Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pakistani Education System.......?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Pakistani Education System.......?

    Originally posted by Me Here


    SO I M IN FAVOUR OF SEMESTER SYSTEM
    Jis main ap seekhte ho widout burden n headache

    Thx 4 ur precious rai bhai
    KHUSH RAHIYYE!:salam:
    yeh app kon sey semister system main per rahi ho
    lagta hay totally absolute system hay tum logon ka

    ab main batata hon semister system key nuksanat

    1. paper main class average per c+ dia jata hay
    nateeja hamesha adhi class below c+ hi rehti hay
    even 80 marks lay ker bi students fail hotey rahey haan

    2. teachers paper khud banatey haan. is waja sey wo students ko sikhaney ki jaga, jan churatey haan. annual system ki tarah wahan teachers ko naeen pata hota tha , to wo student ko samjaney ki pori koshsih kertay they

    3. teachers paper khud check kerta hay , nateeja ,favourrite students hi hamesha zeada number hasil kertay haan,
    means key zeada TC kernay waley . sifarshi , and larkian . keeon key males teachers ki hamesha nazray karam un per zeada hoti hay

    4. students ko itna kench ker perha jata hay and itna tough time dia jata hay
    key us key liya perhai ik azab hoti hay

    5. tumam class ki average c+ hoti hay , cpga ager B sey nechay ho to
    degree naeen milti , nateeja ik to her semester main 2 sey 3 students drop hotey haan. and degree key end per bi ik bari tadad degree naeen ker sakti

    so baad and ganda system
    yeh system sirf isi leya ijaad hoa tha, keeon key board system main itni sifarish naeen chal pati thee. so sifarshi logon ney apni ulaad ko upper laney key liya is system ki favour ki and barha charha ker pesh kia

    ab to kher pakistan ki her university main implemented hay .
    hmm log jo board main top kia kertay they , bachelars main and ab masters main , just b and B+ lay rahey haan , bachelars main 3.5 and masters main ab 3.16 , so saad for us.

    and board system main jo matric main 600 bi naee lay patey they ab wo sifarishi system yani semister system ki badolat direct 4.0 lay rahey hotey haan

    semister system ki ik our borai key ager ik bandey ko najaiz number barhaey jatey haan to kisi na kisi key jaiz number zaroor kam hotey haan
    due to class average
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment


    • #32
      Re: Pakistani Education System.......?

      semister system ka ik aur nuksan , jelousy , group study sey dori
      keeon ko her student ko pata hota hay key ager main ney dosray ko bata dia , tu us ney bi meray jitnay numbers lay lenay haan , nateeja average upper ho gi, and us key grade kam ho jaeen gay.
      so log ik dosray sey aksar jelous hi rehtay haan. and perhai main madad naeen kertay.
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment


      • #33
        Re: Pakistani Education System.......?

        aik aur nuksan , semister system main ghalti ki gunjaish nishta hoti hay
        yani ik bar mid ya final main app ghalti ker gay and class average sey nechay ho gaey to pir app key liya uttna , bohat muskil hota hay
        and
        papers without delay yani consective days main hotey haan and without choice. yeh bi ghalat cheeze hay
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment


        • #34
          Re: Pakistani Education System.......?

          :tauba

          Comment


          • #35
            Re: Pakistani Education System.......?

            :D per yeh ik karwa sach hay .
            semister system is the worst system and unfortunately , corrupted people nay is ko apney leya faida mand dehk ker pakistan main implement ker dia hay and bohat shor sharaba kia hay keh yeh very good system hay .

            lakin asal main yeh sirf corrupted logon ko faida pohancha raha hay
            board type system mohjay accha lagta tha, ager chay us ki bi apni boraian theen. un ko dor hona chayeh tha and us system ko improve hona chayeh tha
            yeh kia key us sey bi worst system lay ayeh

            term system is the best system, term system just like annual system lakin
            yahan duration semister ki tarah sirf 4 months hotey haan
            and papers sey pehlay 15 days ki chottian
            annual system ki kafi boraian , term system nay dor ki theen , lakin semister system ko la ker , satia nas ker dia hay logon ney

            kher jo bi hay kerna to hay na .
            :D
            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

            Comment


            • #36
              Re: Pakistani Education System.......?

              Originally posted by Aanchal
              tabdelioun ki to buhat zarorat hai or kafiiiii tabdeloun ki jo jo zehan main ai likhti jaoun gee :lpop:
              aik to hamaray han medium hi nahi fix kay urdu medium hona chaye ya english medium ? is taraha education 2 hisooun main bat gai hai ......

              nisaab kai saal poorana chalta rehta hai , lagta hai jo amma , abba parh chukaye hain bachay vohi cheez parh rehay hain :lol ...........waqat kay sath sath dhair sari tabdeloun ki zarorat hoti hai ...............................yeh sunnay main ti ata hai is baar flan flan class ka nisab change hoo raha hai .....lagta hai sirf book ka cover change kar daytay hain or kuch topic agay peachay kar daytay hain bakis ara vohi kuch hota hai :kr:
              kg .1,2,3 in bachoun kay course ki book utha kay deekhaye is age main in bachoun ko jin jin cheezoun ka ilm hona chaye , jo knowldeg is age main bachoun ko di janay chaye ....un books main yeh sab kuch hai ?????????

              computer bhi choti classes say hi seekhana chaye .....
              kuch achay private school bhi hain jahan parhai ka level acha hota hai , vohan ki fees hi itni hoti hai kay ghareeb waldeen to vohan soouch bhi nahi saktay parhai ka ......................achi parhai har jaga aam honi chaye ....pesay lay kay sirf aik tabqay tak mehdod nahi honi chaye ...

