Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

double minded loog ....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • double minded loog ....

    Assalamalikum
    insaan ki zindagi main aksar aisay cheezian a jati hain kay usay fasila karnay main mushkil hoti hai kay yah kaam karoun ya woh karoun ?
    yaha jaoun ya vohan jaoun ?
    yeh cheez loun ya woh cheez loun ?
    waghera waghera .....
    agar donoo taraf ki cheezian achi lag rahi houn tab kia kia jaye ?:lol

    insaan aik fasila kesay kar sakta hai ???

    :)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: double minded loog ....

    mere sath to yeh akser hota hai :tauba

    mera kyahal hai insan ko yeh sochna chahiyeh ky achiz yaan kon sa kaam ous ke liyeh ous waqt buhut zarori hai aur kya ousey is se koi faida bhi hai yaan nahi ..... ager nahi to waqt barbad nahi kerna chahiyeh aur aisa kaam jis ki ous waqt zarorat mehsos na ho rahi ho magar yaqin ho ek mustaqbil mei yeh buhut mufeed sabit ho ga to ousey ker lena chahiye.
    Her baat aur kaam ka faisla apni zarorat kaam ki ehmiyat aur halat ki noiyat ke mutabiq kerna chahiyeh.

    sahi kaha main ne :cc:
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: double minded loog ....

      aanchal main samajhta hoon keh insaan ko apney life ko har waqt rewise kartey rehna chahiye aur haal aur mustaqbil ki fiker rakhni chahiye. Yeh elahdah baat hai keh jo planning ki jaey uskey mutabiq kam kam hi hota hai magar yeh qudrat key kaam hai. Apni planning key mutabiq apni tag-o-do karney key baad result Khaliq-e-Haqeeqi per chhorr dena chahiye. Magar apni janib sey koshish sachey dil sey karni chahiye.

      Duniya mein agar koi kaam mushkil hai to faisla karna hai. Faisla karney key liye shaoor ka hona zaroori hai, la'shaoori halaat mein jo faisley kiyey jaien woh paedaar nahin hotey. Halaat ka bohat daro maddar hota hai. Baaz oqat aisey halaat pedah ho jatey hain keh woh faisley jo aap aik muddat sey rok rahey hotey hain, woh karney parr jatey hain. Jab faisla kar liya, dil aur dimagh us per raazi hai to woh kar dena chahiye aur yeh nahin sochna chahiye key "log kya kahein ge". Main ney aik muddat tak apni zindagi is kashmakash mein guzari keh main aik aham faisla karoon ya samjhota karoon, bohat azziyat hoti hai, magar jab mera dil aur dimagh aik jaggah per jama ho gaey - main ney woh mushkil tareen faisla kiya (go keh merey paas koi aur alternative nahin raha us tha us).

      Tazabzab ka shikaar nahin hona chahiye -warna kamyabi nahin milti.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: double minded loog ....

        meray pas decision power hai.. yeh problem vo face karte hain jise decision power na ho...

        Comment


        • #5
          Re: double minded loog ....

          Originally posted by Sweet & Sour
          mere sath to yeh akser hota hai :tauba

          mera kyahal hai insan ko yeh sochna chahiyeh ky achiz yaan kon sa kaam ous ke liyeh ous waqt buhut zarori hai aur kya ousey is se koi faida bhi hai yaan nahi ..... ager nahi to waqt barbad nahi kerna chahiyeh aur aisa kaam jis ki ous waqt zarorat mehsos na ho rahi ho magar yaqin ho ek mustaqbil mei yeh buhut mufeed sabit ho ga to ousey ker lena chahiye.
          Her baat aur kaam ka faisla apni zarorat kaam ki ehmiyat aur halat ki noiyat ke mutabiq kerna chahiyeh.

          sahi kaha main ne :cc:
          hmmm saima siraf yehi nahin sochna chahiye keh "kya cheez yaan kon sa kaam us key liye us waqt bohat zaroori hai" - balkey apney faisley mein door andeshi ka bhi saboot dena chahiye keh is faisley key door'ras nitaeej kya baraamad hongey.... apney faislno mein unkey future impacts bhi sochney chahiye.... i think :blush:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: double minded loog ....

            depend kerta hay cheeze kia hay
            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

            Comment


            • #7
              Re: double minded loog ....

              sawal yeh hai na kay donoo hi cheezian achi lag rahi houn tan kis cheezz ko lia jaye ?

              agar aik cheez sahi aik ghalat hoo to zahir hai insaab sahi cheez ki taraf jaye ga ....

              islamic point of view say is maslay ka kia hal hai ?
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: double minded loog ....

                Originally posted by filbahere
                depend kerta hay cheeze kia hay
                koi bhi cheez, ya zindagi kay koi fasila , daily humaye kai fasilaye karnay partay hain baray bhi chotay bhi, aksar ham double minded hoo jatay hain kia cheez accept karey kis ko choor daian ....
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: double minded loog ....

                  Originally posted by neelum
                  meray pas decision power hai.. yeh problem vo face karte hain jise decision power na ho...
                  hmm yeh bhi sahi hai :thmbup:
                  lekan kabhi kabhi halata aisay bhi hoo jatay haian kay insaan ko samajh nahi ata kuch , woh koi decision power nahi lay sakta ....
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #10
                    Re: double minded loog ....

                    zaheen insaan wo hay jo halat dekh ker os jaisa ban jata hay....
                    jaisa dais hu waisa hee bais bana laina chayee..
                    lakin her koi nahi kersakta hay jis k pass apny faisly k power ho wohi ker sakta hay...

                    ANchal ny jo pocha hay yeh siraf lake of decision power hay

                    Comment


                    • #11
                      Re: double minded loog ....

                      me bhi koi fesla karne me bohat waqt leti hun is leay akser fesla karti hi nahi:khi: dimagh hil jata he me ka soch soch kar ke kia karun:tauba sab se mashwara karti hun fer bar bar sochti hun Allah se madad mangti hun or jo baat dil or dimagh ko zeada behter feel ho wohi karti hun.

                      Comment


                      • #12
                        Re: double minded loog ....

                        Walikum Assalam!

                        aisa shoping k waqt hota hai:lol
                        ye loon yaa wo?????:pagal:
                        per it depends k cheez kiya hai......waasey main is tarah ki situations main MOM se mashwara ker leeti hoon or dono k benefits n disadvantages dekh ker fasla ker leeti hoon
                        main to aise main MASHWARAA hi leti hoon or kuch nahi kerti!

                        Comment


                        • #13
                          Re: double minded loog ....

                          Originally posted by Me Here
                          MASHWARAA hi leti hoon or kuch nahi kerti!
                          acha kerti hain

                          Comment


                          • #14
                            Re: double minded loog ....

                            Originally posted by Khalil
                            acha kerti hain
                            Shukerya KHL Bhai!:salam:

                            Comment


                            • #15
                              Re: double minded loog ....

                              Originally posted by Me Here
                              Shukerya KHL Bhai!:salam:
                              :phool:

                              Comment

                              Working...
                              X