Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sawaal Peh Sawaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sawaal Peh Sawaal

    ji haan, kuchh jazbey bin kahey samjhey jatey hain, kuchh rishtey benam hotey hain. Kya yeh saheeh hai keh kuchh log chand lamhoon mein aik doosrey ko samajh jate hain?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Sawaal Peh Sawaal

      hmm.........samajhne ke liye tau aik umr bhi kam hoti hai insan kuch samajhta hai mager baat kuch hoti hai hai na??

      Comment


      • Re: Sawaal Peh Sawaal

        ji kuchh hota hai jiski badolat insaan aik umer saath guzar dey aur na samajh paey aur na'milley huwey bhi samajh jaey. Yeh zehni ham-ahangi ki baat hai. Us salook ki baat hai jo insaan aik doosrey sey karta hai, kya khiyal hai?
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Sawaal Peh Sawaal

          hmm insan waqt ki raftar se bhi ziada tezi se kiun badalta hai??

          Comment


          • Re: Sawaal Peh Sawaal

            Yunhi mausam ki ada dekh kar yaad aaya hai
            kis qadar badal jatey hain insaan janaan

            insaan key badalney par kal baat karien ge, abhi main jaoun ga aik kaam hai... take care...
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Sawaal Peh Sawaal

              khuda Hafiz

              Comment


              • Re: Sawaal Peh Sawaal

                kia sab chaly ga'ay..kaha hain sab??

                Comment


                • Re: Sawaal Peh Sawaal

                  May hona app kis ko talash ker rhai hain anti jee ?
                  http://www.genericviagra2015shop.com/

                  Comment


                  • Re: Sawaal Peh Sawaal

                    Mei apnay aap ko kiyu talaash kar raha hoo?

                    Comment


                    • Re: Sawaal Peh Sawaal

                      yehi ham bhi soch rahay haiN, wese aapas ki baat hay,aap theek to haiN naaaaa?:cc:

                      Comment


                      • Re: Sawaal Peh Sawaal

                        agar theek hota kiya apnay aap ko talaash karta ?

                        Comment


                        • Re: Sawaal Peh Sawaal

                          har hosh-mand insaan apneaapko talaash karta hay.kya apko is meiN shak hay?

                          Comment


                          • Re: Sawaal Peh Sawaal

                            is mein to kisi baat ka koi shak nahin ho sakta, talaash to shayid sab kartye magar kay har kisi ko apna aap mil jata hai??
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Sawaal Peh Sawaal

                              aadami ko kabhii mila hay kya apna nishaaN?

                              Comment


                              • Re: Sawaal Peh Sawaal

                                ji milta hai, magar iskey liye niyyat ka khalish hona zaroori hai. Makkar-o-rayya ko chhorna parta hai, nafs-e-ammara ko marna parta hai, magar yeh sab mushkil kyun hai?
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X