Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

    [COLOR="rgb(0, 100, 0)"]Assalam o Alaikum WR WB ... Mere apni aik tahreer jo pakistan kay halat dekh ker qalam band ki ...[/COLOR]
    Attached Files


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

    Very Nice, excellent work





    Comment


    • #3
      Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

      Assalam o Alaikum WR WB....Baniz Khan ji shukria..khush rahain


      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

      Comment


      • #4
        Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

        Walaikum Assalaam

        Kia kahoon kuch dair tak tou aap ki tehreer paRh kar saakit raha aur apnay aap ka muwaazna kia aur apnay ird gird kay mahool per nazar doRayee....!!

        Kitni sachayi hay aap kay lafzoon main kitna khuloos hay aap ki neyat main aur kitni lagan hay aap ko humwatnoon say, humain bhi aisay hi jazbay ki zaroorat hay jo humain aik MUTAHID qoum banayay!

        Aik baar phir aap ka bohat bohat SHUKRIYA kay aap nay itni khobsurat tehreer say hum sab ko nawaaza, jiss main tareekh-o-haal tak kay har woh mustanid reference hain jisay hum sab jaantay hain magar bhula chukay hain yaa yaad hi nahin karna chahtay!!

        Isi tarah apni khoobsurat tehreeron say humaray rag-o-jaan main PAKISTAN ko zinda rakhyeh, khush rahyeh

        May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

        Fi amaan ALLAH
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

          Assalam o Alaikum WR WB....

          Bohat bohatt shukria aap ka Ali Sahab..khush rahain...

          Main tah e dil se mashkoor o mamnoon hoon kay aap dono hazrat ne mere tahreer per itna mosil apnay khayalat ka izhar kiya....Aur aap ko mera andaz e bayan pasand aya ... Bohat shukria.....Bari Mehrbani ....

          Mera maqsad kisi bhi firqay ki dil azari karna nahi tha.....Itafaq howa kay apna aik channel The Music dakha us main aik programe tha Living On The Edge yaqeen janay wo programe dekh ker bohat afsoos howa kion kay us main pakistani nahi balkay lasani aur ilaqai tour per loog aie thay ... Aur sab se zadah dokh tab howa jab un main sirf is sabbab larai hoi kay tum karachi kay ho tum lahore ho tum islamabad kay ho wahan aik dosray kay moun per thapar maray gay larkyooun nay bhi aur larkoon ne bhi itna dukh howa aur sath bohat takleef bhi hoi kion kay wahan ilaqai larai thi aik joot ho ker nahi khla gaya ... Jis ka bohat afsoos howa ... kash humaray mulk main akay ho jay ...

          Bachpan main suni aik kahani ne mera zahan per dastak di hai ...
          Aik kisaan hota hai us kay sab 4 batay hotay hain un main ittafaq nahi hota hai lartay rahtay hain yahan tak kay un ka baap ka waqat ajata hai wo sab bachoon ko bolata hai un kay hath main lakry data hai aik aik phitr kahta hai in ko ttoro tou wo bachay aram se un lakryooun ko tor data hain .. phir wo un ko lakryooun ka bandal data hai aur kahta hai toro magar wo thor nahi pattay un kay baap ka mqasad tha kay agar tum alag alag raho gay ttou tum ko sab maar dalain gay likin agar tum sab mil ker raho gay tou tum per koi mali nazar bhi nahi dalay ga.....Magar afsoos yeh sab qisa parna ho chuki hain....

          Bachpan main suni naat ka share kaan main gujnay lagta hai...

          Aik khasa khasanay Rasool Salalaho Alhi Wsalam waqt e dua hai
          Umat teri aker waqat ajeb waqat para hai...


          Aik aur share hhai na kay...


          Barha aie hai us umat per mushkil ki ghari
          per jo halat aaj jai wo kal ttalak shayad nahi thi...

          Bohat shukria aap dono ahbaab ka...
          khush rahain..
          Last edited by Mahvish Waqas; 21 February 2011, 18:29.


