Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

    Assalamo Allaikum

    GEO per aaj kal aik khabar bohat uchhali jaa rahi hai, abhi abhi Lekin Program mein yeh khaber uchhali jaa rahi hai:

    Salim Shehzad ka Qatal: Sach Bolna Mushkil Ho Geya!

    Yeh sach woh Channel bol raha hai jo khud National Bank of Pakistan key 3 Crore rupee ka ghaban kar chuka hai, woh channel kah raha hai jo Sailab-zadgaan key naam per pakistani awwam ko Qurani aayat suna ker 100 crore rupee harrap kar chuka hai.

    Sach sirf apney mufaad hi mein kyun bola jata hai, kya tasweer ki doosri tarf sach nahin hota????
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

    salim shehzad hay kon? geo tu mat dekhin ye mufad parust channel hay waqyiii is kay badly ary-news one phir bhi theek hay
    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

    Comment

    • #3
      Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

      مجھ کو نہیں معلوم کہ ایسا ہوا کہ نہیں ہوا
      میں اس بارے میں کچھ بھی نہیں جانتا
      لہذا میں کیا کہوں؟؟؟؟
      اللہ ہی جانے کون بشر ہے
      :star1:

      Comment

      • #4
        Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

        W sallam............

        Saleem shahzadd aik jounalist thaa aorr as a jounalist i condemn it,bakii rahii
        geo ki batt i think yeh sab Propaganda hai geo kay khillafff
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment

        • #5
          Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

          Originally posted by Masood View Post
          Assalamo Allaikum

          GEO per aaj kal aik khabar bohat uchhali jaa rahi hai, abhi abhi Lekin Program mein yeh khaber uchhali jaa rahi hai:

          Salim Shehzad ka Qatal: Sach Bolna Mushkil Ho Geya!

          Yeh sach woh Channel bol raha hai jo khud National Bank of Pakistan key 3 Crore rupee ka ghaban kar chuka hai, woh channel kah raha hai jo Sailab-zadgaan key naam per pakistani awwam ko Qurani aayat suna ker 100 crore rupee harrap kar chuka hai.

          Sach sirf apney mufaad hi mein kyun bola jata hai, kya tasweer ki doosri tarf sach nahin hota????
          Pehli baat Saleem Shehzaad ka GEO ke defaulter honay se kuch lena dena nahi. Let's not mix up 2 cases of different parameters.

          Ager mujay yeh pata hota ke Geo ne kisi bachay se kulfi cheen k khaa li he to mein samajta ke waqee GEO to bara zalim aur corrupt he. Aur jahan tak National Bank ke 3 crore ka sawaal he to National bank ko tum ne kia samja hua he, choota sa bucha? I hope mujay is se ziada argument kerne ki zaroorat nahi.

          Jahan tak funds collection ka taaluq he. Aur isay Seelab zadgaan tak na pohanchanay ka taaluq he, kia evidence he tumharay paas is ka?
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

            yahi to hamare sath masla hai
            agar koi aik bura kaam karle ya kisi par ilzaam bhi lag jaye
            baad me agar wo koi acha kaam karna chahe to koi une karne nahi deta
            hume to un ka sath dena chahiye k ab to wo kuch acha kar rahe hai
            farishta koi nahi hota sab kabhi na kabhi ghalti karte hai
            agar uno ne waqi aisa kiya hai to waha wo ghalat the lekin ab jab wo aik acha kaam kar rahe hai
            to un par bilawaja ki tanqeed q?

            Comment

            • #7
              Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

              Originally posted by Masood View Post
              Assalamo Allaikum

              GEO per aaj kal aik khabar bohat uchhali jaa rahi hai, abhi abhi Lekin Program mein yeh khaber uchhali jaa rahi hai:

              Salim Shehzad ka Qatal: Sach Bolna Mushkil Ho Geya!

              Yeh sach woh Channel bol raha hai jo khud National Bank of Pakistan key 3 Crore rupee ka ghaban kar chuka hai, woh channel kah raha hai jo Sailab-zadgaan key naam per pakistani awwam ko Qurani aayat suna ker 100 crore rupee harrap kar chuka hai.

