Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kisi ke Dimaagh mein Aqal Aaya Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kisi ke Dimaagh mein Aqal Aaya Hai

    Pata nahin logon ne padha hoga ya nahin magar Taliban ka ek ahm commander jo pehle Guantanamo mein tha, ek interview mein kuch aise ishaarein kiya hai ke mere lye bahut hairaniat ke baat hai. Misaal ke taur par:

    "Taliban yeh jang nahin jeet sakte aur Kabul ka fath to ki baat hai aur Taliban ke rehnuma yeh jaante hai magar kehte nahin”

    “Agar Taliban phir se qudrat apne haath le lee, Aghanistan ke baqi political parties unhe pehle ke tarha hokoomat karna nahin denge aur Taliban ko apna chaal chaland badalna padega”

    “Taliban ka pehla masla amniyat ko theek karna hai aur baqi masle jaisa khwateen se chaland, dadhi rakhna wa ghaira pe un ka salook pehle ke tarha sakht nahin hoga”

    “Taliban ka 70 percent al qaida pe naraaz hai. Hamare awaam ke lye al qaida ek aafat ke darja rakta hai. Hum ne un ko apne gharon mein mehmaan ke tarha rakha aur unhon ne hamaare mehmanwazi ka ghalat fayeda uthaya. Aur mai Osama ke marne se bahut khosh hoon kyon ke us ne apne tadabir aur maslahaton ke saath Afghanistan ko barbaar kiya”

    Ab dekhna hai ke Mullah Omar is shakhs ke baaton ko kuch dhayan dega ke nahin.



    New Statesman - Preview: Michael Semple interviews a senior member of the Taliban

  • #2
    Re: Kisi ke Dimaagh mein Aqal Aaya Hai

    Sahi hi keh raha hai kafi had tak





    Comment


    • #3
      Re: Kisi ke Dimaagh mein Aqal Aaya Hai

      Assalaam-O-alaikum

      Har shaks ko apnay 'Izhar-e-khayal' ka ikhtiyaar haasil hay, kuch log apni baat public main tou kuch band kamroon main kartay hain, kam-o-baish har kisi ka aisa hi kehna hay jaisa kay aap nay farmayay......!

      Masla yeh nahin kay Taliban aagay chal kar kitna sakht aur kitna narm rawaya barat-ta hay, masla yeh hay kay kia yeh TAREEQA jo Taliban nay apnaya hay sahi hay kay nahin...

      Iss main koi shak nahin kay jo kuch woh karna cha rahay hain wohi SAHIH hay, albatta unn ka 'TAREEQA' qabil-e-tanqeed hay, kiyonki unn kay kayii kaam JAZBAAT ki nazar main, soch bohat TANG NAZRI ka shikaar hay....

      Apni soch ko wasee karna aur apnay izhaar-e-khayaal ko bharpoor aur asaan tareeqay say paish karnay say shayed mamlaat badal jaayain.... deen ki tableegh karna achi baat hay, magar deen kisi per MUSALLAT karna humaray ISLAMI tareekay kay khilaaf hay!

      may ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Kisi ke Dimaagh mein Aqal Aaya Hai

        Thefire1 bhai, aap sahih keh rahe hain ke Taliban ka tareeqa ghalat tha. Magar yeh bhee yaad mein rakhna chaahiye ke yeh tareeqa kahan se aaya hai. Zor se kuch nahin ho jaata, aap kisi bache ko zor se khaana khelaayiye aur dekhiye ke kya karega. Yeh tareeqa jo inhon ne apan banaya tha, yeh to wahee shaddatpasandon ke hai jo Afghan jihad ki baad yahee pe reh gaye aur apna shaddatpasandana aqaayed ka sikhaana shoro kiya. Ab, itne saalon ke baad, aisa lagta hai ke in ko in ki ghalat tareeqon ka pata chal gaya hai aur ab shaayad sahih tareeqon se aage chalein. Dekhenge ke kya ho jaayega.

        Comment

        Working...
        X