Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Watan parasti ya.....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Watan parasti ya.....?

    Assalamalikum

    aaj aik topic lai hooo jo watan parasti kay baray main hai....watan say muhabbat har aik ko hoti hai...bachay, jawan, burhaay sab ko........kuch logoo ko muhabbat is taraha ki hoti hai kay woh koi bhi ghalat baat watan kay baray main sun hi nahi saktay ....woh galat cheez agar mojood bhi ho us main lekan pher bhi woh in ko mantay nahi hai....
    watan kay baray main koi joke hoo , koi cartoon hoo (jo aaj kal deekh rehay houn gay politics pay bhi or wesay hi mulki surat-e-hal pay banaye jatay hain ....un main haqeqat bhi hoti hai .....lekan kuch loog is ka bora mana jatay hain kay yeh waqan kay kheelaf sazish hai :D:
    is cheez ko aap kis nazar say deekhtay hain ? aap kay khayal main kia yeh sahi hai ??? haqeqaat ko nazadarandaaz kar dia jaye sirf is leye kay humaye muhabat hai ?:)
    Last edited by .; 26 March 2006, 10:01.
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Watan parasti ya.....?

    Anchal again thx 4 sharing a nicoo topic wid us!!!!

    Ager weakness khud k ander ho to hum usko door kerne ki koshish kerte hain na k usko daba ker ignore kerte hain isee tarah watan ki mohabbat mai watan k weak points ko ignore nahi kerna chahiye balkey unko note ker k unhe thiik kerna chahiye

    KHUSH RAHIYYE!:rose

    Comment

    • #3
      Re: Watan parasti ya.....?

      Originally posted by Aanchal

      apney mulk key khilaf ager cartoon dehk ker kisi ko bora naeen lagta to wo
      yaad rakhey key wo bi unhi logon main shamil hay
      jinhoon ney kaha tha

      key akhbarat main Hazoor PBUH ka nawzbillah cartoon laga , azadey rahey haan

      her cheeze ki koi limit hoti hay
      apney mulk ki boraian kerni chayeh, lakin is andaz main key log , us ko dor kernay ki sochain
      lakin cartoon bana ker mazak urrana and kehna key yeh azadey awaz hay
      to yeh ghalat hay

      wasey mujeh andaza hay key app ney kis forum per and kis thread ka ishara dia hay , keeon key wahan meri and so called zaalim key darmian isi per baat ho rahi thee
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment

      • #4

        Sab sey pehli baat to yeh hai Aanchal Pakistan aik Islami Jamhoori Mulk hai. Hamari buniyad Islam key asoolon per rakhi gaee thi. Aur watanprasti ki Islam hi mein koi hasiyat nahin hai! Islami nuqtah-e-nazar sey dekha jaey to sab sey pehley Mazhab aata hai aur mazhab ko hadon mein qaid nahin kiya jaa sakta! Mazhab key baad khiton mein banta geya hai - lekin is mein watan ki koi bandish nahin ki gaee - to watan-prasti kahan sey aa gaee???

        Lekin yeh bhi aik haqeeqat hai keh aaj kal ki duniya ko Poilitically baant diya geya hai. Is political partition ney watanprasti ko janam diya. Aur logon key dil-o-dimagh mein watan ko mazhab per tarjeeh dila di gaee - jo keh sara sar ghalat hai.

        Main zaati tor per is baat key haq mein hoon keh insan ko is qadar intihaa pasand nahin hona chahiye key tanqeed ya tareef na sun sakein. Agar burai hai to ussey zahir hona chahiye takeh uska sad-e-baab ho. Zaroori nahin keh us buraee ko phir sarey muashrey mein dikhaa diya jaey - agar is key zahir karney sey mazeed buaree phailney ka andesha ho. Is surat mein phir us department ki zimmedari banti hai us buraee ko identify kiya jaey aur ussey door kiya jaey.

