Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

    Assalamo Allaikum

    Bohat dino sey aik behas chal rahi hai keh LATKIYAAN clever hain keh LATKEY :khi: - to me ney socha is kaa aasan tareeqa hai keh SEENGH LARRA liye jaein :lol .

    To karna ham ney yeh hai keh Pegham do hisson mein batt geya hai:
    1. aik kudiyon ka
    2. aik mundon ka
    kudiyaan aik taraf mundey sahebaan aik taraf . Ham aik doosrey sey General Knowledge key sawalaat karein gey. Aur phir zahir hai unka jawab bhi dein gey .

    Tareeqah-e-Kaar:
    Tareeqa yeh ho ga keh aik team sawaal karey gi. Maslan aik personality ko bhoojna hai. Doosri Team phir sawaal karey gi yani clues ley gi us key mutaliq keh woh personality ya jo kuchh ho woh kya hai? Pehli team uska FAIR jawab dey gi. Aur phir is tarha sawaal ka jawab bhooja jaey ga.

    Remember maximum number of questions a team can ask to get a clue is 5!!! Teams can talk internally before posting a final answer. Best way of being sure of it to call a member of team as Captain. His/her answer will be the final.

    Thori si dilchuspi key liye ham yeh kartey hain keh POINT SYSTEM ho ga. Aik saheeh jawab per 3 points milein gey aur ghalat jawab per 3 points deduct kyey jaein gey. Pass karney ki option bhi hai is soorat mein 1 point miley ga.

    Me as all ways - the most fair person - judge rahoon ga aur games mein hissah nahin loon ga - kisi ney hair'phair ki to

    To aa geya samajh shareef mein?
    Last edited by Masood; 9 April 2006, 21:24.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

    Okay pplz - first term mein to main yeh silsila shuru nahin kar paya - magar inshaAllah ab issey chalaoun ga... to sab sey pehley main Teams key captains ka elan kar doon...

    Larkiyon ki team ki captain hon gi: ESHAA_WELLWISHER

    Larkon ki team key captain hon gey: BHEEGI PALKAIN

    Sab sey pehla sawaal meri janib sey hai - just to decide who to start....

    In case of doubt for answer - the final answer will be made by the team captains.

    Ji to mera sawal hai:

    Saibqah Heavyweight Champoin Muhammad Ali ka asal naam kya tha?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

      Originally posted by Masood

      Sirf heavyweight champoin nahi three time world heavyweight champion he wo

      Islam kabool kerne se pehlay us ka naam Cassius Clay
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

        ub question larkon ki taraf se

        2nd world war se chand aik maheenay pehlay Germany aur U.S.S.R. (rushia) mein aik defence matters per aik samjoota hua...us samjootay ko kia naam diya gaya.
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

          Originally posted by munda_sialkoty
          Sirf heavyweight champoin nahi three time world heavyweight champion he wo

          Islam kabool kerne se pehlay us ka naam Cassius Clay
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

            lagta he ub larkiyaan nahi aaein gi jawab dene
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

              Originally posted by munda_sialkoty
              lagta he ub larkiyaan nahi aaein gi jawab dene
              tum aanmy hu ya saamny??:khi:

              Comment

              • #8
                Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                Originally posted by munda_sialkoty
                ub question larkon ki taraf se

                2nd world war se chand aik maheenay pehlay Germany aur U.S.S.R. (rushia) mein aik defence matters per aik samjoota hua...us samjootay ko kia naam diya gaya.
                August 1939 mein Russia aur germany ke beech "Non aggression" pact howa tha....:donno:
                Aap kis ki baat ker rahe hain atleast date aur year tu bataye..
                few month pehle hi likha hai sirf aap ne...

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                  Originally posted by ummid
                  August 1939 mein Russia aur germany ke beech "Non aggression" pact howa tha....:donno:
                  Aap kis ki baat ker rahe hain atleast date aur year tu bataye..
                  few month pehle hi likha hai sirf aap ne...
                  waooo...hamari shairni ne sahi jawaab de diya

                  well month is liye nahi likha ke cent percent confirm nahi tha...it was probably August or september 1939 :)
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                    is se pehlay ke hum se koi question ker dalay, hum aik aur question ker dete hein

                    1945 mein Japan ke do sheheron heroshima aur nagasaki pe atom bomb giraye gaye...jis jahza se giraye gaye us ka name bataiye
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                      Originally posted by munda_sialkoty
                      waooo...hamari shairni ne sahi jawaab de diya

                      well month is liye nahi likha ke cent percent confirm nahi tha...it was probably August or september 1939 :)
                      yahooooooooooooo..
                      it was in August 1939....
                      Aap ne few month likha tha... :tauba
                      yeh few year pehle ki baat thi..
                      plzzzz sahi question poache aap...

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                        Originally posted by munda_sialkoty
                        is se pehlay ke hum se koi question ker dalay, hum aik aur question ker dete hein

                        1945 mein Japan ke do sheheron heroshima aur nagasaki pe atom bomb giraye gaye...jis jahza se giraye gaye us ka name bataiye
                        Aap us jahaz ka naam poach rahe hain ya us ke pailot ka....:cc:

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                          Originally posted by munda_sialkoty
                          Sirf heavyweight champoin nahi three time world heavyweight champion he wo

                          Islam kabool kerne se pehlay us ka naam Cassius Clay
                          Chalein aap ka jawab saheeh maan leta hoon - aap Classius mein L daalna bhool gaey they :thmbup:
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                            Originally posted by munda_sialkoty
                            is se pehlay ke hum se koi question ker dalay, hum aik aur question ker dete hein

                            1945 mein Japan ke do sheheron heroshima aur nagasaki pe atom bomb giraye gaye...jis jahza se giraye gaye us ka name bataiye
                            shaid it was the world's fastest airplane "SR-71"....:cc:

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~Aamney Saamney Aak Key 2~*~

                              Originally posted by munda_sialkoty
                              is se pehlay ke hum se koi question ker dalay, hum aik aur question ker dete hein

                              1945 mein Japan ke do sheheron heroshima aur nagasaki pe atom bomb giraye gaye...jis jahza se giraye gaye us ka name bataiye

                              JI NAHIN AAP QUESTION NAHIN KAR SAKTEY AB LARKIYON KI BARI HAI

                              Points Table:

                              Larkey = 0
                              Larkiyaan = 3
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...