Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tanhaai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tanhaai


    assalamalikum


    aap kay khayal main tanhai aik achi cheez hai ya boori ???

    kuch loog tanha rehna pasand kartay hain zaida shoor sharabay say door bhagtay hain .....kuch loog tanhai say door bhagtay hain .......kuch logoun ka khayal hai kay inssan tanha reh kay zaida behtar sooch sakta hai ..kuch ka khayal tanha insaan humesha tanha hi reh jata hai , usay is ki ahesta ahesta adat par jati hai ....


    aap kay khayal main tanhaai kasi cheez hai ????

    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Tanhaai

    Nice thread


    ghalat...insaan ko tanha nahiN rahna chahiye...ye insaan ke fitrat mein bhi hai ke wo akela nahin rahna chahta ( if ignore time and situation). haan yeh baat alag hai ke zyadah bhiR bhaR na ho shor sharab na ho.

    log group mein bahut kuchh sikhte hain, ek dusre se share karte hain, naye naye tajurbe haasil hote hain.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #3
      Re: Tanhaai

      Har Cheez apney Waqt per achi lagti hai,

      Ager app ko kisi cheez per Tehqeeq kerni ho to uskey liye Tanhaii kafi Suitable hoti hai,
      Mager

      Tanhaai buri us waqt lagti hai jab app key pass koi socch na ho, us waqt app ka dil chahta hai key log hon kisi sey baatin ki jain..
      One Day you will ask "What is more Important to you, Me or ur Life"?. I will reply, "My Life". then you will go away leaving me without knowin that "You are My Life"

      Comment


      • #4
        Re: Tanhaai

        mujhe shor sharaba or zeada bheer achi nahi lagti or depends on mood ke ager tanhai ka mood ho to achi lagti he or mood na ho to sab ke sath mil jul kar bethna acha lagta he,lekin me tanhai ko zeada pasand karti hun :)

        Comment


        • #5
          Re: Tanhaai

          Bohaaaaat bure cheez hai tanhaee...
          Ummm tanhaee to achi nahe hote infact mai vesy bhe akale hote hon to mujhy to friends ki,cuzs ki gathering main zada maza aata hai..
          mager yay bhe nahe ky bohat zada shoor sharaba ho hungama na ho ..us sy ulkhan hony lagte hai..but koi ek to aisa hona chahiyay jis say dhiaaaar sare batain ker ja'ain dil bhar kay.
          Mostly loog kehty hain k jab kabhe kabhe mode kharab hota hai jab dil chahta hai ky kise sy bhe baat na kere ja'ay aur akale raha ja'ay
          but
          mera to jab mood kharab hota hai to mra dil chahta hai k kise sy ye sab kuch kah sakon apny dil ka bojh halka ker sakon

          Comment


          • #6
            Re: Tanhaai

            kehte hain na keh bure ki suhbat se tanhai behter hai.........lakin ager mehfil bazauq ho tu tanhai zegr e qatel hoti hai..........ab te depend kerta hai keh insan ki kaifiyat kaisi hai ager udas hai tu tanha rehna pasand kerta hai mager kabhi kabhi tanhai insan ko udas ker deti hai...yrhi sorat e hal mehfil ki hai ager mahol khushgawar ho tu insan khush hota hai ager yehi mehfil dil dukha de tu insan gosha e tanhai ka aadi ho jata hai....jahn tak meri baat hai mein ager hujom se ghabrati hon tu tanha rehna chahiti hon jab tanhai kat,ti hai tu hujoom mein chali jati hoon..

            Comment


            • #7
              Re: Tanhaai

              Mera khiyaal hai keh tanhaee insaan key apney ander hoti hai. Khilwat ho ya jalwat agar ander tanhaa hai to tanhaee har jaa ho gi. Raha swaal keh yeh achhi hai ya buri to tanhaee to kisi tor achhi nahin hoti. Insaan ko zehnei tor par maflooj kar sakti hai. Insaan aik social animal hai, jo insaano key beech mein rah sakta hai. Yeh kaha hai to yeh bhi kehna zaroori samjhta hoon keh tanhaee hi asal imtihaan hai keh ham fitrati tor par kaisey insaan hain. Kyun keh sab key saamney to ham achhey ban letey hain magar kya tanhaee mein bhi achhey rah saktey hain?

              Na ziyada tanhaee achhi hoti hai na ziyada mehfil-aaraee! Har cheez mein aik balance hona chahiye, hamein apni zindagiyon mein balaance paidah karna chahiye. Logon sey mail milaap rakhna chahiye magar saath hi saath gosha-nasheeni bhi ikhtiyaar karni chahiye, kyun keh hamara asliyat ka asal manazra us waqt hota hai jab ham tanhaa hotey hain.

              Mera PEGHAM yehi hai keh balance rakhein, tanhaee bhi rakhni chahiye aur mehfil bhi!
              :rose
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Tanhaai

                hmm nahi hai ik azab hay
                http://www.genericviagra2015shop.com/

                Comment


                • #9
                  Re: Tanhaai

                  I agree with Masood hamien dono cheezien balance rakhni chahiyein

                  Meyra khayal hai key hamien din ka aik thora sa hissa tanha guzarana chahiye ta key hum apney aap ko bhi jaan sakein
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  Working...
                  X