...
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
Collapse
X
-
Re: نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
پروفیسر صاحب اسلام و علیکم!
سب سے پہلے تو معاشرے کو اس کی حقیقی تصویر کھینچتے ہوئے میں آپ کو آپ کی تحریر پر مبارک باد پیش کرتا ہوں۔ میر نظر میں یہ تحریر مبارک باد کے قابل اس لیے ہے کہ آج کل اتنے ہمت اور جرات والے افراد بہت کم ملتے ہیں۔ میرے اپنے ملنے جلنے والوں میں ایسے بہت سے لوگ ہیں جو ان تمام باتوں کے خلاف ہیں اور دین کی کچھ سمجھ بوجھ بھی رکھتے ہیں مگر اس کے خلاف منہ سے ایک لفظ نکالنے کو تیار نہیں۔
اب میں کچھ بات کرنا چاہوں گا آپ کی تحریر سے متعلق۔ جہاں تک رائے ونڈ کے اجتماع کا تعلق ہے تو بے شک وہ حج کے بعد سب سے بڑا اجتماع ہے لیکن اگر آپ کو کبھی وہ اجتماع میں شرکت کرنے کا اتفاق ہوا ہو تو آپ میری بات سے اتفاق کریں گے کہ وہاں بہت سے ایسے قصے پڑھ کر سنائے جاتے ہیں جن کا قرآن و حدیث سے کوئی ثبوت نہیں اور سب سے بڑی اور اہم چیز اس اجتماع کی دعا ہے۔ اور اس دعا میں ہوتا کیا ہے۔ یا اللہ مسلمانوں کو عزت دے، یا اللہ مسلمانوں کو شہرتے دے۔ یا اللہ دنیا میں اسلام کا نظام نافذ فرما، یا اللہ یہود اور ہنود کو غارت کر۔ یا اللہ ان پر اپنا عذاب بھیج۔ یا اللہ مسجدوں کا آباد فرما، یا اللہ فلسطین کو یہودیوں سے آزاد کر، یا اللہ کشمیر میں مسلمانوں کو فتح دے وغیرہ وغیرہ۔ یعنی کے حاصل یہ ہوا کہ یا اللہ یہ کردے یا اللہ وہ کردے تمام کام اللہ کے سپرد کرکے بڑی روحانیت کے ساتھ اس اجتماع کا اختتم ہوجاتا ہے۔ اب جو کام اللہ نے لگائے مسلمانوں کے ذمے ہیں وہ تو یہ اللہ کے سپرد کردیتے ہیں تو باقی پیچھے مسلمانوں کے پاس یہی گنتی کے عبادت کے کام رہ جاتے ہیں۔
اگر اس طرح کی دعائیں سے ہی اسلام کا نظام نافذ ہونا تھا تو میرے خیال میں سب سے بڑی ہستی نبی پاک کی تھی ان کو یہ دعائیں مانگنی چاہیے تھیں۔ مگر انھوں نے یہ دعائیں گھوڑے کے پیٹھ پر بیٹھ کر مانگی۔ انکی ساری زندگی مسلسل جدوجہد میں گذری اور ان لوگوں کی زندگی ہمارا اسلام سیدھا کرنے میں گذر رہی ہے۔
جہاں تک نماز قائم کرنے یا پڑھنے کی بات ہے تو میں آپ کی بات پر تو کچھ نہیں کہنا چاہتا بلکہ صرف اتنا اضافہ کرنا چاہتا ہوں کہ آج مسلمانوں کو نماز پڑھتے ہوئے یہ تک تو پتا ہوتا نہیں کہ وہ کیا پڑھ رہے ہیں تو اس پر عمل کرنے کی بات تو بہت دور رہ جاتی ہے۔
-
Re: نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
Sahi farmaya aap ne...........humaray haan aisay logon ki taad'ad mein roz baroz izaafa ho raha hai jo Darhi ko bator lisence ke rakhtay hain ke baaqi logg ye samjhain ke ye banda bara muttaqi aur parhaizgaar hai, Haath mein logon ko dekhaanay ke liye aik lambi tasbeeh hoti hai , yun to paancho waqt nimaz parhtay hain laiken doosron ka haq khaatay hain......ye wohi logg hain jinke liye Quraan ki Sura "Al-Maaoon" mein aaya hai ke:
الذين هم يرآؤن و يمنعون الماعون
Ye jo kuch kartay hain sirf aur sirf dekhaavay ke liye kartay hain........Humaray aik colleague bhi isi zimray mein aatay hain .......behshati zewar aur fazayil aamal haath mein liye phirtay hain aur dosron ko to naseehatain kartay rehtay hain laiken khud unka haal ye hai ke beshtar auqaat duty se ghair haazir rehtay hain.......subah aik ghanta late aatay hain aur dopeher ko nimaz parhney ke bahanay se nikal jaatay hain aur phir ye namaz chutti honey tak paaya takmeel ko nahi pohunch paati......
