Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

    Mulahiza keejiye Pakistan ka pehla koomi tarana jo aik Hindu Shayar "Jaghanaath Azad" ne likha. Is ke text ko perhiye, aur dekhiye ke aik Hindu writer ne kitna bharpoor aur dil'afrooz Tarana dia jis mein Pakistan ke musalmano ke jazbaat ki bhi khoob akaasi ki gai.
    Attached Files
    :thmbup:

    Comment


    • #32
      Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

      wapis aa ke mein SAZ ko reply karon ga. Ager me ko yaad na raha to me ko aik PM maar dia jaye :p
      :thmbup:

      Comment


      • #33
        Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

        بہت عمدہ کوشش کی آپ نے کہ وہ ملی نغمہ نکال لائے شاباش
        ویسے "بائی دی جوک" اچھا ہی ہے کہ اس ملی نغمے کوقومی ترانے کا درجہ نہیں دیا گیا کیونکہ موجودہ حالات میں تو اس کا ایک ایک بند پڑھتے ہوئے شرمندگی کی بناپر ہم لوگوں کی گردن جھکی رہتی۔
        اور اگر موجودہ نسل ہم سے اس کے معنی و مفہوم اور موجودہ حالات کا موازنہ کروانے لگتی تو خود کشی ہم پر لازم ہوجاتی۔:phansi3:۔
        ابھی تو یہ فارسی کا ترانہ صرف پڑھتے ہیں اور سر سے اتار دیتے ہیں زیادہ تر لوگوں کو اس کے لفظ بہ لفظ معنی صرف دسویں کلاس تک ہی یاد رہ پاتے ہیں اُس کے بعد یہ صرف الفاظ ہوتے ہیں جنکے معنی میں زہن نہیں الجھتا؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟
        Last edited by S.Athar; 6 May 2010, 10:48.
        :star1:

        Comment


        • #34
          Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

          hamid meer ki pitai honi chahye
          aur aisay waqton main wo log kahan chup jatay hain jo deegar ko is qisam k bayanaat pay GAIR MULKI AGENT khtay hotay hain
          intehaai fazol khayal hay

          barfay maslay to solve hotay nahi
          chhoti chhoti baaton ko bara bana kar sada loh awam ko aaps main uljha detay hain aisay na like log.
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • #35
            Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

            righttoo

            bachon ko wo mukhtasir tarana he mushkilon say yaad hota hay jis k maani o matalib bhi kuch kam sharminda nahi kartay hamen ba wajoh hamari na aheli ( ya ahel e iqtedar ki) jo bhi ho.
            to itna azeem qaseedah parhtay parhtay daain baain nazar daalen gay to khud he dil karay ga zamen shaq ho jaye ya aasman phat jaye ham kahen to sama jaain
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • #36
              Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
              Wa Alaikum Aslam,

              Bilkul mein ne yeh program dekha aur kafi interested program tha yeh. Is mein kuch aisay inkashaafaat bhi huay jin ka atleast mujay nahi pata tha. Yeh behas ziada tar koomi taranay ko change kerne ki bajaye koomi taranay ki tareekh per thi. Ager aap is debate ka bright pehlu dekhein ge to hum Pakistaniyon ko is se information he hasil ho gi aur hamain pata chalay ga ke hamara moojoda koomi tarana kin marahal aur halaat se guzar ker aaj ke taranay ki halaat mein zinda he.

              Hamid Mir aur Khawaja zikriya ke comments ziada interesting thay. Khasoosan Khawaja sahib ne Moojooda Koomi taranay ko bohat he logically explain ker ke isay technically best National Anthem sabit kia. Jub ke Hamid Mir ka mookaf yeh tha ke Hindu writer "Jaghat Nath Azad" ka tarana sub se pehlay Karachi ke radio station se on air hua. Quaid-e-Azam ne us waqt Jaghat Nath Azad ka koomi tarana pasand kia aur aur 1954 tak yahi tarana chalta raha aur Ayub Khan aur Mohammad Ali Bogra ke door-e-hakoomat mein Hafiz Jhalandri ka neya tarana pesh kia gaya.

              Hamid mir ka mookaf yeh nahi tha ke koomi tarana change ker dia jaye, bulke ziada tar wo history ko explain kerte rahay. Aur Jaghat Nath Azad ke koomi taranay ke kuch ashaar perh ker bhi sunaye to us se yeh bhi lagta tha ke yeh tarana Musalmano ke jazbaat ki bohat achi azaadi kerta he kata nazar is baat ke kay yeh tarana kis ne likha.

              Hamara moojoda koomi tarana Quaid-e-Azam ka approved Koomi tarana nahi jub ke Jagat Nath Azad jo ke aik hindu tha, us ka koomi tarana Quaid-e-Azam ne approve kia. Jub ke neya koomi tarana 1954 mein bana.

              Lehaza hamein tasveer ke dono rukh dekh ker aggression ki bajaye soochna chahiye. Aur ager hum Jagat Nath Azad ka komi tarana dubara se implement nahi ker saktay to atleast usay Tribute to pesh ker he saktay hein

              Meri zaati raye yeh hay ke Pakistan ke moojooda koomi taranay ko he ub rakha jaye aur isay change kerne ki new debate start na ki jaye. pakistan in halaat mein is ka muthamil nahi ho sakta.
              :thmbup:
              :salam:
              :thankyou:
              sigpic

              Comment


              • #37
                Re: نیا شوشہ "قومی ترانہ تبدیل کرو" ۔

                hmmmmmmm, ab mae kia boolon mene ye thread pehly kyo nahi dekha





                Comment

                Working...
                X