Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Cricket World Cup 2007 Postmortem and What's Ahead?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Cricket World Cup 2007 Postmortem and What's Ahead?

    Past:
    Pakistani Cricket ko pichhley kaii salon sey follow karney walon key liye World Cup mein buri tarha nakaami koi hairat ki baat nahin!!

    1992 key World Cup men kamyabi key baad hamari Cricket ko siyasat ney buri tarha mutasir kiya hai. Yeh siyasat us sey pehley bhi thi, jab Javed Miandad ki captaincy mein 8-9 naamwar players ney khailney sey inkaar kar diya tha, jin mein Imran Khan, Zaheer Abbas, Mohsin Khan, Mudassar Nazar, Majid Khan waghera qabil-e-ziker they.

    Magar us siyasat mein aur 1992 key baad ki siyasat mein bohat farq hai. Woh siyasat shayid Pakistani Cricket ko behtari ki taraf ley janey key liye thi jiska nateeja yeh huwa keh Javed Miandad ki bjaey Imran Khan ko captain bnaya geya. Woh aik faisla Pakistani Cricket key liye sab sey achha faisla tha keh Imran Khan jaisa captain Pakistani Cricket ko kabhi nahin mila!

    1992 ka World Cup bhi siraf us aik captain ki fatah thi!!

    Imran Khan key baad yak-e-baad deegrey captain badley gaey. Saleem Malik ney Cricket mein Juwa'baazi ko shamil kar key Pakistani Cricket ko intihaii gandgi mein phaink diya, jahan per players ney yeh soch liya keh jab tak hain, paisa kama lo!!!

    90's mein aik key baad doosra captain aaya, siyasat pali, groupbandiyan hona shuru ho gaii. Aur phir Wasim Akram ko Captain bnaya geya - ghalban Imran key baad aik achha captain sabit huwa! Magar Wasim aur Waqar ki aapis mein group'bandi ney bhi Cricket ko nuqsaan pohanchaya.

    1999 mein Wasim ki kamyab qiyadat mein Pakistan World Cup final tak pohancha aur aik zabardast aur super Australian team sey hara. Jokeh us waqt koi dukh ki baat nahin thi keh wahan per Australia super tha!

    2003 key World Cup ki nakami key baad hamarey mulk mein aik tabdeeli ki zaroorat thi. Magar woh tabdeeli nahin aai. PCB mein jo log aaey woh mufaadi they, jo selectors aatey woh mufaadi hotey aur jo jo selection ki jatin woh mufaad per mabni hotin.

    Inzimaam-ul-Haq ko captain bnana sab sey badi bewaqoofi thi - aik bandah jissey Cricket qawaneen ka patah nahin ussey uthaa ker captain bnaa diya jaey - yeh ahmaqana harkat thi!!! Aik captain ko burdbar hona chahiyey, kisi bhi team ko lead karna aasan nahin hota yeh kaam usi ko karna chahiyey jo "pedaishi leader" ho. Magar hamarey mulk mein yeh samjha jata hai keh jiska tajarbah ziyada hai, jiska naam bada hai wohi qayadat kar sakta hai - yeh bohat ghalt soch hai. Qayadat karna aasan nahin iskey liye leadership qualities ki zaroorat hoti hai - jo Inzimam mein nahin!

    Future:
    World Cup ka postmortem ho chuka! Ab sawaal yeh hai keh mustaqbil kya hai? Main nahin samajhta keh Board tabdeel kar deney sey aap tabdeeli laa saktey hain. Zaroorat is baat ki hai keh jo jo insaan PCB mein jis jis muqaam per hai woh apney kaam sey mukhlis ho! Mufaadprasti ko pas-e-pusht daal diya jaey. Hamarey mulk mein talent ki kami nahin, mera aaj bhi yaqin hai keh agar Australia ko koi challenge kar sakta hai to Pakistan hai magar is key liye mukhlis honey ki zaroorat hai. Haqdar ko uska haq milna chahiyey. ARY Digital per aik program dekh jis mein World Cup per Pakistan ki performance per tabsraa tha. Wasim Bari chief Selectors mein sey aik sey jab poocha geya keh Salman Butt ko kyun select nahin kiya geya halankeh uski performance achhi rahi hai aur yakdam Imran Nazir ko chun liya geya to Wasim Bari ney jawab diya keh "ham left and right hand ki combination per zor dey rahey they" - dekhein jab Selectors key paas selection key liye yeh criteria hon to woh intihaii nakaam selector hota hai!!! Selection PERFORMANCE per honi chahiyey!!!


