Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Sawal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Aik Sawal

    Originally posted by Aania
    jab Allah ki raah main diya muslim ko diya to sawal kesa main ne to suna hai .. jab aap sadqa kherat kero .. to dahney haath ne kia diya kis ko diya bayen haath ko khabar bhi na ho .. ha ne Allah ko apna fa'l dikhana hai .. apni neki ki jaza saza Allah ne deni hai .. aap ka jee chahta hai to do nahen chahta to na do .. lekin kisi ke kuch bhi kerney honey pe ungli uthana buri baat hai .. aur phir aie'b poshi to sawab hai .. kisi ka pehnawa kia hai kia nahen kisi ka fashion , rehun sehun .. se hamen kia gharz.. ham to Allah ki raah main den ge .. Allah ke liye detey hein :)
    :em:

    Comment


    • #17
      Re: Aik Sawal

      Originally posted by Masood
      Asslamo allaikum

      Main fitri tor per aik aisa bandah hoon keh jiskey darwazey per agar koi mangney aaey to ussey kabhi bhi khali haath lutana munasib nahin samajhta...

      Hamarey paros mein aik arabi family rehti hai. Us aurat key 4-5 bachey hain. Khud woh fashion ki chalti phirti misaal hai - shayid hi koi fashion ho jo woh na karti ho... Magar kam-o-besh har roz apney bachon ko bhej dey gi ya khud chali aaey gi keh mujhey "mujhey aik cup doodh dey saktey hain? - aik cup cheeni (sugar) dey saktey hain? - do tablets sar'dard ki dey saktey hain? aik cup aata dey saktey hain? - aur to aur aik cup shampoo tak mangney aa jati hai...

      Theek hai aap key istidaad mein hai to aap ko doosron ko dena chahiye aur isi per main aaj tak chal raha hoon - magar there must be a limit! Ab yeh aurat jo fashion mein sab sey barh charh ker hai - kya yeh chhoti chhoti cheezein afford nahin kar sakti? Kya aisey logon ki help karni chahiye????????

      I don't think so...
      Wa Alaikum Aslam!

      Aik hadees he, ke sail aap ke ghar ghooray pe sawaar ho ke bhi aa jaye to usay inkaar mut karo. Aap hasb-e-istataar us ki help kertay rahiye.

      Haan albata aap ager itni approach rakhtay hein to yeh baat un se discuss keejiye, lekin is tarah ke unhein koi takleef na ho...and you have to be very much polite so that they don't feel disgraced.

      Aik point yeh bhi he ke hamein aisay loogon ki hoosla shikni kese kerni chahiye, ya aisay koon se ikdaam kerne chahiyein ke loog aisay kaamon se baaz aa jaein. Is baaray mein kuch mutzaad aar'aa hein jo mein discuss nahi kerna chahta kyoon ke islaami nukta nazar se mein un aara per cent percent clear nahi hoon.
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: Aik Sawal

        Originally posted by ummid
        :masha :rose
        Inkaar karna bhi nahi chaiye bhai.......aap paise mat dijye...khana khila dijye ya kapde wagarah de dijye......hum jub college jaate the us waqt apne pass biscuit ke packets rakha karte the ke koi mange tu paise ki bajaye yeh de dein.is se kum az kum hum is khoof se tu azad ho jaate hain ke kahein woh humare diye hoye paison ka galaht istemal tu nahi karte.........:)
        waah...aap ke kia kehnay :clap: :clap:
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: Aik Sawal

          Originally posted by Aania
          jab Allah ki raah main diya muslim ko diya to sawal kesa main ne to suna hai .. jab aap sadqa kherat kero .. to dahney haath ne kia diya kis ko diya bayen haath ko khabar bhi na ho .. ha ne Allah ko apna fa'l dikhana hai .. apni neki ki jaza saza Allah ne deni hai .. aap ka jee chahta hai to do nahen chahta to na do .. lekin kisi ke kuch bhi kerney honey pe ungli uthana buri baat hai .. aur phir aie'b poshi to sawab hai .. kisi ka pehnawa kia hai kia nahen kisi ka fashion , rehun sehun .. se hamen kia gharz.. ham to Allah ki raah main den ge .. Allah ke liye detey hein :)
          Bilkul sahi kaha aania tum ne, tumhari sooch bohat achi he :clap:

          mere khyaal mein masood un loogon ki baat ker raha he jo loog aadat se majboor hotay hein aur doosray mustahkeen ka haq maartay hein, there should be some step as to make them realize...wo step kia hona chahiye...yahi pooch rahay hein masood sahib
          :thmbup:

          Comment

          Working...
          X