Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..
jawab to he bulke serious jawab to ye he k majority mard bina zarurat 2nd shadi karte hen,us waqt na to un ko apne bachon ka khiyal rehta he na kuch or.beshak islam ne ijazat di he lekin sath me insaf karne ka hukam bhi dia he.or jo shaks apni wives me insaf nahi kare ga wo qayamat me is haal me aey ga k us ka adha dhar maflooj ho ga.or aaj insaf kon karta he sab jante hen:tauba or jahan tak ye kaha jata he k sunat he esa krna to ager aap ghor karen to pata chale ga k hamra piyare nabi ne serf aik hi wife ke sath zindagi bitai.jab k wo us waqt un ko bohat sare arab khandan apni beti dene ko tyar the lekin unhon ne hazrat Khadija ki wafat ke baad bewa khawateen ko sahara dene ko nikah keay.to ye koi mazak ki baat nahi he k jab dil kia kiis se mohabat ho gai n shadi kar li.is tarah to orat ko bhi islam haq deta he k wo ager shoher ke sath na rehna chahe to khula le sakti he to kia oraten bhi dusri mohabat kar ke khula lein or shadi kar lein?kids r v improtant.aik shadi ke hote huey dusri mohabat karne se pehle un ke bare me bhi sochna chaey
:a stick:
Originally posted by tauseeftariq
![Nunu](https://pgians.pegham.net/core/images/smilies/nunu.gif)
Comment