Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hamara Moashraa

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hamara Moashraa

    Dost!

    Yeh aik neya silsila hai, jis mein main aap sey sey iltimaas karta hoon keh hamarey moashrey sey related har woh baat jo aap ney dekhi, parhi, suni hai ussey qalamband kijiye. Aaiye ham apney logon ko khabardaar karein keh moashrey mein kya kuchh ho raha hai aur unhein moashrey ki achhaiyon par naveed dein...
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Hamara Moashraa

    AOA,


    Bohat khoob aap nain biyaan kia hai aap ki tahrrer ka andaaz daikh kar mahsoos hota hai hazrat aap k sochne ka andaaz jizoon ko daikhne ka andaaz mokhatli hai jo k kisi b parrne wale ko bahta hai aap ka bohat shukria.

    Sohail Abbasi.
    Apna haq ada karo.

    Comment


    • #3
      Re: Hamara Moashraa

      Originally posted by khan
      AOA,


      Bohat khoob aap nain biyaan kia hai aap ki tahrrer ka andaaz daikh kar mahsoos hota hai hazrat aap k sochne ka andaaz jizoon ko daikhne ka andaaz mokhatli hai jo k kisi b parrne wale ko bahta hai aap ka bohat shukria.

      Sohail Abbasi.

      Sohail Abbasi sahib aap ki hosla afzaee ka bohat shukriyah. Meri yehi koshish hai keh ham apney moashrey mein mojood buraiyon ko be-naqaab karein, kyunkeh agar ham in buraiyon ko be-naqaab nahin karein ge to masoom log is andherey mein bhataktey rahein ge. Yaad rakhein burai koi buraee maan kar uska benaqaab na karien, uska sadd-e-baad na karein - magar zaroorat is baat ki hai keh pehley apney ander woh himmat peda ki jaey jo sach bolney aur ussey suneney key liye zaroori hai. Diyey sey diya jalta hai. Ham agar aaj aik do hain to kal ko ziyada ho jaein ge, magar himmat-e-mardaan maddad-e-khuda! :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Hamara Moashraa

        nice article masood bahi

        Comment


        • #5
          Re: Hamara Moashraa

          tu janab akhir aap ne Qlam band ker hi liya is topic ko.....jahan tak merey nuqta e nazar ki baat hai tu is silsile mein ,mein ye hi kahoon gi keh media aur net ne asaniya paida ker di hain un logon ke liye jo muashre ka nasoor hain werna burayya tu phehle hi se maujood thinkehte hain na keh shaker khore ko shaker mil hi jati hai logon ne apne manfi Azaem ke liye ye tamam chesen etemal kin aur badnam howa TV net aur rasail waghera....

          lakin aik baat hai keh jis se mera zehen ulajh ker reh jata hai keh kehne ko tu hum muasharti burayyon per awaz utha rahe hain Tv mein un burayyon ki taraf tawajjo dilae ja rahi hai keh jin per khol ker behes kerne se mujhey meri fitri jhijhak rokti hai mager ye bhi tu dekhna chahiyye keh bahut se logon ko nae nae tareqe aur zarae bhi tu media ke zarye muhayya ho rahe hain (mera ishara un baton ki taraf hai jo behrah rawi ke daere mein aati hain)

          Comment


          • #6
            Re: Hamara Moashraa

            Originally posted by Ambreen
            logon ne apne manfi Azaem ke liye ye tamam chesen etemal kin aur badnam howa TV net aur rasail waghera....
            Baja farmaya aap ney Ambreen keh fael-e-bad insaan khud karta hai aur jinkey azaeem hi burey hon woh to har baat ko ghalat tareeqey sey istimaal karein ge. Warna main ney zaati tor par aaj tak nahin kaha aur na samjha hai keh koi media bura hai. Agar koi cheez buri hai to uska istimaal bura hai aur istimaal kis key haath mein hai? Hamarey apney haath mein. Ab agar aab-e-hayat ko dharra dharr pi lein ge to woh bhi maut ka sbab ban jata hai. Magar iskey bar-aks aap key sawal key doosrey rukh ki reply dekehin ===>

