Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

    Waldein ki age bachon ki taleem-o-tarbiyat per kya assar daalti hai?

    Agar waldein young hon to kya woh apney bachon ko behtar friendly mahol dey saktey hain? apney bachon ki baat behtar samajh saktey hain keh woh almost same waqt sey guzar rahey hotey hain? aur agar waldein ki age badi ho to woh apney bachon ko "buzurg" ban ker parwarish kartey hain? Dono key zamano mein farq hota hai aur waldein samajhtey hain keh jo ham apni aulad key liye soch rahey hain wohi behtar hai???

    How much does age gap mean in parent and children relation??
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

    hmmmm

    mainey dekha hai ke joh parents abhi khudh young hai aur life enjoy karna chahtey hai un ke bachey free hotey hai un ke saath, more open and honest with their parents

    joh older parents hai, jinho ne decide kiya hai ke ab unho ne bachon ki parvarish karni hai, they take a more responsible and controlled approach, aur un ke bachey ziada tarr jab kuch kartey hai toh chup kar kartey hain, kyou ke they know that their parents will not understand
    :alhamd:

    Comment


    • #3
      Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

      Originally posted by Masood
      Waldein ki age bachon ki taleem-o-tarbiyat per kya assar daalti hai?

      Agar waldein young hon to kya woh apney bachon ko behtar friendly mahol dey saktey hain? apney bachon ki baat behtar samajh saktey hain keh woh almost same waqt sey guzar rahey hotey hain? aur agar waldein ki age badi ho to woh apney bachon ko "buzurg" ban ker parwarish kartey hain? Dono key zamano mein farq hota hai aur waldein samajhtey hain keh jo ham apni aulad key liye soch rahey hain wohi behtar hai???

      How much does age gap mean in parent and children relation??
      A million doller question, masood bhai:thmbup:
      this question often arise that realy age gaap makes any difference between parents and child relation????
      my answer is "NO"
      waledain aur bachon ke darmiyan umer ka fasala koi ehmiyat nahi rakhta......
      saari baat aap ki "soach" per depend karti hai.
      aap kya soachte hain aur duniya ko kis nazar se dekhte hain.
      agar waledain umer ke lehaz se bade ho aur un ke aur un ke bachon ke bich mein "zehni mutabeqt" hai tu yahan per "age" kya ehmiyat rakhti hai.......
      aur agar maa, baap aur bachon ki umer ka darmiyani fasla kum hain magar "mutual understanding" zero% hain tub umer ka kum hona kya maani rakhta hai?????
      sari baat "soach, khayalat aur zehni humaahangi" ki hoti hai.......
      if there is no "mutual understanding" between parents and children than Imbelence definitly occur.....and their relation will suffer.......

      Comment


      • #4
        Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

        Originally posted by Masood
        Waldein ki age bachon ki taleem-o-tarbiyat per kya assar daalti hai?

        Agar waldein young hon to kya woh apney bachon ko behtar friendly mahol dey saktey hain? apney bachon ki baat behtar samajh saktey hain keh woh almost same waqt sey guzar rahey hotey hain? aur agar waldein ki age badi ho to woh apney bachon ko "buzurg" ban ker parwarish kartey hain? Dono key zamano mein farq hota hai aur waldein samajhtey hain keh jo ham apni aulad key liye soch rahey hain wohi behtar hai???

        How much does age gap mean in parent and children relation??
        wah kia sawal he uncle:D wese age se koi fark nahi parta jo parents friendly hote hen wo hamesha se hote hen jino ne sakhti rakhni hoti he unhon ne har age me sakhti rakhni hoti he.sari baat he ke aap ki apni tarbeyat kis tarah hui he ya personality kesi he.

        Comment


        • #5
          Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

          Assalam-o-Alikum WR WB

          Masood kya baat hay khair to hy na ! aaj kal baray hi ajeeb ajeeb say topic aarhay hy :P khi koi shadi ka daftar to nahi khul liya hay ? lolzz

          Well ! sawal to bhot umda pucha hay tum ny ....... bacho aur waldain main jo age gap ho ta hay wo zaroori hay ,,, per aik jaayz age gap ho ... jasy hamary asian side main hy ... like kay agr aap ki shadi 25 to 30 ki age kay dermyan ho to jo bachay zindagee main ho tay hy un ky saath jo age differnce ho ta hay wo kamyaab hota hay ... kuo ky us age main aap bacho aur apni wife ya simple family life ko adjust kar sakaty hay ...

          but in Arab peoples yha per ghul mil kar jo dekha hy us ky lhaaz say main samjhta hu kay ziyada Gap sahi nahi hy ... us say adab ahtraam aur sharam nahi rah paati hay ... aur u peoples know kay Arab ka kya haal hay ... 40 ki age main shadiya karty phirty hy

          Meri ray to ayhi hy

          FeaamnAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


          Comment


          • #6
            Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

            Originally posted by Masood
            Waldein ki age bachon ki taleem-o-tarbiyat per kya assar daalti hai?