    Sab sey pehley apney mulk mein Cricket ka dhancha tabdeel karein - jis per Imran Khan aik muddat sey zor dey raha hai. Apney mulk mein DEAD PITCHES ko khatam kijiye.... Batsmen-friendly pitches bnaa ker aap record per record bnaa ker Cricket ko damage kar rahey hain. Woh pitches bnaiyey jis per aap Internationally kamyab hon sakein.

    Neya Challenge yeh hai keh aisi team tayyar di jaey jo World Cup 2011 khailey. Aisey players jo 2011 tak umer key us hissey mein pohanch jaein jahan per unhein team mein shamil NAHIN hona chahiyey - un per inehsaar nahin karna chahiyey. Players like Younis Khan, Muhammad Yusuf, Asim Kamal, Rana Naveed, Shahid Nazir, Shoaib Akhtar and Yasir Hameed in ko agley World Cup mein hissah NAHIN LENA chahiyey regardless of their performance!!! Abhi sey aik aisi team per tawajoh di jaey jo agley World Cup mein Pakistan ki numaindgi karey.

    Captain
    Cricket mein captain ka role bohat aham hota hai. Is liyey captain aik aisa player hona chahiyey jo is mansab ko poora kar sakey. Mojoodah team mein koi bhi player is category ko fill karta huwa nazar nahin aata!!! Kisi mein aisi leadership ki quality nazar nahin aati. Aik talent jissey bohat buri tarha zaya kiya geya hai woh Azhar Mehmood hai. Mera zaati khiyaal tha keh issey future captain bnaya jaa sakta hai magar issey completey zaya kar diya gey hai. Is waqt agar kisi ko captaincy di jaa sakti hai aur phir ussey is mein aetmad diya jaey to woh Shahid Afridi hai. Afridi ko captain bnaa ker Shoaib Malik ko uska deputy bnaya jaey! Aur mustaqbil ki team in key gird bnaii jaey. Younis Khan, Muhammad Yusuf ko agley 3-4 saal tak team mein as senior batsman ki hasiyat sey shamil rakha jaey aur yeh challenge diya jaey keh inhon ney naey batsmen ko apney tajarbey sey seekhana hai. Bowling attack Muhammad Asif key gird bnaya jaey. Rao iftikhar, Umer GUl yeh log next World Cup key liye tayyar kiyey jaein.


    Hamari team mein zabardast talent hai magar inki tarbiyat karney ki zaroorat hai. Kaii aik players ki past 5-6 innings ko ley lijiye - inkey out honey ka andaz aik jaisa hai - sochney wali baat yeh hai keh kya yeh log apni ghaltiyon sey sabaq nahin seekhtey? Lagta aisa hi hai goya yeh aik match khail ker ussey bhool jatey hain aur us mein ki gaii ghaltiyon ko analyse nahin kartey, inkey nazdeek har match aik alag match hai - magar har match mein inki ghaltiyan aik si hoti hain. Zaroorat is amar ki hai keh apni har inning ko analyse kiya jaey aur apni ghaltiyon ko drust kiya jaey.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Cricket World Cup 2007 Postmortem and What's Ahead?

    :donno:
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Cricket World Cup 2007 Postmortem and What's Ahead?

      Bohat zabardast postmartom hai masood bhai! Aik baat poochna chahti hoon kay agar aap ke khayal main inzi ko captain banana ghalat faisla tha to us waqt koun is qabil tha keh captain banaya jata?
      Mind Sciences

      Comment

      Working...
      X