Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik lamha se hamdardi keejiye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aik lamha se hamdardi keejiye

    salam doosto!

    jesa ke is thread ke anwaan se ayaan he ke, aap ko bus aik lamha se hamdardi kerni he.

    hamaray aik lamha sahib kul shopping ker rahay thay ke ke 3 motorcycle sawaron ne pistol dikha ke un se mobile cheen liya

    aur yeh is saal mein Aik Lamha sahib ke saath teesra haadsa he...wo pehlay bhi 2 mobile chinwa chukay hein :tasali:

    Mookay ki munasibat se ub Aik Lamha sahib ko apni pocket mein chaiyaan chaiyaan wala mobile hi rakhna chahiye...itnay bareek insaan ko apni pocket mein asli mobile rakhnay ka koi haq nahi...aap ka kia khyaal he :lpop:
    :thmbup:

  • #2
    Re: aik lamha se hamdardi keejiye

    ek saal mei 3 martaba :mm: . zaror yeh mobile lai ker shokhian dekhata ho ga, tabhi logo ki nazar mei aa jata hai :lol

    Hamdardi kerni hai to rasman hi sahi :tasali:
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: aik lamha se hamdardi keejiye

      Originally posted by Sweet & Sour
      ek saal mei 3 martaba :mm: . zaror yeh mobile lai ker shokhian dekhata ho ga, tabhi logo ki nazar mei aa jata hai :lol

      Hamdardi kerni hai to rasman hi sahi :tasali:
      wo bechara aik dubla patala bulke manhani sa insaan he kia shookhiyaan maray ga...aik cheenk to wo maar nahi sakta :khi:

      lekin meri hamdardi us ke saath he...aur meri bud'duaaon un mobile chenenay walon ke saath hein :fuming: kambakht maray her baar aik masoom se buchay se us ka khiloona cheen ke le jatay hein...us ke nunnay se dil pe kia bet'ti ho gi yeh to bus aik bareek sa lamha hi jaanta he :tasali:
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: aik lamha se hamdardi keejiye

        Hmmmm hamein to Moin per bohat yaqin hai keh unhon ney kabhi kisi ka haq nahin mara na kisi ko takleef di hogi phir koi unka haq kaisey maar sakta hai :cc: - chalein Allah Tala unhein sabar dein :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: aik lamha se hamdardi keejiye

          Originally posted by munda_sialkoty
          salam doosto!

          jesa ke is thread ke anwaan se ayaan he ke, aap ko bus aik lamha se hamdardi kerni he.

          hamaray aik lamha sahib kul shopping ker rahay thay ke ke 3 motorcycle sawaron ne pistol dikha ke un se mobile cheen liya

          aur yeh is saal mein Aik Lamha sahib ke saath teesra haadsa he...wo pehlay bhi 2 mobile chinwa chukay hein :tasali:

          Mookay ki munasibat se ub Aik Lamha sahib ko apni pocket mein chaiyaan chaiyaan wala mobile hi rakhna chahiye...itnay bareek insaan ko apni pocket mein asli mobile rakhnay ka koi haq nahi...aap ka kia khyaal he :lpop:
          Pak Government zindaabad.... , awam ki jan-o-maal mehfooz hai... aur khush'hali ka door'dora hai, yeh he daikh lo aik lamha 2 dafa lutnay k baad bhi teesra mobile chinwa sakta hai... isi ko to kehtay hain khush'hali
          That's Enough...!!

          Comment

          • #6

            Mobile cheen liya gaya....OMG.....Mobile ka khona suna tha lakeen cheen jana first time suna hai....humara mobile bhi kho gaya tha lakeen hum hi college canteen mein bhool gaye the....kisi ne cheena nahi....mobile mein churane wali kya baat hoti hai yeh sumjh nahi aata....:donno: sirf 2 thousand ruppes ke liye koi kaise aisa ker sakta hai..... yeh aap galat bayani ker rahe hain...

