Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Plzzz is SawaL ka JawaB den????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Plzzz is SawaL ka JawaB den????

    Attached Files

  • #2
    Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

    kal news main yeh khabar suni the .....
    us main shayad yeh tha saza panay kay bad usnay islam mazhab choor kar esayat mazhab qabool kar lia..................
    detail nahi pata kia mamla tha....

    is ki bhi humaye ilm nahi hai kay jo islam choor day us ki kia saza honi chaye .....
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #3
      Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

      Originally posted by Jhumroo
      YES...murtid hone kii sazaa islaam meN sazaa-e-maut hai.

      baat yuN hai k...Huzoor [s.a.w.s.] le zamaane meN yahoodii yeh Harkat kiyaa karte the k unke wise log ek scheeme ke taHet islaam qubool karte aur chand roz ke ba'd islaam ko tark kar dete yeh kah kar k ham is qaum ke saaHib e fahm o zakaa Hazraat haiN...ham ne islaam qubool kar ke dekhaa...ma'az Allah koii Khaas baat nahiiN islaam meN...nihaayat hii fuzool mazhab hai...isii liye ham islaam ko tark karte haiN...iskaa nateeja yeh hotaa thaa k dusre yahoodi islam nahiiN laate the k han waqa'ii zaroor koi kami hai islam emN jabhi to yeh saaHibaan islaam qubool karne ke ba'd palaT aaye.

      is baat kii rok thaam ke liye Allah na aur Huzoor [s.a.w.s.] ne murtid kii sazaa maut Thehraaii... uske ba'd se kopi jhootaa kazzab yahoodii phir islaam is niyat se nahiiN qubool kiyaa.

      yeh islami muttafiqa qanoon hai k murtid kii sazaa maut hai. isii liye islam soch samajh kar qubool karnaa chaahiye. islam meN koii zabardastii to nahiiN...jab qubool karo dil se karo...khel na khelo.

      wallaho 'aalam bissawaab.

      AGREED!!!:thmbup: .......per ager ap HADITH ka hawala bhi de dain to hum sab ko ye bat mazeed clear ho jai gi

      Comment

      • #4
        Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

        Chand roz pehley main PrimeTV per Dr. Israr Ahmed ka programme dekh raha tha. Us mein aik jaggah per farmatey hain keh Islam ko chhorr kar janey waley ki saza maut hai. Yeh saza us waqt lazam ho jati hai agar iskey peechhey islam ko nuqsan deney/pohanchaney ka andeshha ho.

        So Afghan jargey ney jo saza tajveez ki hai, drust hai.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

          Assalam-u-Alikum to all viewrs,

          Well, in my prediction this Mr. A.Rehman had done such badluck for him-self and ALLAH subhan wa tALLAH* is the one who is the one~ will be teaching him lesson of what he had-has done.

          may ALLAH ji* gives his strenght to keep up in Islam as being a good muslim and may he takes us in his own secure *amen*

          ALLAHAFIZ*
          ~Princess Jazmin~

          Comment

          • #6
            Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

            aap sab ke reply ka shukria:)
            is link se mujhe tafsili jawab mil gya he
            http://63.175.194.25/index.php?ln=ur...QR=20327&dgn=3

            Comment

            • #7
              Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

              kal TV pay aik Mulana ka kheetab suna us main isi topic pay unhoun nay farmaya kay islam qabool kar kay pher isay choor kar doosa mazhab ekhteyaar karnay walye ki saza mout hoti hai .....

              lekan is say pehlay usay 3 din ki muhlat di jati hai kay woh tauba kar kay pher islam qabool kar lay ....agar in 3 dinoo main islam qabool kar lia to usay choor dia jaye ga ...

              agar in in 3 dinoun main bhi us nay islam qabool nahi kia to pher us ki saza mout barqarar reakhi jaye gee ....

              or agar koi aurat aisa karey or 3 din kay bad bhi islam qabool na karey to usay saza-e-mout to nahi di ja sakti usay qaida main reakha jata hai :rose
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8
                Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                Originally posted by shy
                aap kay sawal ka aap ko tasl'li baksh jawab mil chuka hai, maiN is say miltay jultay sawal pochnay ki ijazat chahta hoon, jab islam aik murtid ko qatal karnay ka hukum dayta hai, to yeh yaqinan os mulk ki Hukumat ka kaam hai ka is tqazay ko pora karay, laikin awam ka kia farz hai...? kia aisay shaks say baat cheet karni chaheay?? kia aisay shaks say kisi bhi tareeqay say hamdardi rakhni chaheay?? aur agar koi os shaks ko sakhat alfaz main tambeeh karay ya kisi baat say mana karay to kia os shaks say izhar-e-hamdardi ya dosray alfaz main izhar-e-yakjehti karni chaheay?? aur sab say aihem baat yeh kay agar yeh maloom ho keh woh aihmaq sudhar nahee sakta aur kisi bhi dalil kay jawab main apni dalil paish karkay munafrat paida karnay ki koshish karay to kia aisay shaks ko "samjhana" "jaiz" hai...??
                That's Enough...!!

                Comment

                • #9
                  Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ

                  pata nahee ... :D
                  That's Enough...!!

                  Comment

                  • #10
                    Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                    , kahaan gaiy saray, kia mera sawal itna mushkil hai, ya jawab daynay ko dil nahee chah rhaa kisi kaa..:fuming:
                    That's Enough...!!

                    Comment

                    • #11
                      Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                      Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                      , kahaan gaiy saray, kia mera sawal itna mushkil hai, ya jawab daynay ko dil nahee chah rhaa kisi kaa..:fuming:
                      baat to karni chaye us say , baat kar kay hi usay samjhya ja sakta hai na :mm:
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                        Originally posted by Aanchal
                        baat to karni chaye us say , baat kar kay hi usay samjhya ja sakta hai na :mm:
                        :tauba
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #13
                          Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #14
                            Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                            jazak ALLAH aabi buht hee khobsurati sy dalail paish kiy hain..

                            Comment

                            • #15
                              Re: Plzzz is SawaL ka JawaB den????

                              Originally posted by aabi2cool

                              bohat shukria itne tafsili jawab ka or wakai mujh se soorat ka nam likhne me ghalti hui jis ke leay mazrat chahti hun:blush:

                              Comment

                              Working...
                              X