Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~! Mano Na Mano !~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~! Mano Na Mano !~

    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
    hmmmmm:)

    but u u knw sada mausam aik say nahin rehtay .....isee terhadilper bhi hamesha udaasi ki hukmurani nahin rehty............wo kya kehtay haina khizaa'n k baad bahar ka mausam hota hay.....
    sab bajaa Eshaa par sab kitaabii baateN hotii haiN na :) ek gaanaa suniye :)

    KhizaaN ke phool pe aatii kabhii bahaar nahiiN
    mire naseeb meN, ai dost! uskaa pyaar nahiiN :(


    http://www.youtube.com/watch?v=w65IFI3_HRw
    Last edited by SherAli; 22 November 2008, 07:01.

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

    Comment


    • Re: ~! Mano Na Mano !~

      Originally posted by SherAli View Post
      sab bajaa Eshaa par sab kitaabii baateN hotii haiN na :) ek gaanaa suniye :)

      KhizaaN ke phool pe aatii kabhii bahaar nahiiN
      mire naseeb meN, ai dost! uskaa pyaar nahiiN :(

      http://www.youtube.com/watch?v=w65IFI3_HRw
      kuch kitaabi baatein jab insaan ki zindagi mein ho rehty hain to unhein tajruba kaha jata hay..............:)
      insaani fitrat hay k wo khud se related (apni zaat per aanay walay dukh takleef ko) accept nahin karta ye kisi aik ki nahin her insaan ki nature hay.....per sakoon wahan jaa k naseeb hota hay jahan wo ye jaan lay k ye cheez ya duaa jo menay maangi meray liey behter nahin thi islieey US ZAAT PAAK nay aata nahin ki................:)
      Ar phr u knw JAB WO HUMSE KUCH LAYTA HAY to us k badlay apni BAARGAAH mein se wo cheez aata karta hay JO sab se bhtareen ho............n i really mean it:)
      sigpic

      Comment


      • Re: ~! Mano Na Mano !~

        Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
        kuch kitaabi baatein jab insaan ki zindagi mein ho rehty hain to unhein tajruba kaha jata hay..............:)
        insaani fitrat hay k wo khud se related (apni zaat per aanay walay dukh takleef ko) accept nahin karta ye kisi aik ki nahin her insaan ki nature hay.....per sakoon wahan jaa k naseeb hota hay jahan wo ye jaan lay k ye cheez ya duaa jo menay maangi meray liey behter nahin thi islieey US ZAAT PAAK nay aata nahin ki................:)
        Ar phr u knw JAB WO HUMSE KUCH LAYTA HAY to us k badlay apni BAARGAAH mein se wo cheez aata karta hay JO sab se bhtareen ho............n i really mean it:)
        shukria k aapne munaasib aur jaa baat bahtareen pairaaye men bayaan kii. maiN koshish karuuNgaa iA. :) thankoo!

        Canada kab vaapas aarahii haiN? aapke istiqbaal ke liye is waqt barf, sard hawaayeN aur minus 15 degrees temp muntazir hai

        Fall view from inside my car
        near my work place :)

        Comment


        • Re: ~! Mano Na Mano !~

          Originally posted by SherAli View Post
          shukria k aapne munaasib aur jaa baat bahtareen pairaaye men bayaan kii. maiN koshish karuuNgaa iA. :) thankoo!
          thats really good na:thmbup:
          i knw kehnay walay k liey asaan hay aur karnay waalay k liey bht mushkil........per jo ye bhaid(ramz) jaan lay wohee kaamyaab.....:rose
          Canada kab vaapas aarahii haiN? aapke istiqbaal ke liye is waqt barf, sard hawaayeN aur minus 15 degrees temp muntazir hai
          Canada InshaAllah december mein aaengay .........kya karna hay wahan aa k ........jahan bhi rahay jitnabhirahay aakhir to waapis canada hee pohanchna hay na...so aisee bhi kya jaldi k hum laut aaen372-shock
          sigpic

          Comment


          • Re: ~! Mano Na Mano !~

            Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
            thats really good na:thmbup:
            i knw kehnay walay k liey asaan hay aur karnay waalay k liey bht mushkil........per jo ye bhaid(ramz) jaan lay wohee kaamyaab.....:rose

            bahot Khoob...:) ramz lafz par ek she'r yaad aa gayaa Meer kaa:

            mai'hr-o-vafaa o lutf-o-'inaayat ek se vaaqif in meN nahiiN
            aur to sab kuchh tanz-o-kanaayaa, ramz-o-ishaara jaane hai


            Canada InshaAllah december mein aaengay .........kya karna hay wahan aa k ........jahan bhi rahay jitnabhirahay aakhir to waapis canada hee pohanchna hay na...so aisee bhi kya jaldi k hum laut aaen372-shock

            haan ji, saHeeH farmaayaa...kia jaldii hai! vaise ghar kii yaad to aatii hogii :) maiN bhii jab India jaataa huN to vaapsii kaa man nahiiN kartaa
            :(
            .....

            Fall view from inside my car
            near my work place :)

            Comment


            • Re: ~! Mano Na Mano !~

              Mano na mano aj ka din bht acha guzra

              Comment


              • Re: ~! Mano Na Mano !~

                Mano na mano ....mujhy mnana he nahi hay:p

                Comment


                • Re: ~! Mano Na Mano !~

                  maano na maano aaj to me ko kisi par bahooot pyaar aa raha ahai ;)

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment


                  • Re: ~! Mano Na Mano !~

                    Mano na Mano ..........rehny do

                    Comment


                    • Re: ~! Mano Na Mano !~

                      mano na mano ab yeh tumhari marzi hai:embarasse

                      Comment


                      • Re: ~! Mano Na Mano !~

                        Mano ya na mano m3i kisiko bhi apni lif3 p3 rul3 karn3 ka haq nai d3 saktiii

                        Comment


                        • Re: ~! Mano Na Mano !~

                          maano na maano yeh to bahot saTeek baat kahii u ne...yes, why. in the heaven's sake, would u allow some1 to rule over u in the first place...bravo!

                          Fall view from inside my car
                          near my work place :)

                          Comment


                          • Re: ~! Mano Na Mano !~

                            :hehe:

                            mano ya na mano m3i kabhi galat baaat nai karti :hehe:

                            Comment


                            • Re: ~! Mano Na Mano !~

                              maano na maano maiN bhii bachpane se Girl's/Wemen's power ke Haq meN thaa...mujhe baRaa buraa lagtaa jab mard Hazraat raat ke 11 baje ghar aate gappeN laRaa kar to bahneN uTh kar unke liye khaanaa garam kar ke sajaatiiN..i hated this system ... honestly, i felt like killing the guy! :(

                              Fall view from inside my car
                              near my work place :)

                              Comment


                              • Re: ~! Mano Na Mano !~

                                Mano na mano to isss m3i kai galat hai?? y3 to har b3hna ka ya b3wi ka farz hai k3 jab bhi unk3 bhai ya husband ay3in to unki khatir tawazoh ki jay3..
                                m3in3 y3 kaha k3 hukm chalan3 wal3 loag nai pasand :S

                                Comment

                                Working...
                                X