            Agar waldein young hon to kya woh apney bachon ko behtar friendly mahol dey saktey hain? apney bachon ki baat behtar samajh saktey hain keh woh almost same waqt sey guzar rahey hotey hain? aur agar waldein ki age badi ho to woh apney bachon ko "buzurg" ban ker parwarish kartey hain? Dono key zamano mein farq hota hai aur waldein samajhtey hain keh jo ham apni aulad key liye soch rahey hain wohi behtar hai???

            How much does age gap mean in parent and children relation??
            Asslam Alaikum

            Let me explain personal exprience, jaisa ke Masood sahab aap jaantey hain maine more than 2000 student ko teach kiya hai (in different locations and years), bachhon ke taleem se walden ka age ka koi matter nahin hota, Depend karta hai walden ka qualified hona aur apney bachhon ke taalim ke taraf parents ka excited attitude.

            For example : mere paas 2 student thay 10 and 12 years ka, student's father was a simple man, and has million dollar cash business, but bacchey to sidhey saadhey thay lekin DULL, simple english ka ek sentence na bol pata aur na hi likha pata, wajah ghar k parents ke saath loose dealing, not cared, and not attentive.

            Dusri taraf mere paas ek Marketing Sales Man ke 2 students 10-12 ka tha, students ka kya kahna...intelligent, oversmart, fleunt talking...means they were Outstanding students...iska reason that their parents were highly qualified, parents treated them with extra guidance and manner.
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment


            • #7
              Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

              Presently achhey school mein dakhla ke liye bachhon ka Entrace Test se qabal bacchey ke Mummy Papa (parents) ka interview hota hai, aur uss application form ke no. 4 section mein yeh puchha jata hai ke Parents kitna taalim yafta hai, jisme Mother ka minimum qualification Graduate hona chahiye, this is compulsory, father ka to hoga hi hoga, puchhney ka to maqsad hoga naa ke parents apne bachhon ke uper kitna take over control rakheyga, education ke taraf unka attitude kitna serious hoga ya kitna educative guidance hoga...etc. etc.

              Finally bachhon ke taalim o tarbiyat ke liye walden aur bachhon ke bich mein Age ka Gap koi matter nahin, Parents ka qualified hona zaroori hai.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #8
                Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

                Great topic!!!

                Buhat intresting topic hai bhai
                Really glad 2 c it


                Per ye bhi sahee hai k PARENTS KA ROOB bhi bachon k liye zaroori hai


                Or friendly is sense mai hoona chahiye k bache parents se kuch bhi mat chuupain is tarah misunderstandings janaam nahi letiin

                22 se 25 tak girl ki age hai shaddi ki
                25 se 30 tak boy ki age hai

                to ager shaadi old age mai ho to bacche chootey n parents old ho jaatey hain tab bachon per parents ki tawajju bhi khaas nahi rehti or roob bhi nahi rehta is liye shadi jalde hone chahiye or bachon ko friendly environment provide kerna chaiye with 30 to 35% DAANT!!!
                Khush rahiyyyyyyyye!:salam:

                Come at pegham.......i m waiting 4 such a nicoo stuff 4om ur side!:) :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Waldein Aur Bachon Mein Age Ka Gap

                  buhat zaida age different bhi nahi hona chaye kay kahi ja rehay houn to loog yeh samjhaye dada , dadi kay sath ja rehay hain :lol

                  jesay jesay banday ko mar barhti jati hai zindagi ki activities bhi kam hoti jati hain or aik waqat main job say bhi retirment mill jati hai ...........us age main usay khud aisay logoo khas toor par apnay bachoun ki zarorat hoti hai woh us ka sahara banain ..............lekan jab bachay hi chotay houn to us ki zimmdariyan kesay bantian gay ? bachoun ki apni kai zarortian hoti hain .....
                  Last edited by .; 13 March 2006, 00:04.
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  Working...
                  X