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment


          • #6
            Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

            Walaikum Assalaam

            Bohat sachi aur khoobsurat baatain hain aap ki aur aisi baatain waqayi aik khoobsurat zehan say hi manzar-e-aam per aa sakti hain, apni tehreeron ko jaari-O-saari rakhyeh kiyonki humain inn say bohat kuch seekhnay ka mouqa milta hay!!

            Humain aik qoum aur aik millat bann kar rehna chayeh aur aik deen, aik Rashool SAW aur wahdaniyat-e-khuda wandi per yaqeen rakhna chayeh, yehi humari duniya aur akhirat main kamyaabi ka sabab banain gain!

            Shurkiya aaik baar phir, aur yehi darkhuwast kay likhti rehayeh.

            Fi amaan ALLAH
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

              Assalam o Alaikum WR WB...

              Bohat shukria main aap ki tahe dil se mashkoor o mamnoon hoon ...


              Yeh aik aaj k dour ki talkh haqeeqat hai jiss se nazrain churaana na mumkin hai.
              Hum logoon ne khud hi khud ko zaat aur firqoun main paat liya hai aur issi hissab se darjay bana liye hain un k jaisay k Hindu mazhab main tha k un main firqay hain aur woh se nichli zaat ko achoot samjhtay hain.
              Halan k Hamaray Pyaaray Rasool S.A.W ne farmaya ....

              "Kissi Arbi ko kissi Ajmi per aur kissi Ajmi ko kissi arbi per koi Fazeelat nhi siwaey Taqwa k."


              Laiken Aaj k is dour main hum Log imaan se kosoon dour ho gaey hain aur phir kahan se aaey hum main taqwa aur perhaiz gaari. Hum ne Islam ko iman ki bajaye Dolat ko Apna Iman Bana Lia hai. Aur Issi bunyad per hum logo ko taffaruq kartay hain.
              Yahan agr kissi k paas kuch ziada paisa hai aur us k under kuch loug kaam kartay hain to woh khud ko in sab se bartar samjhnay lagta hai aur us k nazdeek baaqi log us se kam tar ho jaatay hain. Yeh bhi aik kisam ki Taffarqa Baazi hi huey na.
              Aisay insaan to apnay se ooper darjoon k insan ki to her waqt Ji hazoori karta rahta hai aur apnay se kam ko neech samjhta hai..
              yahni Firqa Waariat.
              Baaqi hum main se kuch aisay bhi hain jinhoon ne Mazhab hi ko Bunyad bana k Firqay bana liye hain. Aur un main se kuch ko to bilkul iski khabar nhi k aaya jo woh kar rahain hain Wo mazhab ki rooh se sahi hai ya Ghalat. Bus un k sab se barhay peshwa ne kia hai yeh kuch to woh yeh karien gay.
              Halan k Quraan Aur Hamaray Pyaaray Nabi S.A.W ki zaat Mubaarik hum sab k liye aik mishal e rah k tarah hai aur unki seerat hamaray liye namoona hai jiss ki peervi kar k hum deen o dunya main kamyaabi haasil kar saktay hain.

              Aaj kal hamaray apnay mulk main jo ho raha hai k Lisaaniyat aur tahzeeb o tammadun ko firqa waariyat ki sheh di jaa rahi hai aur her soba khud ko apnay lisaani aur saqafti bunyaad per doosray se alag aur numaayan karna chah raha hai chahey issi koshish main woh dosroon ka haq kyen na maar raha ho laiken yahan logon ko bus apni parhi hai.

              Meray Khayal main iski sab se barhi waja hai k Insaan k andar ki "main". Yahni main hi sab kuch hon baaqi kuch nhi aur main ne sab kuch haasil karna hai chahey sahi tareeqay se ya ghalat tareeqay se. is main k chakkar main insaan ghalat aur sahi ki pahchan bhool gya hai aur bus khud ko dosroon se ooncha daikhnay k chakkar main laga huwa hai..

              ALLAH PAK se yahi dua hai k Hamaray watan e Azeez se is Firqa Waariyat ko khatam karey aur hum sab ko Mil jul kar rahnay ki tofeeq day. Ameen..