        Jahan tak cartoons ka ta'aluq hai jo DK ki akhbarat sey doosrey mumalik ki akhbarat mein phailey hain to yeh aik bilkul elahdah behas hai. Is ka watanprasti sey koi ta'aluq nahin banta.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Watan parasti ya.....?

          Originally posted by Masood

          actually watan parasti ka word hi ghalat hay
          yeh word hi is leya banaya gia key muslims specially pakistanion key dillon sey watan ki mohabat ko dor kia jaeey
          and pir sey motahida india ko dobara dehka jaeey.

          Pakistanion main inshallah is tarah ki batoon sey phoot naeen dali ja sakey gi
          and india ka yeh khab kabi pora naeen ho ga key wo pakistanion key dilon sey pakistan ki mohabat kahtam ker kay yahan per Qabza ker lain

          ok
          take care
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment

          • #6
            Re: Watan parasti ya.....?

            Originally posted by filbahere

            Filbahere mujhey is baat ki itni fiker nahin keh kaun ya koi muthida hindostan ka khawab dekh raha hai. Mujhey fiker hai to is baat ki hamein MUTHIDAH UMMAT-E-MUSLIMAH ka khawab dekhna chahiye jahan:

            aik hon muslim haram ki paasbani key liye
            neel key sahil sey le ker tabakhak-e-kaashghar

            poora ho sakey. Is mein agar Pakistan jata hai to jaey, Saudi Arab jata hai to jaey, Iran khatam hota hai to ho jaey, Iraq ka nishan mit'ta hai mit jaey, Misr khatam hota hai ho jaey - SIRAF AUR SIRAF ISLAM zindah rahey. Is ko main manta hoon. Main na Pakistaniyat ko manta hoon na arab ko na ajam ko. Siraf aur siraf ISLAM.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7

              jab yeh tumam mulk khatam ho jaeen gay to islam ka nam lenay wala bi koi naeen ho ga

              islam ney bi her ilaqey ka governer bana tha , yeh naeen kia tha key sarey sirf o sirf tumam peslay madena sey leaan , her ilaqey ka apna apna governer banaya tha.

              baki app ki apni soch hay , what can i say
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment

              • #8

                Nahin bhai aap meri baat nahin samjhey.

                Sab sey pehley Ummat-e-Muslimah ko aik honey zaroorat hai. Aik sey murad yeh nahin keh apney elaqon ka nishaan mita dein, balkey aik honey sey murad yeh hai keh AIK KHILAFAT ho aur har elaqey ka aik governor ho jaisey aap ney kaha. aaj kal jo ho raha hai keh agar aik muslim mulk kuchh karta hai to doosra uskey khilaf kar raha hota hai - yeh itihaad nahin na hi islam hai. Sab sey pehley is itihad ki zaroorat hai aur jo mumalik hamari grift mein hain, unka na siraf dafaa karna hai balkey Allah ki zameen per Allah ka hukm qayim karney key liye mazeed jehad karna hai. Issey main manta hoon.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9

                  yeh app ney meray moon ki baat cheen li
                  jabb tak hmm khalifa naeen banatey hmm log as a muslim taraki naeen kareen gay .
                  jis tarah bagair teacher key class naeen per sakti
                  is tarah key bagair khaleefa key muslim taraqi naeen ker saktey

                  app dehk lakin jab tak muslim sey pass khaleefa tha , chayeh sirf name ka hi
                  muslims per itnay borey halat naeen thay , lakin un key khatam hotey hi
                  sub kuch fana ho gia. ab jo halat muslims key sath ho rahey haan wo
                  pechly 13 so sal main neen ho . itni zilat

                  wasey app ki itla key liya bata doon , Pakistan sameet degar tumam muslim countries main ik jamat kam ker rahi hay . jo khalafat moment chali hoi hay
                  and inshallah app dehkain gay key jald hi khaleefa ka ilan ho ga. bus dua kareen key is pehlay , is tanzeem ko hi na khatam ker dia jaeey.
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment

