Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Naumeedi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Naumeedi

    :rose
    written by aik-larki :rose
    Attached Files
    Last edited by .; 6 April 2006, 23:48.
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Naumeedi

    nice topidc

    hmmm:cc:
    Main her kisam ki deression , tension mein yehee kerty hoon k wazoo kiya Aur nafil perhay kuch... phir g bhar k Allah k saamnay ro lety hoon ...Aur dil k sukun aur etmenaan ki dher sari duaa kerty hoon ...to :alhamd: is sab k baad Allah k karam se dil dil ko sukun aa jata hai...
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Naumeedi

      ummid!!!! aur naumeedi....:na:

      hhhhhmmmmmmmmmmmmmmmm
      munna bhai MBBS ki laughter therapy........ ka Istemal....
      (jst kidding)
      sub se pehle tu Namaz hi ka sahara lete hain....
      aur bauaht saara rote hain jub roo lete hain tu aansoon ke saath saath humara depression bhi baih jata hai....
      phir soooooooo jaate hain aur jub uthte hain tu :alhamd: freshhhhhhhh rehte hain...



      Comment


      • #4
        Re: Naumeedi

        haan esa hota he kabhi kabhi life me.mere to apne sath esa hua:tauba fer mujhe kafi months tak medecins khani paren.lekin sath me sab family n ache friends ka sath ho to insan jaldi is se nikal bhi ata he.

        Comment


        • #5
          Re: Naumeedi

          ye jo kuch apne kahaa ye sab bilkuul thiik hai
          or inhi batoon ko dekh ker main ne ik thread start kiya tha...."kia kabhi apne aap se nafrat hoi"
          wo thread bhi inhi chand baaton per based tha
          or mere saath aksar ye sab hoota hai thatz y i always say k sensitive hoona bhi ik buhat barii kharaabi hai....insaan ko senseless hoona chahiye:lol is sense mai k koi ager SAHEE KAAM se rookey to uski baat ko 100% ignore karin

          Main aise halaat mai tawajju chahti hoon.....tawajju dhoondti bhi hoon unhi logoon se jin se mujhe mil paati hai....apne aap ko A to Z poora define + xplain kerti hon unkey saamney jin se main share ker paati hoon.......jinse main kuch nahi chuppana chahti
          phir unki encouragement......unki care hi thiik ker deti hai

          per main koshish kerti hon k apne ander jo problems hain day by day unhe door karoon + independent ho jaon is sense mai k mujhe thiik hooney k liye ALLAH ka sahara hi buhaat ho.....q k every1 is bussy in his life......kabhi koi time de pata hai kabhi nahi or jab nahi de paata to main mazeed distrub ho jaati hon sab kuch jaante hoe bhi...:)

          Comment


          • #6
            Re: Naumeedi

            Bohat achha sawal hai Komal :)

            Haan kaee baar aisa hota hai keh insaan khud ko andheron mein gira huwa mehsoos karta hai. Woh apney daein dekhey ya baein, ooper dekhey ya neechey, aagey dekhey ya peechey - charon janib andherey hi nazar aatey hain. Andhera depression ka baees banta hai. (aik fact hai keh Denmark mein bohat ziyada log depression ka shikar hotey hain, is liye keh yahan ka mausam aisa hai keh almost 7-8 maah andhera rehta hai aur jo summer key maheeney aatey hain wahan bhi badal chhaey rehtey hain).

            Andhera depression deta hai aur depression mein har woh baat nauk-e-sozan ki tarha mehsoos hoti hai jo dil ko achhi na lagey. Agar aisey mein aap key paas koi na ho (koi aziz, ko apna, koi pyara) to tanhaee zehar lagti hai aur dil buri tarha toot jata hai.

            Lekin andheron mein dekhney sey aik baat ki umeed hoti hai keh kisi waqt bhi roshni ki aik kiran nazar aaey gi - chahey madham hi kyun na ho. Yeh qudrat ka qanoon hai keh har andherey key baad sawera zaroor hota hai - yehi woh umeed hai keh andherey kitney hi kyun na barh jaein, sawera zaroor ho ga :insha:

            Meri apni zindagi mein bohat sey andherey guzrey hain aur is waqt merey paas umeed ki siraf aik kiran baaqi hai. Main is madham si kiran per khud ko bohat mazboot bana kar us ki janib barh raha hoon aur mujhey yaqin keh...

            jeet hamari ho gi
            haarein gey andhiyarey
            ik din poorey hon gey
            sarey khawab hamarey :)

            :insha: :insha: :insha:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Naumeedi

              Chota Mun aur Barii Baat....
              main siraf yeh kehna chahoon ga as Muslim..
              K her khushi ya ghum Khuda kee taraf sy huta hay to pher preshani kaisi...
              ..Bahz dafa insaan ko Os key kiy kee saza ya jaza milti hay.
              aur kai dafa jab osy saza milti hay to kehta hay k main ny to kuch kia hee nahi. lakin osy kia maloom k yeh os ka imtihan hay...os kee ebtila hay..

              Comment


              • #8
                Re: Naumeedi

                Originally posted by Masood


                jeet hamari ho gi

                haarein gey andhiyarey
                ik din poorey hon gey
                sarey khawab hamarey :)

                :insha: :insha: :insha:
                :insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha::insha: :insha: :insha:

                Comment

                Working...
                X