Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Akhir Kyun?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Akhir Kyun?

    Asalam alaikum,

    News:

    Ye Na-maloom afraad kaun hotey hein? Khusdkash blasts mulk k deegar shehroN mey bhi hotey hein aur wahan per bhi gham aur ghussey ki kafiyat lazmi taur per pai jati hai lekin Karachi mey aeysey kaun sey mushta'il afraad hein jo bas aik bahaney ki talash mey hotey hein, aur poorey shehar ko "Jala" ker rakh detey hein....
    Akhir aeysa kyun hota hai?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Akhir Kyun?

    Kion ka jawab ALLAH k he pass ha.Dunya mein kisi k paas nahi.

    Comment

    • #3
      Re: Akhir Kyun?

      Originally posted by Z. View Post

      Wa Alaikum Assalam,
      Dear aaj is blast pe me bhi yehee baat kar rahi thi ghar may to mujhay yehee jawab mila k ye koi mushta'el ifraad nahin hotay ....inhein fasaad phailanay k liey khud sochi samjhi scheme k tehat khula chhora jata hay :(...........................
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: Akhir Kyun?

        Originally posted by Max_ View Post
        Kion ka jawab ALLAH k he pass ha.Dunya mein kisi k paas nahi.
        Are you sure??????!!!!!
        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

        Comment

        • #5
          Re: Akhir Kyun?

          Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
          Wa Alaikum Assalam,
          Dear aaj is blast pe me bhi yehee baat kar rahi thi ghar may to mujhay yehee jawab mila k ye koi mushta'el ifraad nahin hotay ....inhein fasaad phailanay k liey khud sochi samjhi scheme k tehat khula chhora jata hay :(...........................
          ye scheme yaqeenan politicians hi banatey hon gey?
          Originally posted by Admin View Post
          Are you sure??????!!!!!
          you won't say anything??
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Akhir Kyun?

            :rose

            Comment

            • #7
              Re: Akhir Kyun?

              Originally posted by Admin View Post
              Are you sure??????!!!!!
              App ko koi shak ha iss baat mein.

              Comment

              • #8
                Re: Akhir Kyun?

                Originally posted by Z. View Post
                lekin Karachi mey aeysey kaun sey mushta'il afraad hein jo bas aik bahaney ki talash mey hotey hein
                maiN batata hooN insha'Allah!!

                laikin hasb-e-aadat kuch dair ba'd :rose
                That's Enough...!!

                Comment

                • #9
                  Re: Akhir Kyun?

                  Originally posted by Max_ View Post
                  App ko koi shak ha iss baat mein.
                  Bilkul! Jab ham log kisi masley ko suljhana na chahein, ya us sey sey la'parwa ho ker chup ki neend sona chahein to yehi kehtey hain:

                  "jo Allah ki marzi"
                  "Allah hi janta hai"
                  "Allah behtar karey ga"
                  "Allah per chhorr dein"

                  Masley misaiil hamarey hain, hamarey pedah kardah hain, Allah hamein nahin kehta keh bomb blast karo! Allah hamein nahin kehta keh Jehad key naam per dehshat'gardi karo! Allah hamein nahin kehta keh ham unko leaders chunein jo kal tak khud qatil they!

                  Yeh sab hamarey apney aemalon ka nateejah hai jo ab hamein bhugtna parr raha hai :)

                  @Z.

                  Ji kehna hai: LAGEY RAHO :)
                  مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                  نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                  Comment

                  • #10

                    Bohat acha lacture diya ha bhai app nay. mein bas yehi kahon ga k app k aur meray suljhanay, chup ki nend sonay say koi farq nahi paray ga. Jab koi farq perna nahi tou kion ka jawab jan k kiya kerna ha phr.

                    Comment

                    • #11
                      Re: Akhir Kyun?

                      Originally posted by Max_ View Post
                      Bohat acha lacture diya ha bhai app nay. mein bas yehi kahon ga k app k aur meray suljhanay, chup ki nend sonay say koi farq nahi paray ga. Jab koi farq perna nahi tou kion ka jawab jan k kiya kerna ha phr.
                      To phir bomb bandh ker dehshat'gardi ki taleem aam karein aur koi kuchh kaho to yehi sabaq dena keh koi farq nahin parta :) (bohat khoob)
                      مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                      نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                      Comment

                      • #12
                        Re: Akhir Kyun?

                        Her kion ka jawab app k paas bhi nahi ha, ye app bhi jantay ho, lakin jitni app ki soch ya taleem ha uss ko madd-e- nazar rakh k app kion k jawab bas de saktay ho.
                        ager app k pass her kion ka jawab ha tou mein app say kuch poochna chahon ga.

                        Comment

                        • #13
                          Re: Akhir Kyun?

                          Originally posted by Max_ View Post
                          Her kion ka jawab app k paas bhi nahi ha, ye app bhi jantay ho, lakin jitni app ki soch ya taleem ha uss ko madd-e- nazar rakh k app kion k jawab bas de saktay ho.
                          ager app k pass her kion ka jawab ha tou mein app say kuch poochna chahon ga.
                          Yahan per baat HAR KYUN ki nahin hui. Agar aap ney thread ka mattan ghaur sey parha ho to aap ko IS KYUN ka jawab bhi mil jaey ga. IS KYUN ka jawab mojood hai magar dekhney wali aankh chahiyey - be blessed!
                          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                          Comment

                          • #14
                            Re: Akhir Kyun?

                            Originally posted by Max_ View Post
                            Bohat acha lacture diya ha bhai app nay. mein bas yehi kahon ga k app k aur meray suljhanay, chup ki nend sonay say koi farq nahi paray ga. Jab koi farq perna nahi tou kion ka jawab jan k kiya kerna ha phr.
                            bhaijaan agar yahii soch hum sub ki ho tu phir waqa'ee Allah hi Maalik hai....
                            .......................!!!!!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Akhir Kyun?

                              Originally posted by bhataktii rooh View Post
                              bhaijaan agar yahii soch hum sub ki ho tu phir waqa'ee Allah hi Maalik hai....
                              Soch badal lo beshak app apni lakin jo hona ha wo ho ker hi rahay ga. Kion howa kaisy howa kiss nay kiya damagh per zor dalnay wali baat ha.

                              Comment

                              Working...
                              X