Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pani ya Zeher

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pani ya Zeher

    Pichle kuch dinon may Afghanistan ke baare mein ek khabar chapa hua tha ke kuch 250 bachhe apne school mein pani pee kar bemaar ho gaye the. Khabar ke mutaabiq, peenewale pani mein zeher mila hua tha. Yeh waqea Khost mein hua jaha pe Taliban ka bahut karwayan jaari hai. Abhee tak to pata nahin chala hai ke is ghair-insaani kaam ka zimmedaar kaun hai magar yeh Taliban ka kaarnaama lagta hai, kyon ke April mein bhee aisa ekchapa tha jis mein ek larkion ke school ki pani mein zeher milaaya hua tha aur us mein 125 students ko hospital jaana pada tha. Yeh to sub jaante hai ke Taliban larkion ke padhane aur un ka school jaane ke mukhalif hain.

    Agar yeh kaam Taliban ne kiya hai to mujhe is sawaal ki poochne par majboor karta hai aur woh yeh ke kis qism ka muslmaan bachon ke pani mein zeher mila tha hai? Kya Islam ne hum ko yehee sikhaaya hai? Ab Taliban bachon ke hifaazat karne se bhaag kar bachon ke helaakat ka zaria ban gaye hai? Yeh be-ghairti aur be-sharmi ka bahut bada namoona hai jo Islam mein to kya, koi aur deen aur mazhab mein bhee aisa amal jaayez nahin hai.

    Allah (SWT) in raaste-mein-koye-hue logon ko hedaayat aata farmaaye aur hamaare bachon ko apne hifaazat mein rakhe.

  • #2
    Re: Pani ya Zeher

    Allah knows ke kis ne milaya. Jis ne milaya, dunia se to buch jaye ga per Allah ki grift se nahi
    :thmbup:

    Comment

    Working...
    X