              Sach sirf apney mufaad hi mein kyun bola jata hai, kya tasweer ki doosri tarf sach nahin hota????
              Sarkaar! humain iss se gharaz nahi hona chahiye ke sach kon bol raha hai.......I personally don't like Geo channels laiken jahan tak "Saleem Shehzaad" (shaheed) ki khabar ka talluq hai.....we should appreciate them for this......Jahan saray logg darr ke maaray zulm ke khilaaf chup hain wahan chand channels ka awaz buland karna aik achi baat hai.......aur agar aaj Sahafi tanzeemain aur media iss khabar ko nahi uchaalain gay to kal ye sab inn logon ke saath bhi hosakta hai.....aur aap ko yaad hoga pehley bhi "Umar Cheema"(journalist) ke saath zyadti hui thi jisko media ney koi khaatir khwa courage nahi dee thi .......aur aaj inka aik aur saathi darindoon ki bheent charh gaya.......
              Aik aur baat aapko sahafat se nahi unn darindon aur karaye ke qaatilon se nafrat karni chahiye jo apney gorakh dhandey par parda daalnay ke liye sachayee ka qatal kartay hain.......
              Last edited by Dil Peshawari; 3 June 2011, 05:46.
              مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

              Comment

              • #8
                Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

                Sare Rahe socha me bhi kuch izafa kerta chaloon.... Specific to the topic ...jahan tak saleem shahzad ka taaluk ha to wo blkl apnay sahi injam ko puhancay hian ...kia aaj kal sahafioon kay pass cover kernay ko national integral elements hi reh gaye hain ..?? kia wo sirf sahaft kay il m say mojoda afwaje Pakistan kay "aik hissay" ki kabliayat or "peshawaraana zimmadaarion" ko samaj saktay hian..?? NO..kataai tor per blkl bhi nahi ..!! yaad rekhiyeee afwaje Pakistan kay "jis aik hissay" ki baat me ker raha hun ya wo hissa ha jis nay khamoshi say blkl apna naam saamnay aayee bagaihr mulk ko beharhaal her buhraan say nikaaalnay ki bherpoor jaddojehad ki ha...jahan afwaje Pakistan andrroni tor per different school of thoughts me takseem nazar aati hain waha per bhi ya "aik hissa" hamesha neutral reh ker kaam kerta ha or iss nay hamesha ...hamesha mulk ko her terha kay siaasi or foji buhraan say bahar nikala ha! Sahafat bus issi ka naam reh gaya aaj kal kay mulk me moojood gurbat ..beyrozgara..corruption or nangdharang siasat ko nazar andaaz ker kay mulki salamti kay aham amoor me jin me even poori foj bhi shamil nahi hoti ...!!! un issues ko khamkhaw cover kia jayee...! Or Pakistan kin taliban rahnumaao say kia dealings ker raha ha ...kiss ko release ker raha ha ...yay sab cover ker kay kis ko batana maqsood ha..??? App sab log bhi achi terha jaantay hi meray bhaioo...jis ka kaam ussi ko saanjhay ...Saleem shehzad nay wo kat lia jo uss nay boya tha. Allah Pak foj kay uss hissya ko hamesha slaamt rekhay jiss kay saamnay national interest sab say pehlay kisi bhi soorat me...! ( note: yahan per Pka foj kay jis hissay ki me bat ker rha hun wo ISI blkl nahi !!....( hint : wo hissa ISI ka aik Subset ha ) ...! Wassalam Long Live Pakistan

                Comment

                • #9
                  Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

                  Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Post

                  First of all Saleem Shahzaad shaheed ney aisa koi ghalat kaam nahi kiya tha jiski saza pur tashadud mout ho....Mukhtalif qism ki khabrain ikkatta karna aur unhain logon ta man o ann puhunchaana sahafat hai....khwa wo khabrain kisi bhi sho'abey se talluq rakhti hoon....aur aik sacha sahafi apney jaan ki parwa kiye bina sacha ki talash mein maara maara phirta hai....Saleem shahzaad ney bhi yahi kiya laiken ussey pata nahi tha ke Pakistan mein sach bolnay ki aur bilkhusoos aisa sach joo Islami Jamhooria Pakistan ke Parliament se bhi balaadast idaarey ke khilaaf bola jaaye ki saza mout hai.....
                  Well i don't know aap afwaj e pakistan ke konsay hissey ki baat kar rahay hain .....mein agar aap ki baat maan loon ke Saleem shahzad ney army ke aik aisay hissy ke khilaaf sach bola jo saaray ke saaray ganga nahaye huey hain aur baqol aap ke pakistan ki baqa ke liye qurbaanian dey rahay hain ...too phir to ye Saleem shahzad ki bohat bari ghalti thi jo logon ko miss information dey rahay thay......magar kya iski saza mout thi.......????????
                  Merey bhai aap jo bhi kahain laiken "Dhuaan wohi se utt-ta hai jahan aag lagi ho".......aaj poori dunya mein amooman aur pakistan mein khusoosan logg chahain wo sahafi hoon, politicians hoon ex army men hoon ya aam shehri sabhi ISI per unglian utta rahay hain ......iski koi to waja hai.....aur kuch to hai jiski parda daari hai.......aur parda uttanay waley ki saza mout hai.....
                  Saleem shahzaad ki mout aik aam qatal nahi balke pakistan ke awam aur politicians ko ye message dena hai ke "Pardey mein rehney doo parda naa uttaooo......parda uttawogey too bohat buri mout marogay".........