            Comment

            • #7
              Re: aik lamha se hamdardi keejiye

              Originally posted by Masood
              Hmmmm hamein to Moin per bohat yaqin hai keh unhon ney kabhi kisi ka haq nahin mara na kisi ko takleef di hogi phir koi unka haq kaisey maar sakta hai :cc: - chalein Allah Tala unhein sabar dein :)
              aray bhaiya zaroori nahi ke ager insaan kisi ka haq na maray to us ka haq bhi na mara jaye...pakistan he yeh :)
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                Pak Government zindaabad.... , awam ki jan-o-maal mehfooz hai... aur khush'hali ka door'dora hai, yeh he daikh lo aik lamha 2 dafa lutnay k baad bhi teesra mobile chinwa sakta hai... isi ko to kehtay hain khush'hali
                Aisa hi aik waqeya mere saath aur aik mere bhai ke saath bhi ho chuka he
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                  Originally posted by munda_sialkoty
                  aray bhaiya zaroori nahi ke ager insaan kisi ka haq na maray to us ka haq bhi na mara jaye...pakistan he yeh :)
                  Yeh baat to hai aur pakistani siraf pakistan mein aisa nahin kartey woh duniya key kisi bhi hissey mein hon ya virtual hi kyun na hoon apni harkaton sey baaz to nahin aatey na :p
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                    Originally posted by ummid
                    Mobile cheen liya gaya....OMG.....Mobile ka khona suna tha lakeen cheen jana first time suna hai....humara mobile bhi kho gaya tha lakeen hum hi college canteen mein bhool gaye the....kisi ne cheena nahi....mobile mein churane wali kya baat hoti hai yeh sumjh nahi aata....:donno: sirf 2 thousand ruppes ke liye koi kaise aisa ker sakta hai..... yeh aap galat bayani ker rahe hain...
                    is mein koi nai baat nahi he...yahan pk mein mobile kuch mehangay hein aik dermeyana mobile 5000 se 8000 mein milta he, aur achay to 20,000 se bhi ziada ke hein...many ppl find it an easy way to earn money...mobile cheen ke sale ker derte hein...aur mujay jhoot boolnay ki kia zaroorat pari he.waise bhi Aik lamha kul se Kuwait ja raha he, wahan pe usay job mil gai he...ub to wo busy bhi ho jaye ga aur shayad baat bhi kum hua karay gi
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                      haeyy bechara Moin :( wese yaha per tu gun dekha ker nehi hatho se chean ker laie jate ha :khi:
                      suker abhi tak mere sath esa nehi howa :)
                      Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                      Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                      Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                      Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                      Comment

                      • #12
                        Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                        oohh so sad na:tasali: wese ye sab dekh kar kabhi acha wala mobile pas na rakhen khas kar jab ghar se bahir jaen to,ye to roz hi ho raha he aj kal Pkistan me:pagal:

                        Comment

                        • #13
                          Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                          Originally posted by munda_sialkoty
                          is mein koi nai baat nahi he...yahan pk mein mobile kuch mehangay hein aik dermeyana mobile 5000 se 8000 mein milta he, aur achay to 20,000 se bhi ziada ke hein...many ppl find it an easy way to earn money...mobile cheen ke sale ker derte hein...aur mujay jhoot boolnay ki kia zaroorat pari he.waise bhi Aik lamha kul se Kuwait ja raha he, wahan pe usay job mil gai he...ub to wo busy bhi ho jaye ga aur shayad baat bhi kum hua karay gi
                          ops!!

                          Comment

                          • #14
                            Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                            karachi ke halat to aaj kul bohat bud-ter ho gaye hein, is moaamlay ko le ke. Pichlay dinon mera aik doost karachi ja raha tha, aur jis ke paas jana tha us ne wo phone pe usay advise de raha tha ke apna mobile ghar rakh ke koi sasta sa mobile saath mein carry kerna
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: aik lamha se hamdardi keejiye

                              Originally posted by munda_sialkoty
                              karachi ke halat to aaj kul bohat bud-ter ho gaye hein, is moaamlay ko le ke. Pichlay dinon mera aik doost karachi ja raha tha, aur jis ke paas jana tha us ne wo phone pe usay advise de raha tha ke apna mobile ghar rakh ke koi sasta sa mobile saath mein carry kerna
                              phir bhi sirf mobile ke liye gun wagaira ka istemal karna sahi tu nahi..jitne rupiyon mein gun aur bicke aati hogi utne mein hi yeh koi accha kaam shoro ker sakte hain.....:) Allah aise logon ko hidayat de(aameen)

                              Comment

                              Working...
                              X