:emb
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
Collapse
X
-
Re: Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
hmmmm perh ker afsos hova :(
Comment
-
Re: Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
Masood aap ne boht achha mozoo chuna, mugar meray ilm k mutabiq pakistan ki 37 feesad aabadi khwandah hey.may be ab graph kuch neechay chala gaya ho ya may be yeh an parh parhay likhay hon jin ki shra e tanasub ka mujhey ilm hey, iss lehaaz se aap ki tehqeeq drust ho sakti hey. :)
Aap ne bilkul drusr farmaya k daulat ki ghalat taqseem, jagirdarana nizam aur humari hakoomati polisiyan amiron ko amir tar aur ghareebon ko ghareebon ko ghareeb tar bana rahi hein. Kuch mah pehlay Pakistan jana hua to ISLAMABAD aur RAWALPINDI mein jo rehayeshi mansoobay shiroo kiye gaye hein unhein dekh kar barri khushi hui k mera watan bhi taraqqi ki raah par gaamzan hey, BEHRIYA TOWN ki planning aik boht barra mansooba hey, mugar meray walid e muhtaram murhoom ne mujhey btaya k betay yeh saray funds hakoomat ko doosray mumalik ki traf se ghareebon k liye miltay hein, ta k un ki taleem aur tarz e zindagi ko behtar bnaya ja sakay, chotay shehron aur qasbon mein sarrkon aur schoolon ko behtar bnaya jaye, mugar yeh funds ghareebon tak pohnchtay hi nhi hein, yeh barray shehron mein barray logon ki aasayesho par hi kharch kiye jatay hein, yeh mulk ki taraqqi nhi hey balkeh ghareeb aur ameer k darmyan k farq ko aur zayada barhanay ka sabeb hey. Agar yehi ropya achi planning k sath asal maqased k liye kharch kiya jaye to yeh afrat o tafreet ka silsala khatum to nhi mugar kisi hadd tak kum kiya ja sakta hey.
Comment
-
Re: Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
masood sahib aur muskan!
aap donoN ke hi mazmoon aur raet paRhii
afsos se dil bhar aayaa, goya zakhm tazah hojaeiiN.
afsos ye keh ham , sab jante haiN lekin kuch kar nahii sakte.taqat hamare paas naheeN hay, wo to waderoN ki tijori meiN band hay.
ham to sirf kuch yuuN jee rahay haiN.
(apne hi ek she,r meiN )
zanjeer ba-paa kar ke sayyad ne choRa hay
kesii aseerii hay, ye kesii hay aazaadii
najma ansar najma
Comment
-
Re: Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
Originally posted by Muskan37 feesad aabadi khwandah hey
Originally posted by Muskanmugar yeh funds ghareebon tak pohnchtay hi nhi hein, yeh barray shehron mein barray logon ki aasayesho par hi kharch kiye jatay heintumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
Originally posted by najmaafsos ye keh ham , sab jante haiN lekin kuch kar nahii sakte.taqat hamare paas naheeN hay, wo to waderoN ki tijori meiN band hay.
ham to sirf kuch yuuN jee rahay haiN.
Originally posted by najmazanjeer ba-paa kar ke sayyad ne choRa hay
kesii aseerii hay, ye kesii hay aazaadii
Ghulami mein na kaam aati hain shamsheerein, na tadbeerein
jo ho zoq-e-yaqeen pedah to katt jati hain zanjeerein
Khush rahiye aur aap ka hissah lena bohat achha laga, aaindah bhi hissah leti rahiye... :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Muflis Keh Jis Ghareeb Ki Duniya Nahin Drust!
AOA,
Meri naqis soch k motabik iss main kasoor hum sab ka hai kia hum nain kabi jannain ki koshish ki hai k ye sab kion hua hum apni khwaishat ko ahmiyat daite hainagar hum apni choti si khwaish pori na karain kisi aur ki kar dain to shaid ye sab na ho main ghalat b kah sakta hoon aap ka bohat bohat shukria.
Sohail Abbasi.Apna haq ada karo.
Comment
Comment