Aslam-o-Alaikum PG friends,
Aik different topic ke saath hazir hoon. Hahan hum 2 different cheezon ko alag se bhi discuss karein ge aur us ka aik takabli jaiza bhi lein ge.
Hamaray mulk mein "energy crisis" kai saalon se chal raha he jo na to hul ho raha he aur na mustakbil kareeb mein hul hota dikhta he. Waja funds ki kami aur lack of resources batai jati he. Aaj Pakistan ki energy generation 1980 ki energy generation se bhi kum he. Pakistan ki major dependency Hydral power he. Pakistan ki total energy needs 17000 mega watt k lugbug he jub ke deficiency 5000 MW k lugbug he.
Pakistan mein "Thar" se koilay ke zahair ki daryaaft 1990 k dahai k awal mein ho chuki thi. Is koilay ko "black diamond" ke naam dia gaya kyoon ke is koilay mein sulfur ki mikdaar bohat kum he, aasan lafzoon mein is koilay se acha output hasil kia ja sakta he. 2 Dahaiyaan beet gaein per koi khatar khawa kaam nahi kia gaya (is ki waja baad mein discuss karein ge). Pakistan mein koilay ke is zaheeray ki estimation 185 billion Ton he. World market mein koilay ki price approx 100$ per Ton he. Yani Pakistan mein koilay ke zahair ka tehmeena 18500 Billion Dollars ka he. Is koilay ka sirf 2% Pakistan ko 50 saal tak 20,000 Megawatt ki bijli faraham ker sakta he. Yeni ager hum saaray hydral power plants band bhi ker dein to bhi yeh tawanai hamaray liye kafi ho gi.
Pakistan ke budget ki taraf aatay hein. Pakistan ka salaana budget koi 38 Billion Dollar he. Jis mein Pakistan ka defense budget ziada se ziada 7 Billion dollar honay ki tawaku he. Kerry-Loger pact ke tehat humein 5 saal tak salaana 1.5 Billion Dollars miltay hein. Yani 5 saal mein ager hum American ke hazoor sir juka ke hazri dete rahein ge, ji hazoor ker ke us ki jaiz na-jaiz khawahishaat ki takmeel sar'e'hum ker ke kerte rahein ge tub ja ke hamein 7.5 billion dollar se nawaza jaye ga. Is 7.5 billion dollar ki keemat awami jazbaat ke katal se bhi jukani paray gi.
Hamaray Koal ke resources ko utilize kerne k liye sirf 4 Billion dollar ki investment ki zaroorat he. Jo ke kisi tareekay se Pakistan se na source ho rahay hein aur na hotay dikh rahay hein. Waja - non-seriousness of our political leadership. Lekin hamaray leaderaan "Jamhooriyat ke istehkaam" k lakeer peetnay se aagay he nahi aa rahay.
Is scenario mein aap loogon se kuch sawaalaat kerna chahoon ga.
1. Moojooda political scenario mein hamaray political leadership ka agenda kia hona chahiye, is ki priority kia honi chahiye?
2. Kia Pakistan ko America se amdaad leni chahiye?
3. Coal reservoirs ko abi tak utilize nahi kia ja saka, aap ke nazdeek is ki waja kia he.
Your comments are being awaited.

Comment