Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

    Last edited by *Rida*; 17 May 2012, 23:09.
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

    Jis terha se log pis rahay y hain yahan , aur her waqt tension depression ka shikar aur is fikr mein mubtila hain k ye kam kr lo pbr light chali jaey gee , ye sab daikh k aik terf to be inteha ters aata hay , lekin wahein dusree taraf jb isee awam ko kisi siasi party bulkey intehaeey corruot siyasi party k jalsay jalooson k liey naaray baazi aur sarkon pe rallys nikaltay dekhun to dil se literally ghussay k maray yeh bat bhi nialty hay k , aey awam hosh mein na aana isee terha jeay bhutto, jeay nawaz etc etc kertay inhee logon k haathon marr jana ...........per hosh na karna ......mera khiyal hy bas kar dun ab kiun k main bht bharee baythi hun . Aissa na ho likhty jaaoon
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

      nice sharing





      Comment


      • #4
        Re: Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

        Jahan mujay lafz Pakistan se bohat pyaar he wahan mujay is koom se nafrat bhi he. Hum behasiyat'e'majmooi aik achi koom hergiz nahi hein. Hamara sooch ka kibla he drust nahi. Jo jitna bara daaku wo utna bara seyasatdaan, aur us daaku ko support kerne wali begairat aur kutti awaam bhi bakasrat moojood he. ziada nahi to 15-20 mulk to goom chuka lekin Pakistan jesay bad'tehzeeb, be'asool, kanoon'shikan loog mein ne kahin nahi dekhay. Egypt, Arab Amaraat jese mulk bunjar zameen aur raigastan se ubhray aur kahan se kahan pohanch gaye aur Pakistan he ke aagay berhne ka naam nahi le raha bulke yeh ub her saal 2 kadam peechay he aa raha he. Kon kehta he ke Egypt Pakistan se ghareeb mulk he. Oh bhai sirf aap Cairo pura goom lo to aap ki hairat gum ho jaye gi. Wahan system he, behtareen roads hein, aalishan buildings hein, be'inthaa tareekhi amaratein kilay hein, parks hein, tourist spots hein aur to aur mein ne wahan dozens of housing societies dekhein jo abi under construction he, wahan per raat ko aik banda bhi nazar nahi aata lekin wahan per lighting aisay di gai he jese abi kisi airport ka iftataah hua ho. Raigastan per mushtamil mulk jis ke resources itnay limited hein, aik naik niyati ki bunyaad per ager taraki ker sakta he to Pakistan mein kis cheez ki kami he? Singapore 1965 mein Malaysia se aazad hua, kabi aap ka jana hua to dekhiye ga ke 47 saalon mein wo Pakistan se 300 saal aagay nikal gaya. Puri dunia achi misaalon se bhari hui he aur Pakistan gandi awam aur ganday seyasatdaano ka majmooa ban ke reh gaya he.
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

          Mein to kabi kabi soochta hoon ke Awam Load shedding, mehngai ke khilaaf to ehtajaaj kerti he. Aik ehtajaaj anookhi taraz ka bhi hona chahiye. Jis mein sirf ba'shaoor aur perhay likhay loog hoon, aur wo KUTTI awam ke khilaaf ehtajaaj karay jo her saal baradari base per, biryani ke dibbon ya 1, 2 hazaar main election walay din apna zameer baich ker ganday loogon per takht per bitha deti he.
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
            Mein to kabi kabi soochta hoon ke Awam Load shedding, mehngai ke khilaaf to ehtajaaj kerti he. Aik ehtajaaj anookhi taraz ka bhi hona chahiye. Jis mein sirf ba'shaoor aur perhay likhay loog hoon, aur wo KUTTI awam ke khilaaf ehtajaaj karay jo her saal baradari base per, biryani ke dibbon ya 1, 2 hazaar main election walay din apna zameer baich ker ganday loogon per takht per bitha deti he.
            l:clap:me k dil ki awaz
            Last edited by Eshaa Chaudhry; 23 May 2012, 07:38.
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Atom bomb bana liaa..by Javd Ch.

              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
              l:clap:me k dil ki awaz
              Itnay tajziye, itnay tabsaray, itni achi baatein ur outcome zero, yeh cheezein kisi bhi ba'shaoor insaan ko zehni mareez bananay k liye kaafi hein. Pakistan mein democracy he sub se bara intkaam he. Aap arab amaraat jaein, Saudia jaein, Libya dekhein, pura gulf dekhein, democracy ke bagair kese phal phool raha he. Democracy mein jahan bhi clash of interest ho ga loog achay insaan ki taangein khainchein ge. Arab amaraat ki misaal le lijiye, hazaaron resources mein un ke paas sirf aik petrol tha, na education thi, na man power thi, na apni koi fasal thi, hatta ke ziada tar pani tak nahi tha. sirf 2 cheezein thein inke paas, aik naik niyati aur doosri well governance. Mein kehta hoon ke aap arab mamalak mein aaj democratic system implement ker do phir un ka haal dekho. Aur yahan per her jagah jamhooriyat ka rona roya jata he. Yeh kesi jamhoriyat he jis mein jamhoor ki falah ke ilawa sub kuch he.
              :thmbup:

              Comment

              Working...
              X