Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

    Assalamo allaikum ...

    Lijiye dosto ab is silsaley ka doosra thread hazir hai, yeh jo situation main biyaan karney jaa raha hoon pure haqeeqat hai...
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

    wese aaj tak sun'ney mei nahi aya ke maan baap khudh apni aulad ko is tarah ke kaam dhanday mei daltey hon, yeh aur baat ke yeh ek family business ban chuka ho, mei detail mei baad mei reply ekroun gi :insha:
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

      Originally posted by Sweet & Sour
      wese aaj tak sun'ney mei nahi aya ke maan baap khudh apni aulad ko is tarah ke kaam dhanday mei daltey hon, yeh aur baat ke yeh ek family business ban chuka ho, mei detail mei baad mei reply ekroun gi :insha:
      Yehi to sab sey badi problem hai saima key yeh log apney bachon ko taleem ki taraf nahin lagatey, is liye keh inkey nazdeek agar parh likh ker BHI dukanein hi chalani hain, taxies hi chalani hai to kyun na inhien naujawani hi mein is kaam per laga diya jaey. Yahan per pakistaniyon ki soch siraf paisa kamana hai...
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

        ager zameer sahab mar na gaey hon to ese kamon se khud bhi door rehna chaey n bachon ko bhi door rakhna chaey.

        Comment


        • #5
          Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

          Bilkul be nahe.... or mery khiaal main yeh sirf Europe main nae ho raha hay asy ghalt kaam to idhr pakistan main be hoty hain ( or jo loog asy karty hain wo sirf aik naam k muslmaan hayn or kuch nahe) Allah na to ham ko ase Olaad banany ke tofeeq day or na he asy Waldyn banan ke.. mery Walid sahb relgon ke muamly main strict person hayn Namaz orzy ke ilawa wo tamam ase batoon ke mujy naseeyat karty hain jo aik achy Muslmaan ko karne chahyain.... wo aksar kehty hain ke tum Dinya ke kisee be kony main chaly jaoo kasy be halat hon.. kabe chore .Jhot.. koe be asa kaam mata karna jo Allah ko napsand hay.. or asy perents ko koee kia naam day jo apny Olaad ko ghalat kissam kay karobar per lagaty hain..
          Life is more strict than a teacher
          A teacher teaches a lesson
          and takes an exam.
          But life takes an exam
          and then teaches a lesson

          Comment


          • #6
            Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

            islam mein halaal aur haram mein waze faraq beyaan kia he...haram ki kamai chahay bucha karay, ya us ke maan-baap, haraam haraam he...baat sirf islami ehkamaat ko samajnay ki he
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

              Na sirf batoor Muslim bal'ky batoor insaan bhii kissi ko ye zaeb nahi deeta ky wo chand duniaawii aasaaishoon ky hasool ky liy apnii aulaad ko gunaahoon aur buraaii ky raastoon par dhakael dy. Aur agar kissi main itnii himmat hy to ossy har kissm ky haalaat ky kiy bhiitayyar rehna chaahiy.

              Comment


              • #8
                Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                aslamo alykum , kafi din hogay hain masood bhai ka koi pata naheen chal raha fon karo to wahaan bhi answering machine laga rakhi hy ab mujhy pouchna ye hy k ALLAH khair kary k aysi surtehal main kaya kiya jay.....:pagal: :pagal:
                Last edited by aabi2cool; 19 July 2006, 17:19.
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #9
                  Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                  Asalm-o-Alikum
                  bhout acha sawal aap ne kiya :rose

                  bat yeh ha kie jis chese kie hirs Insan kie ander aajaie tu woh use hasil kerne kie liye kuch bhi ker leta ha aj kal kie door mein pese es had tak harme hadiyo mein rach bas gya ha kie ham apna deen ko bhool bhete or pese ke liye gatiya se gatiya kam kerne ko bhi tiyar hote ha or ese hera pheri ko ham log buraie nehi samjte blke ese hoshiyari ka nam dete ha or apne dil ko taskeen dene kie liye kehte firte ha kie ham tu etne chalak ha kie flaa se thag ker pese niklwa liye or use kano kan khber bhi na howe

                  Allah ham muslmano ko naike kie hidayt daie or naik amal kerne kie tufeaq ata fermaie Aameen suma Aameen
                  Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                  Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                  Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                  Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                    paisy ke chamak damak insaan ko andhaa ker deti hai ass liye baaz loog yeh galtian ker batithy hain..

