Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

    سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر کڑی تنقید

    Last edited by Jamil Akhter; 29 August 2011, 10:26.
    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

  • #2
    Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

    Han In ki kuch batein theek hain.
    Allah

    Comment

    • #3
      Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

      mujhe yaqeen hai is me bouhat saari batain sach hongi
      in tamam bato ki azadana tehqeeqat honi chahiye aur
      agar ye waqi sach keh raha hai to mulzimo ko har haal me un k anjaam
      tak puhanchana chahiye aur agar ye ghalat keh raha hai
      to itne sangeen qisam k ilzamat lagane k jurm me ise saza honi chahiye

      Comment

      • #4
        Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

        Comment

        • #5
          Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

          @ Fawad
          شرم تم کو مگر نہیں آتی

          Comment

          • #6
            Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

            Dear Fawad

            Is main koi shak nahi hay ke pakistan ko financially kamzor karny main US ka bara hath hay. Talibanization ko mazboot karny wala US hi hy jis ne apny sath sath humain bhi is khofnak jang main dhakel dia hay, jis ki koi manzil nahi hy, han hum kho rahy hain to apne JAWAN, hum maar rhy hain to apny hi bandon ko, aur yeh humary leaders ki galat policies ki wajah se ho raha hy, Pakistani Budget ka aik major hissa Dehshat Gardi k khilaf jang main istemal ho raha hy, power crises ko poora karny k lye funds nahi hain, sary funds udher use ho rhy hain. Yeh to phr politics hay bhai, zulfiqar mirza ne kuch ghalat nahi kaha, aur aap kaho kahan US involve nahi hy,
            Allah

            Comment

            • #7
              Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

              اب اس فرد پر اتنی گرد اُڑائی جائے گی کہ سچ اور جھوٹ اس قدر مکس ہوجائے کہ معلوم ہی نہ ہو کہ سچ کتنا تھا اور جھوٹ کتنا
              اس کا آغاز بھی ہوگیا ہے جب کراچی پریس کلب میں "ایم ،کیو،ایم"کے خریدے گئے صحافی نے جان بوجھ کر "زوالفقار مرزا"سے ایسے سوالات کئے کہ وہ اپنی عادت کے عین مطابق غصے میں آجائے اور صحافتی برادری اُس سے متنفر ہوجائے

              ہائے ری ساہ ست

              فواد صاحب:۔ مانا کہ ہم سب پاکستانی بہت جلد سب کچھ بھول جانے کے عادی ہیں اور ہر دو چار سال بعد "کبھی آمروں اور کبھی جعلی جمہوریت پسندوں"کے پھنیر سانپوں کو دودھ پلانے لگتے ہیں لیکن ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ہم یہ نہیں بھولتے کہ !یہودی سامراج کا امریکہ "جو خود یہودی لابی کا غلام ہے"اس کی نظر میں اسلامی بم والا پاکستان کانٹے کی طرح چبھ رہا ہے۔

              آپ سے کوئی شکوہ نہیں "یہ آپ کی ڈیوٹی ہے" ،آپ اپنی روزی حلال کیجئے
              Last edited by S.Athar; 1 September 2011, 03:39.
              :star1:

              Comment

              • #8
                Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

                @ Fawad

                Koi shak nahi ke America ne Pakistan ke bohat se mushkil halaat mein saath dia. Chahay wo 2005 ka earth quake ho ya 2010 ka flood. USA Pakistan ke different departments k saath at times engage reh ker un mein behtari k liye kafi ikdamaat ker raha he. I do acknowledge each and every positive step taken by state government. Aap ki kaawash bhi khoob he ke aap USA ki state policies ko achi tarah convey / defend kerte dikhtay hein. Aap bhi majboor hein tasveer ka aik rukh dikhanay ke liye isi liye aap ki kafi sari statements ko yahan per biased samaj kar ya to loog ignore ker dete hein aur ya phir aap ke Mir Sadiq honay type ki cheez honay ka guman kerte hein. Khair soochtay wo bhi kuch ghalat nahi.

                America ne Pakistan pe kahan kahan zarab kari ki. Pakistan ki foojon ko na'haq apne faiday k liye engage kia. 30,000 se ziada military plus civilian casualties. Pakistan ka so-called ally ho k Pakistan ki sovereignty aur integrity ko pamal kia jis ki misaal drown attacks hein. Pakistan ki fooj ko heavily engage kia gaya apne faiday k liye. With this virtue Pakistan's foreign debt jumped up to more than double. Aik andazay k mutabik Pakistan ub tak 60Bn dollar ka nuksaan ker chuka he. In response Pakistan ko kia mil raha he 1.5 Bn dollars per year, aur kia waqee itni amount di bhi ja rahi he?

                Meri jaan yeh aisa he hay k aap ko koi shakhs capture ker k aap ki taangein toor k aap ko charpai pe lita de aur phir aap ka bohat dil laga ker acha sa treatment de, aap ki kangi bhi karay aur aap ki aankhon mein surma bhi lagaye aur aap ka maatha bhi choomay :)
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: سندھ کے سینیئر وزیر مستعفی، رحمان ملک پر ک

                  Originally posted by munda_Sialkoty View Post

                  Well mr. aap ney Pak American relations ke utaar o charaaoo ko kafi detail ke saath bayan kiya hai i agree with most of your points .......laiken humain ye maan na parega ke agar america ki waja se Pakistan ko nuqsaan hua hai, iski khudmukhtari par aanch aayi hai, iski economy ko nuqsan puhuncha hai waghaira tou iss mein america ki ghalti nahi balke iss ki zimmedaar humari siyasi aur askari qiyadat hai.......Pakistan aur Hindustan aik saath aazaad huey aaj dono atomic powers hain laiken Pakistan atomic power ho ke bhi dar dar ki bheek maang raha hai, aur american policy par chal raha hai.....aur India humm se kaafi aagye chala gaya hai wo apni policies follow kartay hain....unki fazaaoon mein na to drone urtay nazar aatay hain aur na hi koi Raymond Davis unki dharti pe dandanata phirta hai.......iski wahid waja wahan ki pure democracy hai....... wahan awam ki hukumat hai unke hukumran kisi ghair mulk ki policies par nahi chal rahay hain aur unki fouj parliament se baladast nahi hai....unlike pakistani army ki tarah jo kayi dafa iqtidaar ka maza chakney ke baad bhi unki hukumat karnay ki hawas bhuji nahi hai.......kabhi inhone Islamization aur talibanization ki bunyadain rakhi aur dollars battorey to kabhi apney hi paida karda talibans aur militants ko khatam karnay ke liye apney ilaaqo mein bombs barsaaye ......aaj mulk jiss naazuk dour se guzar raha hai woh inn kaali bhairon ki doghli policies ka shaakhsaana hai........
                  Apno ney humain maara ghairon mein kahan dam tha
                  Meri kashti wahan doobi jahan paani bohat kamm tha
                  مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

                  Comment

                  Working...
                  X