                  • #10

                    Bohat achhi baat hai keh koi tanzeem kaam kar rahi hai. Aur har muslim ko sachey dil sey inka saath dena chahiye. Lekin yahan per chand sawaal merey zehan mein janam letey hain:

                    Jab Khilafat key 30 saal muqaddar ho chukey they to phir ham kaisey khilafat qayim kar saktey hain???

                    chalein mana keh khilafat qayim ki jaa sakti hai. Is per bhi yeh sawal uthta hai keh:

                    Khilafat key pehley 30 saal mukamil ho janey key baad jab khilafat tooti to Islam 2 hisson mein bat geya, suni aur shiia. Ab ham apni is khilafat mein in dono firqon kai kaisey muthidah kar saktey hain? woh kaam jo badey badey namwar ulmaa nahin kar sakey. Yeh kaisey mumkin ho ga???? Agar ibtidaee salon mein issey khatam kiya jata to ho sakta tha magar ab 1400 saal guzr janey key baad yeh aik tanawar drakht ban chuka hai.

                    Khilafat kaisey aur kyunker bahaal ki jaa sakti hai????
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: Watan parasti ya.....?

                      Originally posted by Jhumroo
                      vatan parastii kaa islaam meN koii javaaz nahiiN...islaam ke naam par Pakistan to banaa magar afsos k aaj vahaN sab kuchh hai magar islam nama kii koii shai nahiiN...bas islam ab zaatiiyaat tak hii maHdood rah gayaa hai [saheeH ma'noN meN] maiN to yeh samajhtaa huN k Pakistan hii kia dunyaa kaa koii mulk islaam ke laaiq nahiiN kiuNk usse baRaa be-waqoof kaun hogaa jo islam aur islamii tarz-e-Hukoomat kii baat kare aur saath saath chorii bhi kare...is taraH to chande ma'doode ke 'ilaava sabhii ke haath kaTe nazar aayeNge...goyaa saarii qaum hii DunDi [baGhair haathoN ke]

                      sab se pahle to ham apne aap ko badleN...deen e islaam par kulliyah taur par chaneN phir islaamii Hukoomat kii baat kareN aur tab tak vataniyat ya ilaaqiyat ya zaatiyat ko le kar laRne se parhez kareN...Allah hameN taufeeq 'ataa farmaaye...ameen
                      Jis tarha Islam duniya mein sab sey ziyada "mis-understood" mazhab raha hai usi tarha Pakistan bhi mufaad'praston key hathon misused hot raha hai. Islam ki tarha Pakistan ki buniyad ka tasawwar bhi seedha seedha aur saaf saaf tha - magar ibtidaa hi sey aik zameerfaroshon key hathon mein chala geya jinhon ney issey bohat buri tarha loota hai. Warna Pakistan jannat ka aik namoona ban sakta tha.

                      Very much agree aur main ney bhi hamesha yehi likha hai keh hamein sab sey pehley apney aap ko badalney ki zaroorat hai jo keh sab sey bada aur mushkil kaam hai. Ehtesab ki batein hoti hain, sab sey pehley apney aap ka ehtesab karna hoga phir kahin jaa ker hamein hamari manzil miley gi.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Watan parasti ya.....?

                        Originally posted by filbahere
                        wasey mujeh andaza hay key app ney kis forum per and kis thread ka ishara dia hay , keeon key wahan meri and so called zaalim key darmian isi per baat ho rahi thee
                        ji nahi aap ka andaza ghalat hai ....humaye kisi doosray section main jhanknay ki zarorat nahi hai politics or mulki halat pay cartoon yaha bhi post hotay rehtay hain aik do members nay kaha tha kay aisa nahi hona chaye or kuch jokes bhi bhi itraaz tha kuch ka khayal hai kay yeh mulk kay kheelaf sazish hai ...inhi topics pay main nay yeh thread shuru kia hai ..
                        Last edited by .; 26 March 2006, 23:11.
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: Watan parasti ya.....?

                          Originally posted by Me Here
                          Anchal again thx 4 sharing a nicoo topic wid us!!!!

