              • #8
                Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                Originally posted by ummid
                Allah aap ki mama ko aafiyat ke saath saihat aur shifa de (aamee):dua ......
                aap bhi unhein zyadah tang na kiya kijye ..take great great great care of your mom's health:) ........
                khush rahiye.:rose
                thanx,
                ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                  25 sentences to kuch be nahe bhai........ Or mera nae khial k Maa KE MUHBAT kisee wajah ke muhtaaj hay.. Lakin Maa ke azmat ko jitna be biyan karyn wo kam hay.. lakin yeh nae ke mujy Maa sey muhabat hy kion ke..jesy yaram ney likha hay. k mujy maa sey muhabat hy.kion k ono ney mujy new computer ley ker diya... computer to phir waja ho gae na Muhabat ke. or Maa sey muhabat ke koe wajah nae . Jabky aik Maa apny olaad sey beghyr kise wajah or matlab ke Muhabat karte hay..os ka beta kitna he nafrman kion na ho jaya.. lakin Maa ka dil os k liya hamesha narm he rehta hay..or Muhabat main aik zara be kame nae ate.. To phir hamy be apne Maa sey ase he Muhabt hone chahyia..or Hay....... or wasy Maa ke shaan main jitna be likhyn wo kam hay..... lakin MAA sey Muhabt is waja sey hay k wo MAA hay.
                  (sorry main ney topic sey kuch hat k likh diya hay , )
                  Life is more strict than a teacher
                  A teacher teaches a lesson
                  and takes an exam.
                  But life takes an exam
                  and then teaches a lesson

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                    Originally posted by ASAD
                    25 sentences to kuch be nahe bhai........ Or mera nae khial k Maa KE MUHBAT kisee wajah ke muhtaaj hay.. Lakin Maa ke azmat ko jitna be biyan karyn wo kam hay.. lakin yeh nae ke mujy Maa sey muhabat hy kion ke..jesy yaram ney likha hay. k mujy maa sey muhabat hy.kion k ono ney mujy new computer ley ker diya... computer to phir waja ho gae na Muhabat ke. or Maa sey muhabat ke koe wajah nae . Jabky aik Maa apny olaad sey beghyr kise wajah or matlab ke Muhabat karte hay..os ka beta kitna he nafrman kion na ho jaya.. lakin Maa ka dil os k liya hamesha narm he rehta hay..or Muhabat main aik zara be kame nae ate.. To phir hamy be apne Maa sey ase he Muhabt hone chahyia..or Hay....... or wasy Maa ke shaan main jitna be likhyn wo kam hay..... lakin MAA sey Muhabt is waja sey hay k wo MAA hay.


                    (sorry main ney topic sey kuch hat k likh diya hay , )
                    Wellsaid asad...:salam: .
                    Yeh lafaz KIUN k nahi huna chayee...
                    es liy k Maan kee Muhabbat Beyloos huti hay...aur maan ka koi b Neham Ul badal nahi hay....
                    Maan to aik Muhabat ka beykaran samander hay.
                    Maan kee muhabbat k bary main kam az kam mery pass aisy elfaz nahi hian jo k aik MAAN k shayan e shaan hun.
                    ====================
                    waisy aik baat hay...yehan yeh to pata lagy ga k kon apni maan sy kis liy piyar kerta hay...Yaram ko to es liy kreta hay k Unain aik new PC ly ker dia hay :comfort: kiun yaram.

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                      1 to 25: Muje Apni Maa Jee Say Mohabat Hai Kyoon Kay Wo Duniya Ki Sab Say Achi Maa Hain.:rose :rose :rose :rose :rose
                      :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                        mei 25 sentences nahi likhoon gi, kiu ke jo ek jumla likhtye hain wo bhi aur ho hazar jumley likhteyhain wo bhi apni maan se mohabbat kertey hain, aur kiu na ho aakhir yeh to fitri baat hai ..... humein apney watan se apni jaan se bhi zada mohabbat hoti hai kiu ke ous mitti per humara janam hota hai to phir jis hasti se humara janam hota hai, aur hum jis ke wajood ka hissa hotey hain ous se to humein khud se zada mohabbat ho gi ........... mujhe apni mum se mohabbat haikiu ke meijanti hoon jitni mohabbat wo mujh se kerti hain koi dosra nahi ker sakta :)
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                          Maan , is lafaz main qudrat ny aysi pakeeza taseer rakhi hy k sun kar insaan chahay kitny hi salon ka ho aik dam se bacha ban jata hy..:salam:
                          Maan. jo k meri asal hy
                          mery wajood ki mery laho ki aik aik bond us ki qarz daar hy meri chalkti hui sansoon ka ik ik lamha us ka qarz daar
                          mery dil ki aik aik dharkan uski bakhsi hui hy ...
                          us ny apny wajood ko seench kar mujhy no mah apny pait main rakha ..khud bhooki rahi mujhy khilaya ..khud pehnny ko khuch na hua mujhy zaroor pehnaya..ay MAAAN main tujh se mohaabat kiuon na karoon k teri mohaabt k bagair mera koi amal qably qabool naheen ..to jo routh jay to rab rooth jay to jo maan jay to rab ko mannay ki hajat naheen
                          Maan kitna azeem lafaz hy ye...k is ki azmat ka andaza koi bhi nahen karsakta...
                          mAAN nasbi rishton main kaynaat ka sab se azeem rishta...
                          maan ...jo sardi garmi aur har taha ki mosmi saoobton se apny bachon ko mehfooz rakhti hy..AAY maan tera haq bhala kon ada karsakta hy..k khud kaynaat k IMAAM nabi mukaram (saw) jab kabhi apni maan ko aata dekhty to un k ahtraam mainm khary hojat aur apni chadar mubarak bichatey..(meri murad yahaan hazrat haleema se hy jo k aap ki razai walida theen haqeeqi naheen theen)ay maan tera wo sharaf k terey rishty ki agar aik nsibar bhi PAYGHAMBAR AZAM W AKHIR ko milti hy to wo apni chadar bicha dety hain...to aay maan tujh se phir hum mohabat kiuon na kreen....k tujh se to mohabbat ka khud khuda ny hukam diya..aur ALLAH ny apny aur apny rasool k bad ksi bhi insaan par jo sab se bara haq rakha wo maan hi ka rakha,.....
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                            Main ney aik course attend kiya tha, jiska maqsad tha keh insaan ki khoobiyon ko ujaggar kiya jaey. Us mein hamein yehi sawaal mila tha keh "how well you can appriciate others" and start MOTHER sey huwa tha. Nobody can describe LOVE in words - chahey woh kaisa hi kyun na ho - magar yahan sey aap ki soch ko harkat milti hai keh "how can we appriciate others in words"...
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~ Maan - 25 Sentences mein ~*~

                              Originally posted by Masood
                              Main ney aik course attend kiya tha, jiska maqsad tha keh insaan ki khoobiyon ko ujaggar kiya jaey. Us mein hamein yehi sawaal mila tha keh "how well you can appriciate others" and start MOTHER sey huwa tha. Nobody can describe LOVE in words - chahey woh kaisa hi kyun na ho - magar yahan sey aap ki soch ko harkat milti hai keh "how can we appriciate others in words"...
                              wah masood bhai..home wrok wo bhi ham say...wah ji wah...:mm:
                              ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                              Comment

                              Working...
                              X