Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik game khailtay hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aik game khailtay hain

    yahan aysa karna hai k person abv you k dia gay 3 words pay aik aik line likhni hai jo smajh aay likh dayna hai

    aaya samajh chalain main 3 words dayte hon


    jazba

    ehsas


    khoobsurat

  • #2
    Re: aik game khailtay hain

    bahot Khoobsoorat laRii hai par yeh to bataaiye k yeh kia serious topic hai yaa khel kood hai jis meN mazaahiya aur dilchasp baateN karnii haiN? thankoo

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

    Comment


    • #3
      Re: aik game khailtay hain

      game pasand karnay ka shukaria jo marze likhain sanjeda ya mazaahiya ot patang ya dilchasp ulta ya seedha

      Comment


      • #4
        Re: aik game khailtay hain

        Originally posted by <<Muqadas>> View Post
        game pasand karnay ka shukaria jo marze likhain sanjeda ya mazaahiya ot patang ya dilchasp ulta ya seedha
        ok to jaisa maiN huN vaise comments duuNgaa...me all the above jo u ne likha....372-haha

        jazba:

        vo feelings jo aadmii ko insaan banaatii hai :)

        aHsaas:

        yeh vo feelings haiN jo insaan ko Haiwaan banaa detii haiN

        Khoobsoortii:

        yeh trapping device hai jisse propagation of human race hotii hai :)

        next 3 alfaaz:

        maar peeT
        be-raah ravii
        laalach

        Last edited by SherAli; 19 November 2008, 15:36.

        Fall view from inside my car
        near my work place :)

        Comment


        • #5
          Re: aik game khailtay hain

          toba kaysay lafz hain

          Mar peet

          jail section main kurkuryan , sheroo aur larko ki mar peet hoi

          bay rah ravi

          bay rah roo shaks maoshray k lia nasoor hota hai

          lalach

          paysay ki lalach aur hawis nahi pore qoom ko deboo dia



          ujala

          bandage

          nafrat

          Comment


          • #6
            Re: aik game khailtay hain

            Originally posted by <<Muqadas>> View Post
            toba kaysay lafz hain

            Mar peet

            jail section main kurkuryan , sheroo aur larko ki mar peet hoi

            bay rah ravi

            bay rah roo shaks maoshray k lia nasoor hota hai

            lalach

            paysay ki lalach aur hawis nahi pore qoom ko deboo dia



            ujala

            bandage

            nafrat
            waah, bahot Khoob jawaabaat rahe aapke :)

            Ujala:

            jisse andheraa door bhaage...janam janmaantar kaa bair hai donoN ke beech...ek hotaa hai to dusra qareeb nahiIN phaTataa :)

            bandagii:

            bande ko Rabb se milaane kaa zari'ya :)

            nafrat:

            self anihilation ke liye atomic bomb :(

            nest 3 alfaaz:

            chori
            muskaan
            tauba

            Fall view from inside my car
            near my work place :)

            Comment


            • #7
              Re: aik game khailtay hain

              kise ko pasand nahi aaya thread appkay jawab
              chori
              chori to nahi ki hai daka too nahi dala iskay elawa kuch samajh nahi aaraha

              Muskan
              khuda aray teray hunton pay muskan younhi saji rahay

              tauba
              tuba o astagfar karna aur Allah ka bohat shukar aada karna chahiya hamaray pass shayed waqt bohat kam hoo


              subha ,

              dilkashi

              khudkashi

              Comment


              • #8
                Re: aik game khailtay hain

                Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                kise ko pasand nahi aaya thread

                subha ,


                dilkashi

                khudkashi
                subHa:

                subHa hotii hai, shaam hotii hai
                'umr yuN hii tamaam hotii hai


                dil-kashii:

                dil-kashii dil se hotii hai..goyaa, is par bhii koii iKhtiyaar nahiiN.

                Khud-kushii:

                Haraam hai, isse jannat nahiiN milne kii, Khud-kushii ba-zaahir bahaadurii kaa kaam hai k insaan Khud apnii jaan le le kiuN k maut se Dar to fitrii 'amal hai magar buz-dili yuN hai k Khud-kush insaan meN Haalaat se nimaTne kii aur usse jeetne kii sakat nahiIN hotii :)


                next alfaaz:

                seena-zorii
                saiNyaaN Ji
                amrikan ulloo :)

                Fall view from inside my car
                near my work place :)

                Comment


                • #9
                  Re: aik game khailtay hain

                  saiNyaaN Ji
                  ???

                  Comment


                  • #10
                    Re: aik game khailtay hain

                    Originally posted by <<muqadas>> View Post
                    sainyaan Ji
                    ???
                    husband/bf :)

                    Fall view from inside my car
                    near my work place :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: aik game khailtay hain

                      Originally posted by SherAli View Post
                      husband/bf :)

                      aahan par me ko baray mushkil words maloom par rahay hain

                      Comment


                      • #12
                        Re: aik game khailtay hain

                        Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                        aahan par me ko baray mushkil words maloom par rahay hain
                        ok to aap apnii marzii ke koi se bhii 3 alfaaz chun leN :)

                        Fall view from inside my car
                        near my work place :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: aik game khailtay hain

                          sena zori matlab jhagarna ya apni ghalte na manna

                          Comment


                          • #14
                            Re: aik game khailtay hain

                            Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                            sena zori matlab jhagarna ya apni ghalte na manna
                            moHaavarah hai: chorii oopar se seena zorii...YES, apnii Ghalatii na maannaa...haT-dharmii karna a:)

                            Fall view from inside my car
                            near my work place :)

                            Comment

                            Working...