Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

career ... !

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • career ... !

    Assalamalikum

    Gupshup main debate ka aghaaz kartay hian :D
    Topic hai "Career"

    jub baccha chota hota hai parents uska career choose kartay hian yeh doctor banaye ga ya engineer , pilot etc etc
    jub school jana shuru hotay hain to buhat change bhi aaa jata hai different subjects parhnay partay hian
    college main a k phir aik change ....

    aksar loog apni studies say mutmain hotay hian or agay barhtay jatay hian ...aksar nahi ho patay k un ka zehen us taraf nahi hota jo study kia hota hai ..wo apna career change karna chahtay hian phir souchtay hian it's too late kay ub yeh change karian ...

    to debate hi is topic pay hai k aik banday ko life main ahsaas ho k jo kaam wo kar raha hai ya jo study us nay ki hai wo us say mutmain nahi to kia wo zindagi main kabhi bhi career change kar sakta hai ? .... ya wo yehi suchta reheye kay it's too late now .....!

    sub is pay raye daian google main bhi achay say commnets parhye hian aik jaga wo bhi share karian gay :thmbup:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: career ... !

    waalikumasslam


    Aj kal trend change ho gia hai ... perhai kam ho tou bhi log apny aba-o-ajdad ka ya just apny hi walid sahab ka paisha nhin apnaty. kion k woh dunya ki traqi deikhty huye us mein shamil hona chahty hein ...
    ye alag baat hai k study apko aik direction/sha'or zaror de deti hai ...

    magr phir bhi buhat se log achi education hasil kerny k baad b faigh rahny per mjbor hein aur usi majbori k tahat unko apni study sy gair mutalqa career apnana perta hai jo k is ek buht bari tragedy hai
    Last edited by ahsaas; 22 January 2016, 11:52.

    Comment


    • #3
      Re: career ... !

      Originally posted by ahsaas View Post
      waalikumasslam



      magr phir bhi buhat se log achi education hasil kerny k baad b faigh rahny per mjbor hein aur usi majbori k tahat unko apni study sy gair mutalqa career apnana perta hai jo k is ek buht bari tragedy hai
      yep kuch loog us shoobay say wabista rehtay hain jo un ki pasand ka nahi hota ...lekan wo change nahi karna chahtay kay ub buhat dair ho gai hai ...kia wo yehi souch apnatay hovey zindagi guzartey rehian ya khud ko aik chance daian k jo bhi age hai un ki agay barhna hai or aik naya world explore karna hai .
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: career ... !

        I think waldein behtreen observer hain.. Unhain apny buchy main yeh observe karna chahye k us ka rujhaan kis taraf hay ! Matric k baad bus us ko ussi path pe dal dena chahye. Then agy us ki kismat
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: career ... !

          Parents hmy thek rasta btaty hain. agy hmari marzi hoti h ky hmy kon sa use krna chahiy. mera to Trevel me bhot bhot hi zada interest h.

          Comment

          Working...
          X