Meri zaati tajurba yahi kehta hai ke ye loog khush fehmi mein mubtala hain aur aksar auqat kehtay hain ke "Allah taala Ghafoor aur raheem hai".....laiken ye bhool jaatay hain ke "Allah taala Qahar aur Jabbar bhi hai"..........Allah taala apney haqooq (jin mein namaz roza, zakat waghaira aatay hain) muaaf kar sakta hai laiken doosrey bando se kiye gaye zyadati ko muaaf nahi karta.........مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے
Comment
-
Re: نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
Baba Khajal Saeein aap ka topic jahan mere dil ki awaz he wahan mein yeh bhi kehna chahoon ga ke Namaz Musalmano per faraz he lehaza namaz ko bunyaad bana ker tankeed b munasib nahi. Lekin mein aap ki is baat se bilkul itfaaq karon ga ke Deen ki taraf rughbat sirf Hakook'Allah tak mehdood ho ke reh jati he jub ke Hakook'ul'Abaad ki practice kahin nazar nahi aati. Is ki misaal mein youn dena chahoon ga ke.
Hamaray aik karoobaari doost hein her saal Umra kerne zaroor jaein ge lekin apne bemaar aur za'eef walid jin ki charpai gali ke saath open jagah pe pari rehti he unhein aik acha kamra aur AC provide nahi karein ge ke un ki zindagi ke aakhri din zara skoon se guzar jaein.
Mere buchpan ka doost jo aik Kal'adam tanzeem ke sir'garm rukn he. Musalmano ko jahaad ka dars deta nazar aata he aur waqtun fooktun apni pocket se bhi funding kerta aur apne doost akhbaab ko bhi funding ki targheeb deta he. Mein ne usay puri zindagi kisi ghareeb ki madad kerte nahi dekha. Us ne jub bhi madad ki gariyoon mein aaye huay Molana's ki he khidmat ki. Maa baap ki iklooti aulaad hone he per un se alag. Maa ko maa ka haq aur baap ko baap ka haq dene ko teyaar nahi.
Deen aik balance ka naam he. Deen mein dikhawa nahi he. Aisay dikhaway se Allah her Musalman ko bachaye.:thmbup:
Comment
-
Re: نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
mujhay yeh elm to nahe kay namazoN kay pechay kia hai, par in kay "aagay" kia hai us kay baray maiN Iqbal bohot pehlay farma chukay....
tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aisay imam say guzar.That's Enough...!!
Comment
-
Re: نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
walaikum salam,
Agar her insaan khud apney aap ko theek ker ley tau ussey kabhi kisi doosrey ko theek kerney ki zaroorat nahi perhey gi. Agar hamein Ulma sey shikayat hai tau ham khud kyun nahi deen ki taaleem hasil ker k A'lim ban jatey? Agar hamein apni hukumat sey shikayat hai tau ham khud kyun nahi apney ander learders wali qualities paida ker letey hein, aur agey barh ker leader ban jatey? Mey aap ka concern janti hun, or mey janti hun k jo log islam ko masjid tak mehdood rakhtey hein un ko ye batana chahiye k aik acha musalman pehley aik acha insaan hota hai lekin uss ki zaat ko tanqeed ka nishana bana ker nahi. Ham yaqeenan aik mushkil daur mey reh rahey hein, aur iss mushkil daur mey ham sab ka ye farz hai k ham apni zindagi ka kuch hissa islam k liye waqf karein. Islam sirf Ulma ka nahi ham sab ka deen hai iss liye zimmeydari sirf ulma per nahi ham sab per aaid hoti hai." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: نمازوں کے پیچھے کیا ہے؟
اسلامُ علیکم ورحمتہ اللہ
اس تھریڈ میں بہت ہی عمدہ اور معلوماتی گفتگو ہوئی بے شک کہ بحث و مباحثہ میں ایک دوسرے سے الجھنے کےبجائے صرف اپنا نقطہ نظر تحریر کرنے تک ہی خود کو محدود رکھا جائے تو یہ سیکشن بہت ہی غیر معمولی سیکشن بن جائے
میں اُن تمام دوستوں کا شکریہ ادا کرنا چاہوں گا جنہوں نے اس گفتگو کے زریعے سوچ کے در وا کئے
اللہ جی آپ سب کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمینLast edited by S.Athar; 22 May 2011, 11:10.:star1:
Comment
Comment