                  • #10
                    Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

                    Originally posted by Mayan khan View Post

                    • #11

                      Aap dono akhbaab ke comments sun ker mein kuch conclude kerna chahoon ga ke.

                      Aazadi'e'sahafat ka jahan khula purchaar kia jata he wahan per is amar ki bhi zaroorat he ke Sahafati zumadaariyoon ke saath saath sahafiyoon ko apni koomi salamati ke issues ko jo ke inthaai sensitive hotay hein kooshish kerni chahiye ke isay publicly declare na karein. Yeh zaroori nahi ke her koi pura such janay. Wo kehtay hein ke parday mein Rub Raazi hota he. Kuch sensitive issues aisay hotay hein jo ke sahafat se maawraa honay chahiyein. Zaroori nahi ke aik sahafi kisi ki nangi photo publish karay aur kahay ke mein ne yeh dekha tha aur yeh such he is liye publish ker raha hoon.

                      Lekin is k liye bhi National Security ke idaaron ko Parliment ke through legislation ke baad sahafat per kanoon saazi kerne ki zaroorat he aur aik fine line draw kerme ki zaroorat he ta ke Sahafi apne kaam ko apni boundary mein reh ker confidence ke saath apni zumadariyaan anjaam de sakein. Jahan hakoomati numainday her tarah media mein khabroon ki zeenat bananay k liye azadi'e'sahafat ka purchaar kerte dikhtay hein wahan sahafi kyoon ker is baat ka faida na uthaein ge.

                      Kasoor-waar mein phir Parliment ko karaar doon ga ke jis ne sahafat per wazeh kaanoon saazi nahi ki. Ager security agencies ko yeh baawar ho ke falaan sahafi tajawzaat se kaam le raha he aur wo us ke khilaaf legal action lene ke haq rakhtay hein to shayad sahafiyoon ke agwaa aur un ke ikdaam'e'katal ke waqeyaat ko aik pause lag jaye.
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Aisi Sahafat Sey Mujhey Nafrat Hai

                        Originally posted by munda_Sialkoty View Post

                        Sorry janab! mein aap ki baat se mutafiq nahi hoon........mein ney apney above post mein aik sentence use kiya fouj ke liye ke fouj parliament se baladast idaara hai.....aap ko yaad hoga ke Chief justice of Pakistan ne laapata logon ke case par action lia aur agencies ko notic bhejey ke adalat mein pesh ho par ye logg taal matol se kaam laitay rahay.....pehley to ye logg mannay ko tayar na thay baad mein ye maan lia ke haan itni taidaad mein logg humaari hiraasat mein hain.....laiken court ke baarha kehney ke baawajood agencies unn logon ko reha karnay ya court mein pesh karnay ke haq mein nahi hain.....aur unn logon ke ghar walay dar ba dar ki tokrain khaanay par aaj bhi majboor hain.....Iss taraha ke aur kayi examples humaray saamnay hain jahan inn badmaashon ne qaanoon aur aayeen se balatar ho kar apni mann maani ki hai aur kar rahay hain.......so..I think qawaneen pehley se moujood hain laiken agar baqol aap ke iss silsiley mein qaanoon saazi nahi hui hai aur aaj qawaneen banaye bhi jaaye to inn Badmaashon ko kon paband karaye ga ke inn qawaneen ki paasdaari karain?.........ye wohi baat hai ke "Billi ke galey mein ghanti kon baandey ga"........

                        Working...
                        X