              Aanchal apne jo medium ki bat ki to medium keese ik hi hoo sakta hai??




              So wat can we do in this aspect?



              Yes computer seekhana chahiye AGREED

              Thx Aanchal 4 sharing ur RAI
              KHUSH RAHIYYE!:rose

              Medium k baarey main plz ager koi idea hai to xplain kijiye zaroor:)

              Comment


              • #37
                Re: Pakistani Education System.......?

                Originally posted by Aanchal
                mere friend kay exams qareeb aye kuch parha to tha nahi poora saal us nay :lol to woh dar rahi the pata nahi kesay paper aian gay kia kia hoo ga .....kesay karun gee main ...........us ki friend nay mashwara dia pechlay 5 saaloun kay exams kay paper loo or guess book lay loo BAS exams main unhi main say sawalat aian gay .....or aisa kar kay aksar students paas bhi hoo jatay hain :D: ......................

                books say zaida guess papers ki zaida ehmeyat hoti hai .................us main say chand sawal rutt loo ............kamyaabi yakeeni hai :kr: .....degree mill jaye gee.....ab agay aap ka muqadar zindagi main kahan kahan dhakkay khatay hoo :lol


                aap logoo nay yeh note kia hoo ga kay bahir kay mulkoun pay pak ki parhai ki itni value nahi hai .....aik job key leye 2 bandoun kay applay kia howa hoo aik nay pak say taleem hasil ki hoo or doosray nay UK.US say to ....job US,UK, waloun ko hi di jati hai .....................

                Ji guess papers waali bat thiik hai per that is not fair
                Me ko ye education system bilkul nahi pasand:(

                Comment


                • #38
                  Re: Pakistani Education System.......?

                  Originally posted by filbahere
                  yeh app kon sey semister system main per rahi ho
                  lagta hay totally absolute system hay tum logon ka

                  ab main batata hon semister system key nuksanat

                  1. paper main class average per c+ dia jata hay
                  nateeja hamesha adhi class below c+ hi rehti hay
                  even 80 marks lay ker bi students fail hotey rahey haan

                  2. teachers paper khud banatey haan. is waja sey wo students ko sikhaney ki jaga, jan churatey haan. annual system ki tarah wahan teachers ko naeen pata hota tha , to wo student ko samjaney ki pori koshsih kertay they

                  3. teachers paper khud check kerta hay , nateeja ,favourrite students hi hamesha zeada number hasil kertay haan,
                  means key zeada TC kernay waley . sifarshi , and larkian . keeon key males teachers ki hamesha nazray karam un per zeada hoti hay

                  4. students ko itna kench ker perha jata hay and itna tough time dia jata hay
                  key us key liya perhai ik azab hoti hay

                  5. tumam class ki average c+ hoti hay , cpga ager B sey nechay ho to
                  degree naeen milti , nateeja ik to her semester main 2 sey 3 students drop hotey haan. and degree key end per bi ik bari tadad degree naeen ker sakti

                  so baad and ganda system
                  yeh system sirf isi leya ijaad hoa tha, keeon key board system main itni sifarish naeen chal pati thee. so sifarshi logon ney apni ulaad ko upper laney key liya is system ki favour ki and barha charha ker pesh kia

                  ab to kher pakistan ki her university main implemented hay .
                  hmm log jo board main top kia kertay they , bachelars main and ab masters main , just b and B+ lay rahey haan , bachelars main 3.5 and masters main ab 3.16 , so saad for us.

                  and board system main jo matric main 600 bi naee lay patey they ab wo sifarishi system yani semister system ki badolat direct 4.0 lay rahey hotey haan

                  semister system ki ik our borai key ager ik bandey ko najaiz number barhaey jatey haan to kisi na kisi key jaiz number zaroor kam hotey haan
                  due to class average



                  • main bataati hon grading apko

                  A = 80% n above
                  B+ = 75-79.9%
                  B = 70-74.9%
                  C+ = 65-69.9%
                  C = 60-64.9%
                  D+ = 55-59.9%
                  D = 50-54.9%
                  perfect n imperfect ki bajai term use ki gai
                  imports-xports
                  n xports-imports



                  • I agree wid this but it also depends upon teachers:blush:
                  Cgpa waqai decrease hoota hai teezi se ik hi subject ki waja se I agree:pagal:

                  Ap abhi tak masters hi ker rahey hain???
                  Apne to M.Phill nahi start kerna tha November 2005 main???:cc:


                  Board system k ziada drawbacks main:fuming:
                  Mere system ko koi buura mat kahey :lpop:

                  Comment


                  • #39
                    Re: Pakistani Education System.......?