            Originally posted by Ambreen
            nae nae tareqe aur zarae bhi tu media ke zarye muhayya ho rahe hain
            ab yahan tasweer ka rukh ulta hota hai. Ab media khud aik buraee ko janam dey raha hai to bura nahin ho ga? Merey nazdeek yahan par bhi qasoor insaan ka hi hai. Duniya mein sab sey ziyada pur-kashish baat buraee ki hoti hai. Buri baat ko ziyada tajasus sey dekha aur suna jata hai, baqaida waqt nikaal kar. Aisa hai to media aur khasoosan TV to isi baat par qaeem rah sakta hai keh jitney ziyada dekhney aur suneney waley hon ge. Ab in medium peh agar koi achaee ki baat btaa di jati hai to is liye keh "bharram" rah jaey, warna jo kuchh aaj kal tv par aa raha hai woh to na dekhney key qabil hota jaa raha hai.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Hamara Moashraa

              assalam-o-alikum masood bhai!

              buhat accha likha apne
              ager dekha jai to hamara muashra buhat hi ajeeb & khatarnak side per ja raha hai:eek:
              jahan se wapsi mushkil hai but na mumkin nahin
              ALLAH TALLA hum per apna KARAM kare AMEEN!:)

              Comment


              • #8
                Re: Hamara Moashraa

                ji sahi kaha aap ne keh logon ke eterazat se bachne ke liye chand aik achei baat bata di jati hai...lakin mein ye baat pure wasooq se keh sakti hoon keh jin muasharti burayyon ko TV per paish kiya jata hai baqaeda behes ki jaati hai ...tu is se nai nai burayyon ka pata chalta hai chor raston ka pata chalta hai burayyon ko kis tarha achai bana ker paish kiya jata hai keh siwae afsos ke kuch nahin kiya jaa sakta..

                Comment


                • #9
                  Re: Hamara Moashraa

                  Originally posted by Masood
                  Dost!

                  Yeh aik neya silsila hai, jis mein main aap sey sey iltimaas karta hoon keh hamarey moashrey sey related har woh baat jo aap ney dekhi, parhi, suni hai ussey qalamband kijiye. Aaiye ham apney logon ko khabardaar karein keh moashrey mein kya kuchh ho raha hai aur unhein moashrey ki achhaiyon par naveed dein...
                  Very nice topic Masood...Last forum mein mein ne aik topic start kia tha, us ki copy yahan pesh he...ager koi is per bhi behas kerna chahay to welcome :)

                  :thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hamara Moashraa

                    Asslam-o-Alikum WRW B

                    bhot nice post hy masood, but aik baat batow Fayda kya ho ga is sey ? Mashary ki achi bat baty gy tab bhi kabol nhi , buri bat ki to sab ky sab bhgy gy , Fayda kya hona hy kuch bhi nhi, but ya post achi hy , parhti rhu ga

                    FeamanAllah
                    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                    Comment


                    • #11
                      Re: Hamara Moashraa

                      Originally posted by Bheegi-Palkain
                      Asslam-o-Alikum WRW B

                      bhot nice post hy masood, but aik baat batow Fayda kya ho ga is sey ? Mashary ki achi bat baty gy tab bhi kabol nhi , buri bat ki to sab ky sab bhgy gy , Fayda kya hona hy kuch bhi nhi, but ya post achi hy , parhti rhu ga

                      FeamanAllah
                      Mera mission hai keh main PAKISTANIYAT ko ujjagar karoon magar pakistaniyat ko ujagar us waqt tak nahin kiya jaa sakta jab tak is mein mojood khamiyon ko point out na kiya jaey. Agar ham kahmiyon ko point out karein ge to aik do to hon ney jo un buraiyon sey bhagein ge. Agar ham aik do ko kisi buraee sey door rakhney mein kaamyab ho jaein to yeh bohat badi fatah ho gi. Amlon ka hisaab Allah ney dena hai. Hamein achhiyon aur buraiyon ko be-naqaab karna chahiye aur btana chahiye keh kis raastey per chal ker hamein kya jawab mein mil sakta hai.

                      Baati merey ya hamarey faedey ki nahin, balkey aik soch hai keh ijtimaee tor per kisi buraee ko khatam kiya jaey aur achhaee ko samney laya jaey. Har moashrey mein achaee aur buraee paee jati hai, hamein apna farz poora karna chahiye :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      Working...
                      X