              Aakhir main ALLAMA Iqbal ka aik shehr

              Aik hoon Muslim Haram ki Pasbaani k Liye
              Neel k saahil se le kar tabkhak e kashghar


              میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


              میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

              Comment


              • #8
                Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

                Walaikumsalam
                bohat acha topic choose kia hai, es se awareness aye gi aur likha bhi payar hai.
                Mazhabi aitbar se Hum sab loog sab se pehlay musalman hain phir koi aur firqa ya maslaq ata hai, hum sab loog hum-ahangi(harmony) ki baat kuyn nahi kertay? humain chahiye keh jo chezein hum mein common hain unki bases per hi sahi, akathay tu hoon.
                Humaray mu'ashray ka eik masla hai keh hum abhi tak DENIAL ki stage mein hain, hum apnay differences accept hi nahi kertay. jab hum accept ker lein gey tab hum unite ho jayein gey. Aisa ho tu raha hai lekin susat raftar se.
                Shia, sunni, ahl-e-hadees aur deo-bandi jab tak eik dosray ko bura kahtay rahain gey tab tak humaray masa'ail theek nahi hon gey. Sabse pehlay humein eik dosray ko masalmaan tasleem kerna hai jis per mehnat ki zarorat hai. Eik amaam ke peechay na sahi eik masjid mein namaz parhnay ke qabil tu ho sakain.
                I think, humain differences alag ker key common grounds per unite hoo jana chahiye aur dosray ko bura samjhnay ki bajaye khud ko acha bananay ki koshish kerni chahiye. aur Allah ke azaab se bachna chahiye.

                JazakAllah for sharing.
                Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                Sadly, common sense is not very common..!!

                Comment


                • #9
                  Re: فرقہ واریت ۔۔۔ عذاب الہی کی ایک صورت

                  Waalaikum Assalaam

                  Aap ki baatain waqyi thiik hain.

                  Main mazeed yeh add karna chahoon ga kay FIRQAWARANA fasaadat Pakistan main iss qadar aam hochukay hain kay hum aik dosray ko qatal karnay tak say guraiz nahin khaatay, yeh woh active groups hain woh aap ki knowledge main laana chahta hoon

                  SUNNI (Hanafi section)
                  1. Sipa-e-Sahaba
                  2. Lashkar-e-Jhangwi
                  3. Anjuman Noujawanan-e-Islam
                  4. Jamiat-ul-Itihad-ul-Ulma
                  5. Sipa-e-Sahaba-e-Mahaz
                  6. Muthadda Sunni Council
                  7. Jeway Sunni Wing
                  8. Sunni State Organization
                  9. Sunni Tehreek
                  10.Defunctive Anjuman Sipa-e-Sahaba.

                  SUNNI (AHL-E-HADIDH)
                  1. Jamiat Ulma-e-Hadidth
                  2. Itihaad Bara-e-Ahl-e-Touheed
                  3. Hadidth-ul-Muslemeen
                  4. Ahal-e-Hadith Council.

                  AHL-E-TASEEH (Fiqa-e-Jafferia)
                  1. Tehreek-e-Nifaz-e-Fiqa-e-Jafferia
                  2. Lashkar-e-Muhammad
                  3. Lashkar-e-Hussainia
                  4. Imamiya Council
                  5. Imamiya Students Organizations
                  6. Hub-e-Ali Organization
                  7. Bu Taraab Society
                  8. Jafferia Council
                  9. Zain-ul-Abadein Ithad-e-Bain-ul-Muslemeen Council
                  10.Imam Bargah-e-Jafferia Trust
                  11. Lashkar-e-Karbala.

                  Inn firqawarana fasaad main pichlay 20 saaloon main 20000 say bhi ziyada zindagiyon ka ziya hua, 200 say ziyada masjadain aur imam barghaain iss fasad ki nazar ho gayi....

                  kia aaj bhi hum sabaq haasil nahin kartay yaaaa phir apnay aap ko tabahi ki taraf dhakayl rahay hain!

                  May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                  Fi amaan ALLAH
                  Last edited by thefire1; 22 February 2011, 15:29.
                  sigpic

                  Comment

                  Working...
                  X