Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

    Assalamo allaikum

    Cricket World Cup key shuru honey mein siraf 2 din rah gaey hain. Pehla match jaisa keh ham jantey hain keh West Indies aur Pakistan ka hai - Pehla match hi woh match hai jo is group ki leadership ka faisla karey ga keh pehley number per kaun si team aaey gi....

    Pakistan ki preparations hamesha ki tarah afra'tafri ka shikar rahi hain - Shoaib Akhtar aur Muhammad Asif ki adam mojoodgi bohat bada nuqsaan hai. Yun kah lijiye keh bowling ka heart khatam ho jata hai in dono key bghair... Ooper sey Abdul Razzaq bhi nahin!!!

    Ab sawaal yeh hai keh kya ham in teeno ka nuqsaan bardasht kar sakein gey? Well quite honestly - hamari bowling bohat sakht kamzor ho gaii hai aur pichhley kaii salon sey hamara attack hi hamari kamyabi ki elamat bana huwa hai - batting ka kya hai? Chaley to chaley na chaley to flop.....

    Chances are not looking good two days before the start!!
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

    Masood bhaeeee. meray khayal mai bowlers ki adam mojoodgeee itna farq nahee dalay geee. Rao Iftikhar aur Omer Gull,Muhammad sammi yeh 3 bowlers kisii b team k liyey masaayal khraa kar saktay hain. Aaaap ko yaaad ho ga k Bowling ki nisbaat Pakistan ki batting hamesha flop rhee hai. Agar Batting click kar gayee tou Inshallah achay result dey gain..
    Meray views tou yeh hai k Rao ko laazmii khalana chahiyey. B coz last time ICC Champions Trophy mai South Africa k khalaf uss nai zabardast bowling ki thii .. line and length was outstanding.
    Agr uss ko drop kar k Rana ko khalya jaye tou yeh bohat zyydatii hogiiii Rao k saaath b aur Pakistan k saaaath b....
    Hafeez,Malik aur Afridi k hotay huey.. Danish ki zaroorat nhee hai...
    Baqii Inzama log hum sub sey better soch k hii kuch decision karain gey.

    Comment


    • #3
      Re: World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

      main sifar one man show per belive ker raha hun Pak ko..
      Just Muhammad yousaf can turn the match in any hand.

      Comment


      • #4
        Re: World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

        deykhein kya hota hai

        or kuch pata nahi chalta hai wo akhiri sec. pey bhi shoib akhtar ko shamil ker saktey hein
        :D

        aur hamesha sey du'aon pey hai hamari cricket is baar bhi sahih :D
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

          Originally posted by Khalil View Post
          main sifar one man show per belive ker raha hun Pak ko..
          Just Muhammad yousaf can turn the match in any hand.
          :) o nahee jiiiiiiiii... Rana Naveed-ul-Hassan ki koi value nahee hai kia?:)

          Comment


          • #6
            Re: World Cup Cricket - Pakistan key Chances??

            afridi, imran nazir, aur mohd. hafeez pe kafi dependent ho gi pakistan ki team. Pakistan bowling mediocre si lag rahi he...wo strength nazar nahi aa rahi...anyways still the cricket kuch by chance game bhi he, aur upset ker sakti he...bangladesh se inspiration lein jinhon ne warm up match mein newzealand ki team ko pichaar diya :)
            :thmbup:

            Comment

            Working...
            X