                          Ager weakness khud k ander ho to hum usko door kerne ki koshish kerte hain na k usko daba ker ignore kerte hain isee tarah watan ki mohabbat mai watan k weak points ko ignore nahi kerna chahiye balkey unko note ker k unhe thiik kerna chahiye

                          KHUSH RAHIYYE!:rose
                          :thmbup: :phool:
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • #14
                            Re: Watan parasti ya.....?

                            Originally posted by filbahere
                            apney mulk key khilaf ager cartoon dehk ker kisi ko bora naeen lagta to wo
                            yaad rakhey key wo bi unhi logon main shamil hay
                            jinhoon ney kaha tha

                            key akhbarat main Hazoor PBUH ka nawzbillah cartoon laga , azadey rahey haan

                            her cheeze ki koi limit hoti hay
                            apney mulk ki boraian kerni chayeh, lakin is andaz main key log , us ko dor kernay ki sochain
                            lakin cartoon bana ker mazak urrana and kehna key yeh azadey awaz hay
                            to yeh ghalat hay
                            wesay to masood aap ki is baat ka acha jawab day chukaye hain....main bhi chand batain kehna chaoun gee kay jokes main ya cartoon main jo baat batai jati hai kia woh ghalat hoti hai ? agar woh cheezian mulk main nahi hoo rahi tab ham yeh keh saktay hain yeh ghalat kia ja raha hai ......
                            har koi apnay andaaz say apni baat dosroun tak pounchta hai ...aik writer apnay andaaz main , aik shayar apni shairi kay zarye, aik muswair tasaweer kay zarye....pegham to aik hi hota hai mulk main honay wali buraoun say logoo ko bakhabar karna.....
                            yeh pakistan ki boorai nahi hai balkay pak main moujood borriaoun ki boori ki jati hai usay logoo kay samnay laya jata hai .......
                            jab kisi cheez ko ghalat maanain gay hi nahi to usay theek kesay karain gay ?

                            or jo Hazoor(SAW) kay cartoon wali baat ki hai woh aik alag cheez hai ..woh yahodeoun ki sazish hai , Hazoor(SAW) ki zaat aisi nahi hai jis taraha unhoun nay bataya hai .....
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #15
                              Re: Watan parasti ya.....?

                              Originally posted by Aanchal
                              wesay to masood aap ki is baat ka acha jawab day chukaye hain....main bhi chand batain kehna chaoun gee kay jokes main ya cartoon main jo baat batai jati hai kia woh ghalat hoti hai ? agar woh cheezian mulk main nahi hoo rahi tab ham yeh keh saktay hain yeh ghalat kia ja raha hai ......
                              har koi apnay andaaz say apni baat dosroun tak pounchta hai ...aik writer apnay andaaz main , aik shayar apni shairi kay zarye, aik muswair tasaweer kay zarye....pegham to aik hi hota hai mulk main honay wali buraoun say logoo ko bakhabar karna.....
                              yeh pakistan ki boorai nahi hai balkay pak main moujood borriaoun ki boori ki jati hai usay logoo kay samnay laya jata hai .......
                              jab kisi cheez ko ghalat maanain gay hi nahi to usay theek kesay karain gay ?

                              or jo Hazoor(SAW) kay cartoon wali baat ki hai woh aik alag cheez hai ..woh yahodeoun ki sazish hai , Hazoor(SAW) ki zaat aisi nahi hai jis taraha unhoun nay bataya hai .....
                              bakhabar kerna aur bat hoti hay , mazak urana aur baat hoti hay

                              jee app ki marzi hay , ab koi apney andazey sey Hazoor PBUH ka cartoon baney to pir app ko keeon bora lagta hay , wo bi apney andaz sey khabardar ker raha hota hay , keeon bora lagta hay app ko

                              2 moktalif rayeh yani doghli rayeh app log keeon raktay haan .

                              baat sirf itni hay key mazak urrnay ki ijazat naeen honi chayeh

                              Working...