Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi???????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zindagi???????

    Zindagi ?????????

    Assalam o alaikum!






    Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

    Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

  • #2
    Re: Zindagi???????

    Excellent - baad mein jawab doon ga abhi dinner time ho raha hai - zara pet'pooja kar lein phir sochein achhi aati hain :p
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Zindagi???????

      bohat long hai :$ bad me read keru gi :D
      Last edited by aяfaяσh; 16 February 2006, 22:33.

      Comment


      • #4
        Re: Zindagi???????

        Zindagii!












        Bilkul usi tarha hum yeh bhi nahi keh sakte ke zindagii kya hai?????

        Comment


        • #5
          Re: Zindagi???????

          Assalaam o alaikum
          wow acha likha hay...
          meray khyaal say
          zindagi bandagi ka naam hay!
          wassalaam
          Raza

          kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

          Comment


          • #6
            Re: Zindagi???????

            First of all appology for replying late.

            Duniya ka jaiza liya jaey to aik baat khul ker saamney aati hai keh zindagi suffering hai. Yun lagta hai keh Khaliq-e-Haqeeqi ney zindagi mein siwaey aazmaishon, be'basiyon, majbooriyon, dukhon key kuchh nahin bnaya. Aur khud yeh sab creat kar key aik taraf khamosh ho ker baith geya hai. (na'aoozu billah).

            Aisa hargiz nahin. Allah Tala ney insaan ko pedah kiya keh uski bazurgi ko sar'bulandi ko zahir kiya jaa sakey. Insaan ko har us lazzat sey aashna kiya jo farishton ko nahin mili thi. Magar nateeja kya nikla? Insaan khud apni hawas mein jannat ka ehsan bhi na chuka saka. Duniya mili to bhi apni hawas prastiyon mein laga raha aur us Khaliq-e-haqeeqi ka diya huwa sabaq bhoolta chala geya. Rab ney phir bhi insaan per rehmatein farmaein aur apney peghambar, nabi bhejey jo insaan ko raah-e-raast per laein. Jinho ney haq ka raasta paya aazamaishein unka naseeb bani, woh bhi suffer huwey magar unhein apney Rab ki zaat mein bharosa tha aur woh usi sey maangtey they. Unhein is duniya ki zindagi kam aur agli duniya ki zindagi ki taraf tawajoh ziyada thi.

            Us duniya ki zindagi key liye yahan per suffer hona parrta hai. Aazmaishon sey guzarna parta hai. Lekin iskey bawajood agar ham jaiza lein to insaan ko in bandishon mein insaan ney khud dala hai. Insaan ney insaan ki zindagi ki laash per dukhon ki chadar charha di hai. Agar har insaan Allah key diyey huwey sabaq ko yaad kar ley to zindagi aasan ho jaey.

            Ham qismat ko dosh detey hain. Qismat kya hai? yeh ham mein koi bhi saheeh tarha define nahin kar sakta. Mera zaati khiyaal hai keh qismat pey roney sey ziyada khuda key ehkamaat per nazar karni chahiye - aur unhein apna liya jaey to zindagi sey shikwa na rahey.

            Iqbal kehtey hain:

            apni duniya aap pedah kar agar zindon mein hai

            zindagi sood-o-ziyaan sey, nafa-o-nuqsan, irritation, depression sey bohat aagey hain. Zaroorat is baat ki hai sab sey PEHLEY APNEY AAP KO PEHCHANA JAEY KEY HAM KAUN HAIN? KYUN HAIN? KIS MAQSAD KEY LIYE BHEJEY GAEY HAIN? Jab yeh batein khul ker samney aa jaein gi, to zindagi guzarna aasan ho jaey ga.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Zindagi???????

              Walikum Assalam Aapi!!:)

              1stly nice 2 c that u r there in Behas-o-Mubaahisa:wk



              N 4rthly let me answer haan?:p


              Hum dunya maii aye AZMAISH k liye
              Jahan ALLAH kabhi khushian de ker or kabhi dukh de ker humin azmaata hai





              YE SAB INSAAN KO PEDA KERNE KA MAQSAD HAI

              Humin jin kamoon se rooka gaya humin un se rokne ki koshish kerni chahiye or jo kaam kerne ka hukm dia gaya wok erne chahiyein or phir ALLAH per choor dena chahiye q k humin pata hai or hamaara IMAAN hai k wo buhat MEHRBAAN hai or buhat ADAL wala bhi


              KHUSH RAHOO ALWAYS MY SWEEEETEST AAPI:phool:

              Comment

              Working...
              X