Re: pakistan main naye soobay ?
Not agree at all keh inki buniyaad lasaniyaat ki bjaey intizaami amoor per rakhni chahiyey.
Aap sab sey pehley apney mulk ka jaiza lijiyey. Hamarey mulk mein khwandgi ki sharah bohat hi kam hai. Jahan na'khawandgi ziyada ho gi, wahan masaiil ziyada hongey. Yehi wajah hai keh hamarey mulk mein lasani'tafarqaat ko hawwa di jati hai, nasal'prasti hai, sochon mein tazad hai - aisey main agar taqseem honi chahiyey to woh bilkul lasani buniyad per honi chahiyey - intizaam har jaggah ka waisa hi hoga jaisa pehley hai. Mulk ko mazeed soobon mein taqseem kar key aap nizaam ko behtar nahin bnaa saktey.
Mind you keh West Pakistan ki elahdgi ki jo main wajjah bnaii gaii thi, woh lasani tafarqey ki buniyaad per hi bnaii gaii thi. So jis mulk mein ilm ka fuqdaan ho aur jahan qadam qadam lasani fitney hon, wahan agar taqseem ho to lasani buniyad per hi ho.
Zara is thread per nazar daaliyey: Yeh hai woh soch jo is ziman mein pesh ki jaa sakti hai: http://www.pegham.com/showthread.php?t=75277
Originally posted by aabi2cool
View Post

Comment