                    ALLAH humari ankhoon ko imaan ke roshni sey munawar kery taa ke duniyawi maal o dolat ke pechy apni akhrat na kharaab kerin..
                    Zaid Hammid on Sawat War..
                    A must Watch..

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                      Originally posted by shy
                      ager zameer sahab mar na gaey hon to ese kamon se khud bhi door rehna chaey n bachon ko bhi door rakhna chaey.
                      Khala masla yeh hai keh un logon ka zameer zindah hai aur shayid ham jaison sey unka zameer ziyada "hoshiyar" hai. Kyun keh jin logon ki baat ki gaii hai woh masjadon ko chanda dena ho to waffar tadaad mein detey hain, namaein waqt per ada kartey hain, kaii log to hath mein tasbiyaan pakrey huwey hotey hain. Lekin iskey bawajood yeh sarey dhandey kartey hain...

                      Originally posted by ASAD
                      Namaz orzy ke ilawa wo tamam ase batoon ke mujy naseeyat karty hain jo aik achy Muslmaan ko karne chahyain....
                      Yaar asad yeh baat to shayid har musalman apni aulad ko kehta hai, lekin maslaa yeh hai keh jab woh khud amal nahin kartey (jin logon ki misaal di gaii hai) to phir aulad ko naseehat karney sey faidah? :cc:

                      Originally posted by munda_sialkoty
                      baat sirf islami ehkamaat ko samajnay ki he
                      Hmmmm baat to drust hai.....

                      Originally posted by baad-e-saba
                      duniaawii aasaaishoon ky hasool ky liy apnii aulaad ko gunaahoon aur buraaii ky raastoon par dhakael dy. Aur agar kissi main itnii himmat hy to ossy har kissm ky haalaat ky kiy bhiitayyar rehna chaahiy.
                      Point achha hai aur yehi sari baat hai keh agar woh is tarha key dhandhey karna chahtey hain to jab unka 18-year ka beta Herion bechtey mara jaey to phir waa'wela na karein, balkey sarey zamaney key samney accept karein keh jab tak chal saka chala, paisey kamata raha to hamein fiker nahin thi, aaj mara geya hai to bhi hamein fiker nahin, magar jab isi tarha ki mushkil aati hai to woh ro ro peet peet ker sari duniya ko dikhlatey hain keh unkey saath na'insaafi hui hai. Ya to pehly hi taubah kar leni thi aur seedhey raastey per chalna tha...

                      Originally posted by zeeshan
                      bat yeh ha kie jis chese kie hirs Insan kie ander aajaie tu woh use hasil kerne kie liye kuch bhi ker leta ha aj kal kie door mein pese es had tak harme hadiyo mein rach bas gya ha
                      Bilkul theek, aaj kal aksar logon ney paisey ko apna deen eeman bnaa liya hai aur paisey ko hi apney liye duniya ki sab sey aham zaroorat samajhtey hain. Yehi wajah hai keh unhein jab tak paisa milta hai, pareshani nahin hoti...

                      Originally posted by tauseeftariq
                      baaz loog yeh galtian ker batithy hain..
                      Ghalti? Jaan boojh ker herion bechna ghalti hai?
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                        Khulasa:
                        Attached Files
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                          Originally posted by Masood
                          Khulasa:
                          10 / 10

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                            taleem jahan aik taraf shaoor bakhshti wahin ager kisi educational system ko ghalat bunyadon per temeer kiya jaye tou woh uss kaum ka beera dabone mein koi kaser nahi chorrti.mulk se bahir jane wale kuch log tou esa kerte he hain k unn ka wahid maqsad he Kamana hai chahe zariya kuch bhi ho lakin hamrae yahan so called Parri Likhi nasal bhi yehi ker rahi hai. sirf aik misal dun gi..Piracy main Pakistan top numbers main aata hai..ab es Piracy main jo kuch aata hai uss ki aik lambi list hai..aur ye kaam yahan itne dharalle se ho raha hai k kiya kaha jaye..waja Roshan Khyal Parrhe Likhey Hukmaran hain jo ese Illegimate kaamon ki ijazat dete hain
                            aur es baat ka ikhtmam woh Khulasa hai jo aap ne ooper diya hai..ALLAH TAALAH sab ko apne Iman per qayem rehne ki tofeeq ata fermayen(ameen)


                            Never trust blindly!!!!

                            _______________________________



                            _____________________________________________

                            Comment

                            Working...
                            X