                    Originally posted by Me Here
                    Aanchal apne jo medium ki bat ki to medium keese ik hi hoo sakta hai??
                    Urdu hamari national language hai so hum usko to ignore nahi ker saktey per English her jaga per use hooti hai



                    So wat can we do in this aspect?



                    Yes computer seekhana chahiye AGREED

                    Thx Aanchal 4 sharing ur RAI
                    KHUSH RAHIYYE!:rose

                    Medium k baarey main plz ager koi idea hai to xplain kijiye zaroor:)
                    dar'asl jab aadhay bach'chay urdu medium say parhaiN aur aadhay english to woh khichri si ban jati hai :khi:, urdu medium english medium walay kayleay baykar hai aur english medium urdu medium walay kayleay.. , urdu agar qomi zuban hai to urdu medium hona chaheay aur english subject kay toor par parhana chaheay, aur agar poray mulk main english medium ho to bachoon ko urdu bilkul nahee parhani chaheay takay koi urdu ka baira gharq na karsakay .... :lol
                    That's Enough...!!

                    Comment


                    • #40
                      Re: Pakistani Education System.......?

                      Originally posted by filbahere
                      semister system ka ik aur nuksan , jelousy , group study sey dori
                      keeon ko her student ko pata hota hay key ager main ney dosray ko bata dia , tu us ney bi meray jitnay numbers lay lenay haan , nateeja average upper ho gi, and us key grade kam ho jaeen gay.
                      so log ik dosray sey aksar jelous hi rehtay haan. and perhai main madad naeen kertay.

                      jelousy???
                      hum to group studies hi kerte hain per ye alagg bat hai k group studies main hum baatin ziada kerte hain
                      per hum hamesha ik doosre ki help kerte hain fone per bhi aksar hum ik doosrey ko cheezin samjhaate hain or ager uni se chutta maarna ho to ye bhi kehte hain k meri assignment ker k submit kerwa doo

                      Comment


                      • #41
                        Re: Pakistani Education System.......?

                        Originally posted by filbahere
                        aik aur nuksan , semister system main ghalti ki gunjaish nishta hoti hay
                        yani ik bar mid ya final main app ghalti ker gay and class average sey nechay ho gaey to pir app key liya uttna , bohat muskil hota hay
                        and
                        papers without delay yani consective days main hotey haan and without choice. yeh bi ghalat cheeze hay
                        no hum to departement k peeche perr perr k date sheet acchi banwaatey hain :lpop: or ye class per4mance to waqai count kerti hai per ap roz para karin na:khi:

                        Comment


                        • #42
                          Re: Pakistani Education System.......?

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                          dar'asl jab aadhay bach'chay urdu medium say parhaiN aur aadhay english to woh khichri si ban jati hai :khi:, urdu medium english medium walay kayleay baykar hai aur english medium urdu medium walay kayleay.. , urdu agar qomi zuban hai to urdu medium hona chaheay aur english subject kay toor par parhana chaheay, aur agar poray mulk main english medium ho to bachoon ko urdu bilkul nahee parhani chaheay takay koi urdu ka baira gharq na karsakay .... :lol

                          accha to ye urdu medium n english medium schools ki baat ker rahi thiin:pagal: ok to mera khiyaal hai k english medium thiik hoote hain q k maths ko ap english mai keese per sakte hain???
                          + saari dunya english ko hi follow kerti hai n colleges mai ja ker english mai hi sab perhna hai to buhat behter hai k sab schools bhi eng medium hoon taakey urdu medium waley bacche uncom4table feel nahi karin college level per

                          per english ki wajaa se urdu ko ignore nahi kerna chahiye

                          Comment


                          • #43
                            Re: Pakistani Education System.......?

                            Hum kya jawab dein Me Here.....:cc:
                            I don't know anything about your (pakistani) education system....:donno:

                            Comment


                            • #44
                              Re: Pakistani Education System.......?

                              Originally posted by ummid
                              Hum kya jawab dein Me Here.....:cc:
                              I don't know anything about your (pakistani) education system....:donno:
                              aap apnay mulk ka bata daian :eye:
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #45
                                Re: Pakistani Education System.......?

                                Originally posted by Me Here
                                accha to ye urdu medium n english medium schools ki baat ker rahi thiin:pagal: ok to mera khiyaal hai k english medium thiik hoote hain q k maths ko ap english mai keese per sakte hain???
                                + saari dunya english ko hi follow kerti hai n colleges mai ja ker english mai hi sab perhna hai to buhat behter hai k sab schools bhi eng medium hoon taakey urdu medium waley bacche uncom4table feel nahi karin college level per

                                per english ki wajaa se urdu ko ignore nahi kerna chahiye
                                koon sa medium hona chaye is maslaye ko to pak kay wazeer-e-taleem bhi nahi samajh sakye abhi tak :D :lol
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X