:thmbup:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Amriki hamle k nataij......
Collapse
X
-
Re: Amriki hamle k nataij......
Gen. Hamid gul jaisay namak haram generalon ki waja se Aaj pakistan tabahi ke dahanay par karha hai......yahi logg thay jinhon ne ye ganda khail shuru kiya tha......khud ye iss baat ka aiteraaf karchukey hain......inhone "Hikmatyar", "Rabbani" ahmad shad masud waghaira ko Peshawar bhulaya aur unko train kar ke larayee shuru ke joo aaj tak jaari hai.......ye logg indian phobia ka shikaar hain....aur awam ko gumrah kar rahay hain......aaj Nawaz sharif khud ye kehtay hain ke inn generalon ne merey aur BB ke dour mein humari ijazat ke baghair afghanistan mein jang shuru ki thi jiska khamyaza aaj poori qoum bhugut rahi hai.....
Ye wo logg hain jo maazi mein jihadiyon aur amreeka ke qareebi ittehadi rahay aur aaj defayee tajziya nigaar ban kar amreeka ko cheenti barabar samaj rahay hain....ye wo logg hain jo army ke elawa loadshedding, mehngaaye, berozgari, khudkush dhamako ke maaray pakistanyon ko har waqt dosron par charh dornay ki targheeb aur mashwaray day kar inhain ghairat aur naaqabil e taskheer qoum ke injection laganay ki muhim joi mein masroof hain.....inka shumaar unn logon mein hota hai jinhone apne dour e mulazimat mein pakistan aur region ko tabah karnay mein koi kasar baaqi nahi chori thi, retirment ke baand na sirf mulk ko buhraano se nikalnay k nuskhey bata rhay hain balke amreeka ko bhi mashwaray dey rahay hain...
Mosoof amreeki hamlay ke nateejey mein Indian aur Israel ko nishana banana chahtay hain......magar ye bhol rahay hain ke NATO ki surat mein Pakistan ko dunya ke kayi taraqi yafta mumalik se punja larana hoga phir ye kahan ki aqalmandi hai ke parosi mulk India aur dosrey mulkon par charayee kee jaye.....Mosoof jhoot bolnay mein kaafi maharat rakhtay hain.....laiken inhone shayad Dr. Inayat ullah Faizi ka column nahi parha jiss mein unhone Amrica se jang ke chand natayij point out kiye hain.......inn retired generals ka kaam sirf logon ko bharkaana hai........مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے
Comment
Comment