Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Maula ! Samjha dey inhe Maula(Lyrics) ...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Maula ! Samjha dey inhe Maula(Lyrics) ...!!




    maula... maula...
    maula... maula...

    maula! samjha de inhain maula
    tu ne na bhaid yeh khola
    ke yeh hain bhool bhulaiyyaan
    [repeat]

    sajde karain? ke dar se darain
    ke tasbeeh parhain? ke har su laren?
    ke bhatke huwe hai bande tere
    tu dikhla de raah kis pe barhain?
    jab zikr Khuda ka aata hai
    sun ke bechain yeh laata hai
    karde tu karam, kya jaata hai

    maula! samjha de inhain maula
    tu ne na bhaid yeh khola
    ke yeh hain bhool bhulaiyyaan

    maula... maula... maula...
    maula... maula... maula...
    samjha de
    uljhe hain, suljha de...
    [repeat]


    marham ki talaash mein dekho
    nasoor miley jo mujh ko
    to zakhm hi doonga main to
    ab saansain bhi jab leta hun
    nafrat ko hawa deta hun
    mar mar ke yahaan jeeta hun

    jab zikr Khuda ka aata hai
    sun ke bechain yeh laata hai
    karde tu karam, kya jaata hai

    maula! samjha de inhain maula
    tu ne na bhaid yeh khola
    ke yeh hain bhool bhulaiyyaan

    yeh hi ilteja hai, meri yehi dua hai
    kisi par bhi na guzre jo yun saha hai
    mera arsh arsh tera farsh maula
    yeh hi arz arz main ne kiya hai
    tu hai paak paak, main hun khaak
    yeh bhi maana main ne mujh pe teri panaah hai
    mere ashk ashk yeh hi keh rahe hain
    meri saans saans mujh pe saza hai


    Allah ke banday... Allah ke banday...

    jab zikr Khuda ka aata hai
    sun ke bechain yeh laata hai
    karde tu karam, kya jaata hai

    maula! samjha de inhain maula
    tu ne na bhaid yeh khola
    ke yeh hain bhool bhulaiyyaan
    [repeat]

Working...
X